Friday, June 26, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri


raaz-e- ulfat chhupa ke dekh liya liya
dil bohat kuch jala ke dekh liya
aur kya dekhne ko baaki hai
aap se dil laga ke dekh liya
aas uss dar se toot'ti hi nahin
ja ke dekh liya, na ja ke dekh liya
vo mere ho ke bhi mere na huye
unnko apna bana ke dekh liya

aaj unnki nazar mein kuch humne

sab ki nazrein bacha ke dekh liya

'faiz' takmeel-e-gham bhi ho na saki
ishq ko aazma ke dekh liya




भुला देंगे तुमको सनम धीरे धीरे ...... !!!!

Thursday, June 25, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kisi ka yun toh hua kaun umar bhar phir bhi
ye husn-o-ishq toh dhokha hai sab magar phir bhi
hazaar baar zamana idhar se guzra hai
nayi nayi si hai kuch teri rahguzar phir bhi
khusha ishara-e-paiham zahe-sakoot-e-nazar
daraaz ho ke fasana hai mukhtsar phir bhi
jhapak rahi hain zaman-o-makaan ki bhi aankhen
magar hai kaafila aamada-e-safar phir bhi
shab-e-'firaq' se aage hai aaj meri nazar
ki kat hi jayegi ye sham-e-be_sahar phir bhi
kahin yahi toh nahin kaashif-e-hayat-o-mam'aat
ye husn-o-ishq bazaahir hai bekhabar phir bhi
palat rahe hain garib_ul_vatan paltana tha
vo kucha ruu-kashe-zannat ho ghar hai ghar phir bhi
luta hua chamn-e-ishq hai nigahon ko
dikha gaya vahi kya kya gul-o-samar phir bhi
kharab ho ke bhi socha kiye tere mehzoor[bichadnewale]
yahi ki teri nazar hai teri nazar phir bhi

ho be_niyaaz-asar bhi kabhi teri mitti
vo kimiya hi sahi reh gayi kasar phir bhi
lipat gaya tera diwana garche manzil se
uddi uddi si hai kuch khaaq-e-rahguzar phir bhi
teri nigah se bachne mein umar guzari hai
utar gaya rag-e-jaan mein yaa neshtar phir bhi
gham-e-'firaq' ke kushton ka hashr kya hoga
ye sham-e-hizr toh ho jayegi sahar phir bhi
fana bhi ho ke garanbaari-e-hayat[jivan ka bojh] na puuch
uthaye uth nahi sakta ye dard-sar phir bhi
sitam ke rang hain har iltafaat-e-pinah[secret ignore] mein
karamnuma hain tere zor-e-sar-basar phir bhi
khata muaaf tera afav[maufi] bhi hai misl-e-saza
teri saza mein hai ik shaan-e-darguzar phir bhi
agarche bekhudi-e-ishq ko zamana hua
'firaq' karti rahi kaam vo nazar phir bhi

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kisi se choot ke shaad aur kisi se mil ke ghamii
'firaq' teri muhbbat ka koi theek nahi
yun hi-sa tha koi jisne mujhe mita dala
na koi noor ka putlaa na koi zohara-zabiin
jo bhoolti bhi nahin yaad bhi nahi aati
teri nigah ne kyun vo kahaniyan na kahi
lab-e-nigaar hai ya nagma-e-bahaar ki lau
sakuut-saaz hai ya koi mutreeb-e-rangin
shuru-e-zindgi-e-ishq ka vo pehla khwab
tumhen bhi bhool chuka hai mujhe bhi yaad nahin
hazaar shukr ki mayyus kar diya tune
ye aur baat ki tujhse badi ummiden thi
agar badal na diya aadmi ne duniya ko
toh jaan lo ki yahan aadmi ki khair nahin
hunar toh khair hunar aib se bhi jalte hain
fugaan ki ahl-zamana hai kis qadar kambi'n

firaq gorkhpuri ki shayyiri


daur-e-aflaaq ka shabab hai tu
aaftabon ka aftaab hai tu
roop aisa hasin jaise gunah
khalq ka hasil-e-sawaab hai tu
tujhse joban ujaali raaton ka
mahtaabon ka mahtaab hai tu
aur zer-e-shafaq chiragaan ho
aaj yun ma'eel-e-hizaab hai tu
ye sitare tere pasiine ke
shab ka dahaka hua shabaab hai tu
tu jo surat pakad le hai vo khayal
yak-b-yak jaag uthe vo khwab hai tu
jo baharon ke dil se uthte hain
unnhi sholon ka pecho-taab hai tu
aankh padti hai ek zamane ki
bazm-e-imkaan mein intkhaab hai tu
jaise nagme lab-e-'firaq' pa' soye
sez par yun hi mehv-e-khwab hai tu

Majaz ki shayyiri

raashaa sa jo yaan dasto-girebaan mein dekha
hindu mein na paaya na musalmaan mein dekha ?
saf'faak[bereham] se yeh aabru yeh gazabnaaksi aankhen
ik daag sa har qalb-e-pur armaan[arman bhar din] mein dekha
farkhaanda zabiin[naseebo wala maatha] ho ke bhi shamsheer ba_kaf hai
shaitaan ne kya seen'aye eesaan mein dekha
ab dard kaleje se lagaye huye firi'aye
imaan se paaya hai na imaan mein dekha
iss se toh mazaaz aap bhi be_baharaa ho shayad
jo soz'ye waffa aap ke hiziyaan[bukhar mein ulta-sidha bolna,bakwas] mein dekha

firaq gorkhpuri ki shayyiri

tehon[layer] mein dil ke jahan koi vardaat hui
hayat-e-taza se labrez qaynaat hui
tumhi ne baayas-e-gham barhaa kiya darya'fat
kaha toh rooth gaye yeh bhi koi baat hui
hayyat raaz-e-sakoon paa gayi azal thehru
azal mein thodi-sii larzish hui hayyat hui
thi ek kaavish-e-benaam dil mein fitrat ke
siva hui toh vahi aadmi ki zaat hui
bohat dinon mein muhbbat ko yahan hua malum
jo tere hizr mein guzri vo raat raat hui
'firaq' ko kabhi itna khamosh dekha tha
zaroor ae nigah-e-naaz koi baat hui

firaq gorkhpuri ki shayyiri

main hosh-e-anadil hun mushkil hai sambhal jaana
ae baad-e-saba meri karwat toh badal jaana
takdeer-e-muhbbat hun mushkil hai badal jaana
sau baar sambhal kar bhi maalum sambhal jaana
uss aankh ki masti hun ae badakasho[sharabi] jiska
uth kar sare-maikhana mumkin hai badal jana
ayaam-e-baharan mein diwanon ke tevar bhi
jis simt nazar uttho aalam ka badal jaana
ghanghor ghataon mein sarshaar fazaaon mein
makhmoor hawaon mein mushkil hai sambhal jaana
hun lagzishe mastana[ladkhadana] maikhan-e-aalam mein
barq-nigahe-saaqi kuch bach ke nikal jaana
iss gulshan-e-hasti mein kam khilte hain gul aise
duniya mehak utthegi tum dil ko masal jana
main saaz-e-haqiqat hun soya hua nagma tha
tha raaz-e-nihankoi pardon se nikal jaana
hun nakht-e-mastana[mehak] gulzaar-e-muhbbat mein
madhosh-e-aalam hai pehlu ka badal jaana
masti mein lagavat se uss aankh ka ye kehna
mai_khwaar ki niyat hun mumkin hai badal jaana
jo tarz-gazal_goii mommin ne tarah ki thi
sad-haif 'firaq' usska sad-haif badal jana

Majaz ki shayyiri

partav[chayya]-e-sagar-e-sahbaa[madira] kya tha
raat ik hashn[hangama] sa barpa kya tha
kyun jawani ki mujhe yaad aayi
maine ik khwab sa dekha kya tha
husn ki aankh bhi namnaak hui
ishq ko aapne samjha kya hai
ishq ne aankh jhuka li varna
husn aur husn ka parda kya tha
kyun 'majaz' aapne 'saagar' toda
aaj yeh shehr mein charcha kya tha

Majaz ki shayyiri

junoon shauq ab bhi kam nahi hai
magar veh aaj bhi barham[khaffa] nahi hai
bohat mushkil hai duniya ka sanwarna
teri zulfon ka pecho kham nahi hai
bohat kuch aur bhi hai iss jahan mein
yeh duniya mehaj gham hi gham nahi hai
takaze kyun karun paiham[baar-baar] na saaqi
kise yaan fikr-e-besho kam nahin hai ?
udhar mashkook[unbelieveable] hai meri sadaqat[sachai]
idhar bhi bad_gumani kam nahi hai
meri barbadiyon ka humnashinon
tumhe kya khud mujhe bhi gham nahin hai
abhi bazm-e-tarb se kyu utthun main
abhi toh aankhen bhi purnam nahin hai
va-e-seele gham va-seele hawaadis
mera sar hai ki ab bhi kham nahi han hai
'majaz' ik badakash[sharabi] toh hai yaqinan
jo hum sunte thay veh aalam nahin hai

Majaz ki shayyiri

jigar aur dil ko bachana bhi hai
nazar aap hi se milana bhi hai
muhbbat ka har bhed paana bhi hai
magar aapna daaman bachana bhi hai
jo dil tere gham ka nishana bhi hai
qateel-e-zaffaye zamana bhi hai
yeh bijlkti hai kyun dam-ba-dam
chaman mein koi ashiana bhi hai
khurd[chota] ki itiyaat zaroori sahi
yahi toh junoon ka zamana bhi hai
na duniya na ukaab kahan jaayiye
kahin ahl-e-dil ka thikana bhi hai
mujhe aaj saahil pe rone bhi do
ki tufan mein muskurana bhi hai
zamane se aage toh badhiye 'majaz'
zamane ko aage badhana bhi hai

Majaz ki shayyiri

nahi yeh fikr koi rahbare kaamil[guide] nahin milta
koi duniya mein maanuse mijaz-e-dil nahin milta
kabhi saahil pe rehkar shauq-e-tufan se takraayen
kabhi tufan mein reh kar fikr hai saahil nahin milta
yeh aana koi aana hai ki bas rasman chale aaye
yeh milna khaaq milna hai ki dil se dil nahin milta
shikaste pa' ko mazda, khastgaane raah ko mazdaa
ki rahbhar ko suraag-e-jaadiye manzil nahin milta
vahan kitnaon ko takhto laaz ka armaan hai kya kahiye
jahan saa'el[begger] ko kaasiye saa'el nahin milta
yeh qatl-e-aam aur be_azn qatl-e-aam kya kahiye
yeh bisnil kaise bismil hain jinehn qatil nahin milta

Majaz ki shayyiri

meri waffa ka tera lutf bhi jawab nahin
mere shabab ki qeemat tera shabab nahin
yeh mahtaab nahin hai ki aaftab nahin
sabhi hai husn, magar ishq ka jawab nahin
meri nigah mein jalwe hain jalwe hi jalwe
yahan hizab nahin hai, yahan naqaab nahin
hunoon bhi hadh se siva, shauq bhi hai hadh se siva
yeh baat kya hai ki main mauride ataab nahin
yahan toh husn ka dil bhi hai gham se sadpaara[tukde-tukde]
main kamyaab nahin veh bhi kamyaab nahin
yahan toh raat ki bedaariyan mus'slam[sampooran] hai
magar vahan bhi hasin ankhadiyon mein khwab nahin
na puuchiye meri duniya ko, meri duniya mein
khud aaftaab bhi zarra hai aaftab nahin
sabhi hai mai_kade dahar mein khuld waale
koi khrab nahin hai koi kharab nahin
'majaz' kisko main samjhaun koi kya samjhe
ki kamyaar muhbbat bhi kamyaab nahin

Majaz ki shayyiri


mujhse mat puuch "mere husn mein kya rakha hai"
aankh se parde zulmat[andhkaar ka parda] utha rakha hai
meri duniya ki mere gham se jahnuum bardosh
tune duniya ko bhi firdosh bana rakha hai
mujhse mat puuch "tere ishq mein kya rakha hai"
soz ko saaz ke parde mein chupa rakha hai
jagmaga uthti hai duniya-e-takhyyul jis se
dil mein veh shol-e-jaan_soz[painful] dabba rakha hai

Majaz ki shayyiri

veh naqaab aap se uth jaaye toh kuch door nahin
varna meri nigah shauq bhi majboor nahin
khatir-e-ahl-e-nazar husn ko manzoor nahin
iss mein kuch teri khata deed-e-mehzoor nahin
laakh chhipte ho magar chhip ke bhi mastoor[gupt] nahin
tum azab cheez ho nazdeek nahin duur nahin
zaraait-e-arz par veh kuch nahin kehte lekin
har ada se yeh tapkta hai ki manzoor nahi
dil dhadak uthta hai khud apni hi har aahat par
ab qadam manzile jana se bohat duur nahin
haaye veh waqt ki jab be_piiye madhoshi thi
haaye yeh waqt ki ab pii ke bhi makhmuur nahin
husn hi husn hai jis simt uthata hun nazar
ab kahan tuur nahin, barq-e-sar-e-tuur nahin
dekh sakta hun jo aankhon se veh kaafi hai 'majaz'
ahl-e-irfaan ki nawazish mujhe manzoor nahin

Majaz ki shayyiri

apne dil ko donon aalam se utha sakta hun main
kya samjhti ho ki tumko bhi bhuula sakta hun main
kaun tumse chheen sakta hai mujhe, kya veham hai
khud zulekha se bhi toh daaman bacha sakta hun main
dil mein tum paida karo pehle meri si jaraa'aten[himat]
aur phir dekho ki tumko kya bana sakta hun main
dafn kar sakta hun seene mein tumhare raaz ko
aur tum chaho toh afsana bana sakta hun main
main qasam khata hun apne tataq ke ejaaz ki
tumko bazme maaho anzuum mein baitha sakta hun main
sar pe rakh sakta hun taaze kishvare nuraaniyan
mehfile khursheed ko neecha dikha sakta hun main
main bohat sarkash hun lekin ik tumhare vaaste
dil biichha sakta hun main, aankhen bichha sakta hun main
tum agar ruutho toh ik tumko manane ke liye
geet ga sakta hun main, aansu baha sakta hun main
jazb hai dil mein mere dono jahan ka sozo saaz
barbate fitrat ka har nagma suna sakta hun main
tum samjhti ho ki hain pardfe bohat se darmiyan
main yeh kehta hun ki har parda utha sakta hun main
tum ki ban sakti ho har mehfil mein firdos-e-nazar
mujhko yeh daava ki har mehfil pe chha sakta hun main
aao milkar inqilabe taaza paida karen
dehar par iss tarah chha jaayen ki sab dekha karen

Majaz ki shayyiri

dekhna jazbe muhbbat ka asar aaj ki raat
mere shaane pe hai uss shokh ka sar aaj ki raat
aur kya chahiye ab ae dile mahruuh tujhe
ussne dekha toh ba_andaaz digar aaj ki raat
phool kya khaar bhi hai aaj gulistan ba_kinar
sangreze hain nigahon mein guhar aaj ki raat
mehve gul_gasht hain ye kaun mere dosh ba_dosh
kehkashan ban gayi har rehguzar aaj ki raat
phuut nikla daro-diwar se sailaabe nishaat
alaa allah mere kaife nazar aaj ki raat
shabn'mistaane tazl'li ka fan'su kya kahiye
chand ne phenk diya rakhte safar aaj ki raat
noor hi noor hai kis simt uthaaun aankhen
husn hi husn hai toh hadhe nazar aaj ki raat
kasre geti mein umadh aaya hai tufaane hayaat
maut larzaan pase parde dar aaj ki raat
alaa allah vo peshniye simi'n ka zamaal
reh gayi zam ke sitaron ki nazar aaj ki raat
aarize garm pe vo range shafak ki keharen
vo meri shokh nigahon ka asar aaj ki raat
nargishe naaz mein vo neend ka halka sa khumaar
vo mere nagme shirin ka asar aaj ki raat
nagmo mai ka yeh tufaane tarab kya kahiye
ghar mera ban gaya khayyam ka ghar kya kahiye
meri har saans pe veh unnki tavj'jah kya khoob
meri baat pe veh jumbishe sar aaj ki raat
veh tabssum hi tabssum ka zamaale paiham
veh muhbbat hi muhbbat ki nazar aaj ki raat
uff veh vaarfatge shauq mein ik vehame lateef
kapkapate huye honton pe nazar aaj ki raat
apni rifaayat pe jo naaza hain toh naaza hi rahen
keh do anzuum se ke dekhen na idhar aaj ki raat
unnke altaaf ka itna hi fasoon kaafi hai
kam hai pehle se bohat dard-e-jigar aaj ki raat

Majaz ki shayyiri

aish se be_niyaz hai hum log
bekhude sozo saaj hain hum log
jis taraf chaho chhed de humko
tere haathon mein saaz hain hum log
besabab iltfaat kya ma'yani
kuch toh ae chashme naaz hain hum log
mehfile sozo saaz hai duniya
haasile sozo_saaz hain hum log
koi iss raaz se nahin waakif
kyun sarapa niyaaz hai hum log
humko ruswa na kar zamane mein
bas ki tera hi raaz hai hum log
sab issi ishq ke karishme hain
varna kya ae 'majaz' hai hum log

Majaz ki shayyiri

seene mein unnke jalwe chhupaye huye toh hain
hum apne dil ko tuur banaye huye toh hain
tasir-e-jazbe shauq dikhaye huye toh hain
hum tera har hizaab uthaye huye toh hai
haan kya hua vo hausle-deed-ahl-e-dil
dekho na vo naqaab uthaaye huye toh hai
tere gunahgaar gunahgaar hi sahi
tere karam ki aas lagaye huye toh hai
allah'ari kaamiyabi-e- awar'gane ishq
khud gum huye toh kya usse paaye huye toh hai
yun tujhko akhtiyaar hai taasir de na de
daste dua hum aaj uthaye huye toh hai
zikr unnka gar jaban pe nahin hai toh kya hua
ab tak nafs nafs pe samaye huye toh hai
mitate huo'n ko dekh ke kyun ro na den 'majaz'
aakhir kisi ke hum bhi mitaye huye toh hai

Majaz ki shayyiri

rahe shauq se ab hata chahta hun
kashish husn ki dekhna chahta hun
koi dil sa dard ashna chahta hun
rahe ishq mein rehnuma chahta hun
tumhi se tujhe chhin'na chahta hun
ye kya chahta hun, ye kya chahta hun
khataon pe jo mujho ma'eel kare phir
saza aur aisi saza chahta hun
vo makhmoor nazaren, vo mad'hosh aankhen
kharabe muhbbat hua chahta hun
vo aankhen jhuki, vo koi muskuraya
payam-e-muhbbat suna chahta hun
tujhe dhoondhta hun teri justju hai
maza hai ki khud guum hua chahta hun
ye mauzon ki betaabian kaun dekhe
main saahil se ab lautna chahta hun
kahan ka karam aur kaisi inayat
'majaz' ab jaffa hi jaffa chahta hun

Majaz ki shayyiri

khamshi ka toh naam hota hai
varna yun bhi kalaam hota hai
ishq ko puchta nahin koi
husn ka ehtaram hota hai
aankh se aankh jab nahin milti
dil se dil humkalaam hota hai
husn ko sharmsaar karna hi
ishq ka intkaam hota hai
allah ye naaz-e-husn 'majaz'
intzar-e-salaam hota hai

Majaz ki shayyiri

nigahen lutf mat uth khugare aalam rehne de
hamen nakaam rehna hai, hamen nakaam rehne de
kisi masoom par bedaad ka ilzaam kya maayini
ye vehshat khez baaten, ishq-e-bad_anjaam rehne de
abhi rehne de dil mein shaunq-e-shorida ke hangame
abhi sar mein mohbbat ka junoon-e-khaam rehne de
abhi rehne de kuch din lutfe nagma, mast-e-sahb
abhi yeh saaz rehne de, abhi yeh jaam rehne de
kahan tak husn bhi aakhir kare paas-e-rawadaari
agar ye ishq khud hi farq-e-khaso-aam rehne do
baai rindi 'majaz' ik shayar-e-majdoor-o-dehkaan hai
agar shehron mein vo badnam hai, badnam rehne de

Majaz ki shayyiri

yunhi baithe raho bas dard-e-dil se bekhabar ho kar
bano kyun charogar tum, kya karoge chaargar ho kar
dikha de ek din ae husnerangin jalwaagar ho kar
vo nazzara jo inn ankhon mein reh jaaye nazar ho kar
dil-e-soz aashna ke jalwe thay jo muntshar ho kar
fazaaye dehar mein chamaka kiye barko shar'r ho kar
vahi jalwe jo ek in daamne dil se gurezaa thay
nazar mein reh gaye gulhaa'ye daamane nazar ho kar
falaq ki simt kis hassrat se takte hai ma'az allaa
ye naale[valaap] narsa[na pohnch kar] ho kar, ye aahen be_asar ho kar
ye kis ke husn ke rangin jalwe chaaye jaate hai
shaffaq ki sukhiyaan ban kar, tasalli-e-sahar ho kar

Majaz ki shayyiri

husn ko behizaab hona tha
shauq ko kaamyab hona tha
hizr mein kaif[masti]-e-iztraab na puuch
khoon-e-dil bhi sharab hona tha
tere jalwon mein ghir gaya aakhir
zarre ko aaftab hona tha
kuch tumhari nigah kaafir thi
kuch mujhe bhi kharab hona tha
raat taaron ka tootna bhi 'majaz'
baa'ase[bechaini ki wjah] hona tha

faiz ahmed faiz ki shayyiri

barbaad-e-tamnna pe ataab[saza] aur jayada
haan, meri muhbbat ka jawab aur jayada
royen na abhi ahl nazar haal pe mere
hona hai abhi mujh ko khrab aur jayda
'awara-v-majnu' hi pe mokuuf nahin kuch
milne hai abhi mujhko khitaab aur jayda
uthenge abhi aur bhi tufaan mere dil se
dekhunga abhi ishq ke khwab aur jayada
tapkega lahu aur mere deedaye_tar se
dhadkega dil-e-khana_kharab aur jayada
hogi meri baaton se unnhen aur bhi hairat
aayega unnhen mujhse hizaab aur jayada
ae matrabe bebaak koi aur bhi nagma
ae saaqi'ye fayyaaz[daansheel] shraab aur jayada

faiz ahmed faiz ki shayyiri

meri masti mein bhi ab hosh hi ka taur hai saaqi
tere saagar mein yeh sahba[madira] nahi kuch aur hai saaqi
bhadkti ja rahi hai dam-b-dam ik aag si dil mein
yeh kaise jaam hain saaqi yeh kaisa daur hai saaqi
veh shai de jis se neend aa jaaye aql-e- fitna parwar[wrong mind] ko
ki dil aazarda'ye tameez-e-lutf-o-zor hai saaqi
kahin ik rind aur daamand'aye afkaar-e-tanhai
kahin mehfil ki mehfil taur se be_taur hai saaqi
jawani aur yun ghir jaaye tufan-e-hawadis mein
khuda rakhe abhi toh bekhudi ka daur hai saaqi
chhalkti hai jo tere jaam se uss mai, ka kya kehna
tere shadaab honton ki magar kuch aur hai saaqi
mujhe peene de peene de ki tere zaam-e-laa'leen mein
ab kuch aur hai, kuch aur hai,, kuch aur hai saaqi

faiz ahmed faiz ki shayyiri

shaunq ke haathon ae dil-e-muztar kya hona hai kya hoga
ishq toh ruswa ho hi chuka hai husn bhi kya ruswa hoga
husn ki bazm-e-khaas mein ja kar iss se kayada kya hoga
koi naya paimaan bandhenge koi naya vada hoga
charagari sar aankhon par iss charagari se kya hoga
dard ki apni aap dawa hai tum se kya achcha hoga
waaize saada loh se keh do chhode ukaad[parlok] ki baaten
iss duniya mein kya rakha hai uss duniya mein kya hoga
tum bhi majaz insan ho akhir laakh chupao ishq apna
yeh bhay'd[secret] magar khul jayega yeh raaz magar afshaa'n hoga

faiz ahmed faiz ki shayyiri

ab mere paas tum aayi ho toh kya aayi ho ?
maine maana ki tum ik paikar raanai ho
chaman dehar mein ruuh-e-chaman aaraai ho
talaate mehar ho, firdosh ki barnayi ho
binte mehtaab ho gardoon[chaand] se utar aayi ho
mujhse milne mein ab andesh-e-ruswai ho
maine khud apne kiye ki yeh saza paayi hai
khaaq khud apne kiye ki yeh saza paayi hai
khaaq mein aah milayi hai jawani maine
shola zaaron mein jalayi hai jawani maine
shehre khubaan mein ganwai hai jawani maine
khwabgaahon mein jagayi hai jawani maine
husn ne jab bhi inaayat ki nazar daali hai
mere paimane mohbbat ne sipar daali hai
unn dinon mujh pe qaymat ki junoon taari tha
sar pe sarshaariye ishrat ka junoon taari hai
maahpaaron[chand ka tukda] se muhbbat ka junoon taari hai
shaharyaron se raqaabat[dushmani] ka junoon taari hai
bistare makhmalon sanjaab[animal's skin] thi duniya meri
ek rangiin va hasin khwab thi duniya meri
zanate shauq thi begane aafte samuum
dard jab dard na ho, kawishe darmaa mallum
khaak thay deed'aye bebaak mein garduun ke nazuum
bazme parveen thi nigahon mein kaneejon ka hajuum
laale naaz bar afnganda naqaab aati thi
apni aankhon mein liye dawate khwab aati thi
sang ko gohare nayaab va giraan jana tha
dashte purkhaar ko firdose javan jana tha
reg ko silsile'aye aabe rawa'n jana tha
aah yeh raaz abhi maine kahan jana tha
meri har fateh mein hai ek hazmiyat pinah
har masarrat[kaanton se bhara] mein hai raaze ghamon hasrat pinaha
kya sunogi meri majruuh jawani ki pukaar
meri fariyaad jigardoz, mera nalah'aye zaar
shidaat'ye qarb mein doobi hui meri guftaar
main ki khud apne mazake tarb aagin ka shikaar
veh gadaaze dile marhoom kahan se laaun
ab main vo jazbe masoom kahan se laaun
mere saaye se daro tum meri qurbat se daro
apni jaraa'at ki qasam ab meri zaraa'at se daro
tum lataafat ho agar meri lataafat se daro
mere vaadon se daro meri mohbbat se daro
ab main altaaf-v-inaayat ka sazavaar nahi
main waffa_daar nahin, haan main waffa_daar nahin
ab tum mere paas aayi ho toh kya aayi ho ?

Majaz ki shayyiri

saazgar hai humdam inn dinon jahan apna
ishq shaadma'an apna shauq kaamra'an[joyful] apna
aahen be_asar kiski naalah-e-naarva kiska
kaam barha aaya jazba-e-niha'an apna
kab kiya tha iss dil par husn ne karam itna
meharbaan aur iss darze kab tha aasman apna
uljhanon se ghabraye mai_kade mein dar aaye
kis qadar tan aasan hai zauq-e-raayega'an apna
kuch na puch ae humdam inn dinon mera aalam
mutribe hasin apna saaqiye jawan apna
ishq aur ruswai kaun si nayi shai hai
ishq toh azal[hamesha] se tha ruswa-e-jahan apna
tum majaz diwane mashalaat se begaane
varna hum bana lete tumko razdaan apna

Majaz ki shayyiri

aql ki satah se kuch aur ubhar jana tha
ishq ko manzile pasti se guzar jana tha
jalwe thay halkaaye har daame nazar se bahar
maine har jalwe ko pabande nazar jana tha
husn ka gham bhi hasin, fikar hasin, dard hasin
unnko har rang mein har taur sanwar jana tha
husn ne shaunq ke hangame toh dekhe thay bohat
ishq ke daav'aye taqdees[pavitar'ta] se darr jana tha
yeh toh kya kahiye chala tha main kahan se humdam
mujhko yeh bhi na tha mallum kidhar jana tha
husn aur ishq ko de taan'ye bedaad majaz
tumko toh sirf issi baat pe marr jana tha

Majaz ki shayyiri

ashqui ja fizaan[refreshing] bhi hoti hai
aur sabr aazma bhi hoti hai
rooh hoti hai kaif parwar bhi
aur dard aashna bhi hoti hai
husn ko kar na de yeh sharminda
ishq se yeh khata bhi hoti hai
ban gayi rasm baada khwari[madira-paan] bhi
yeh namaaz ab qaza bhi hoti hai
jisko kehte hain naal-e-barham[dukh ko jan’na]
saaz mein veh sada bhi hoti hai
kya bata do majaaz ki duniya
kuch haqiqat_numa bhi hoti hai

qateel shifai ki shayyiri

tum puucho aur main na bataun aise toh haalat nahin
ek zara sa dil tuuta hai aur toh koi baat nahin
kisko khabar thi sanwale baadal bin barse udd jaate hain
sawan aaya lekin apni qismat mein barsaat nahin
mana jiwan mein aurat ek baar muhbbat karti hai
lekin mujhko ye toh bata de kya tu aurat zaat nahin
khatm hua mera afsana ab ye aansu ponch bhi lo
jis mein koi taara chamke aaj ki raat vo raat nahin
mere gham-giin hone par ehbaab hain yun hairaan 'qateel'
jaise main patthar hun mere seene mein zajbaat nahin

faiz ahmed faiz ki shayyiri

husn ik kaif-e-jaadvani hai
aur jo cheez hai vo faani[nashvar] hai
husn ke din bhi kaif parwar hai
husn ki raat bhi suhani hai
husn ki subah ik shikast-e-zameel
husn ki sham taamraani[safal] hai
yeh kuch afsaane takhyyul[fictious story] hai
kuch haqiiqat ki tarzumani hai
kuch tere husn ka karishma hai
kuch meri tab’aa[nature] ki ravani hai

faiz ahmed faiz ki shayyiri

ashqui ja fizaan[refreshing] bhi hoti hai
aur sabr aazma bhi hoti hai
rooh hoti hai kaif parwar bhi
aur dard aashna bhi hoti hai
husn ko kar na de yeh sharminda
ishq se yeh khata bhi hoti hai
ban gayi rasm baada khwari[madira-paan] bhi
yeh namaaz ab qaza bhi hoti hai
jisko kehte hain naal-e-barham[dukh ko jan’na]
saaz mein woh sada bhi hoti hai
kya bata do mazaz ki duniya
kuch haqiqat_numa bhi hoti hai

faiz ahmed faiz ki shayyiri

bas iss taqseer[apraadh] par apne muqaddar pe hai marr jaana
tabssum ko tabssum kyun, nazar ko kyun nazar jaana
khird[aqal] walon se husn-o-ishq ki tankeed[criticsm] kya hogi
na afsuune[jaadu] nigah samhga, na andaaz-e-nazar jaana
mai gulfaam bhi hai saaz-e-ishrat bhi hai saqi bhi
magar mushkil hai aashob-e-haqiqat se guzar jana
gham-e-dauran mein guzri, jis qadar guzri jahan guzri
aur iss par lutf yeh hai zindgi ko mukhtsar[small] jaana

faiz ahmed faiz ki shayyiri

dil-e-khoon gashtaaye[gardish] zaffa pe kahin
ab karam bhi giraan[costly] na ho jaaye
tere bimaar ka khuda hafiz
nazar-e-chara_giraan-upchaarak] na ho jaaye
ishq kya kya na aaften dhaaye
husn gar meharban na ho jaaye
main kea age ghamon ka kohe giraan
ek pal mein dhuan na ho jaaye
phir mazaz inn dinon yeh khatara hai
dil haalanke butaan na ho jaaye

unknown

dar ki daulaten bedaar ataa ho saaqi
hum bahi khwah[gud wisher] sabhi ke hain bhala ho saaqi
sakht jaan hi nahin hum khud saro_khuddar bhi hai
naavike naaz khata hai toh khata ho saaqi
sa’aiye tadbeer mein muzmir hai ik aahe jaansaaz
isska inaam saza ho ki jaza ho saaqi
siina’aye shauq mein vo zakhm ki lau de utthe
aur bhi tez zamane ki hawa ho saaqi
aandhiya utthi hain sunsaan hai maikhan-e-shauq
ab toh ik sajda’aye maasoom rawa ho saaqi

Majaz ki shayyiri

jazbe shaunq nahin shahpare parwaaz nahi
lilaah alhamd ki veh baadgahe naaz nahi
husn ki bazm bhi khilwat kadaye naaz nahi[pyar ka sansar]
aalm-e-ishq koi anzuman raaz nahin
vaadaye lail[promise for night] nahin baada’aye gulfaam toh hai
lab shaker rez[sweet talk] nah on aankh bhi ghamaaz nahin
naalah-e-dard[dukh bhari awaz] nahi ruukshe mehmil toh na ho
yeh koi nazad ki bhikhri hui aawaz nahin
sangsaari[pathar maarna] hai ki loha bhi pighal jaaye majaaz
labe fariyad pe bijli koi azaaz nahin

unknown

na rehnuma na kisi rehguzar ko dekhte hain
jidhar se teer chale hain udhar ko dekhte hain
zabeeb-e-garm-b-tamkeene naaz kya kahiye
ab fareb-e-qaza-va-qadar ko dekhte hain
*nigaah aad na le maasiyat panahi ki
nigah hogi kabhi maasiyat panahi par[gunah chupana]
abhi toh vuus’ate daamne tar ko dekhte hain
sawaade nazad ki ra’naayion mein gum aksar
kisi safer[duut] ke aazme safar ko dekhte hai
* this line is also written like this

Majaz ki shayyiri

yeh tirgi’ye[andhera] shab hi kuch subah taraaz aati
khud vaada’aye fardaa ki chhati bhi dhadak jaati
honton pe hansi paiham aate huye sharmati
kya subah qayamat hi haasil hai judai ka
ab raat nahin kat’ti ab neend nahin aati
jo awwal-v-aakhir tha veh awwal-v-aakhir hai
main naalah bajaan utthta veh nagma basaaz aati
soz-e-shab-e-hizraan[judai ki raat] phir soz-e-shab-e-hizraan hai
shabnam ba_maza utthti ya zulf daraaz aati
yarab veh jawani bhi kya meh’share armaan thi
angadi bhi jab leti ek aankh jhapak jaati
aagaz-e-siyaa masti anzame siyaa masti
aaiine mein surat bhi aane ki qasam khaati
seene mein mazaaj ab tak veh jazba’ye kaafir tha
taslees ki joi’eenda vehdat ki qasam khaati

unknown

shehr ki raat aur main nashad-o-nakaara phirun
jagmgaati jaagti sadkon pe aawara phirun
gaiir ki basti hai kab tak dar_badar maraa phirun
ae gham-e-dil kya karun, ae wehshat-e-dil kya karun

jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke haathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

yeh rupehli chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
jaise sufi ka tasavuur jaise aashiq ka khayal
aah lekin kaun jaane kaun samjhe jii ka haal
ae gham-e-dil kya karun, ae wehshat-e-dil kya karun

phir woh toota ik sitara phir woh chhuthi puljhadi
jaane kis ki goad mein aayi yeh moti ki ladi
hook si seene mein uthi chot si dil par padi
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

raat hass hass kar yeh kehti hei ke makhane mein chal
phir kisi shahnaz-e-lala_rukh ke kaashane mein chal
yeh nahin mumkin toh phir ae dost virane mein chal
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

har taraf hai bikhri hui, rangeeniyan, r'aanaiyan
har qadam par ishratein leti hui angdaiyan
badh rahi hai gaud phelai hui ruswaiyan
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

raaste mein ruk ke dam le lun meri aadat nahin
laut kar vaapas chala jaaon, meri fitrat nahin
aur koi ham_nava mil jaaye yeh qismat nahin
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

muntazir hai ek tufan-e-bala mere liye
ab bhi jane kitne darwaze hain waa mere liye
par musiibat hai mera ahd-e-waffa mere liye
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

jii mein aata hai ab ahd-e-waffa bhi tod dun
unnko paa sakta hun yeh aasra bi chhod dun
haan munasib hai yeh zanjeer-e-hawa bhi tod dun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

ik mehal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

dil mein ik shola bhadak utha hai aakhir kiya karun
mera paemaana chhalak utha hai aakhir kiya karun
zakhm seene ka mehak utha hai aakhir kiya karun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

jii mein aata hai murda chaand taare noch lun
iss kinare noch lun uss kinare noch lun
ek do ka zikar kiya saare ke saare noch lun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
senkdon changez-o-naadir hain nazar ke samane
senkdon sultan-o-jabir hain nazar ke samne
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

le ke ek ek changez ke hathon se khanjar tod dun
taj par usske damakta hai jo pathar tod dun
koi tode ya na tode main hi badh ke tod dun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

badh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dun
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dun
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

iftikhaar arif ki shayyiri

mere khuda mujhe itna toh mo'atbar[trust-worthy] kar de
main jis makaan mein rehta hun usse ghar kar de
ye roshni ke ta'aqqub[to follow] mein bhaagta hua din
jo thak gaya hai toh ab iss ko mujhtasar[shorten] kar de
main zindgi ki duaaon ko be-asar kar de
sitara-e-sahari[morning star] duubne ko aaya hai
zara koi mere suraj ko ba_khabar[inform] kar de
qabila_vaar[tribal] kamaanen karakne wali hain
mera lahu ki gawahi mujhe nidar kar de
main apne khwab se kat kar jiyun toh mere khuda
ujaad de meri mitti ko dar-ba-dar kar de
meri zamiin mera akhri hawala hai
so main rahun na rahun issko baa-ravar kar de

shamim jaipuri ki shayyiri

ba-waffai[fidelity] ki ada paane laga hun tujh mein
ae jaffa-dost[unfaithful frd] ye kya dekh raha hun tujh mein
tu dariya hai ke jiska koi saahil hi nahin
main safeene ki tarah doob gaya hun tujh mein
tere chehre se hataai nahin jaati nazren
kya khabar der se kya dekh raha hun tujh mein
mera daava hai ke tune bhi na dekhe honge
aise jalwe ke jo main dekh raha hun tujh mein
paas itna ke teri saanson se takraati hai saans
duur itna ke tujhe dhuundh raha hun tujh mein
bewaffa teri zubaan par ye waffa ki baaten
aisa lagta hai ke main bol raha hun tujh mein

hamidi kashmiri ki shayyiri

pathar mein dhal raha hun
dekho badal raha hun
saahil-nashin kahan hain
paani pe chal raha hun
kaliyaan chatak rahi hain
main haath mal raha hun
yak-basta[pontaneous] teergi[darkness] mein
be-wajah jal raha hun
shayad hi laut aaoon
ghar se nikal raha hun
shab ladkhada rahi hai
main kyun sambhal raha hun

irfan siddiqui ki shayyiri

badan ke donon kinaaron se jal raha hun main
ke chhu raha hun tujhe, aur pighal rahaa hun main
tujhi pe Khatm hai jaanaan mere zawaal[nadir] ki raat
tu ab tulu[appearing] bhi ho ja, ke dhal raha hun main
bula raha hai mera jaama-zeb milne ko
toh aaj perahan-e-jaan badal raha hun main
ghubaar-e-rahguzar[dust of the path] ka ye hausla bhi toh dekh
hawa-e-taaza ! tere saath chal rahaa hun main
main khwab dekh raha hun ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal raha hun main

unknown

wajah ye nahi ki tum bure ho sakte nahi...
wajah ye hai ki main acha samajhna chahti hoon.
wajah ye nahi ki tum ne mujhko chaha nahi...
wajah ye hai ki main sirf tujh hi ko chahti hoon.
wajah ye nahi ki tum ne mujko ghum nahi diye...
wajah ye hai ki main har gham sehna chahti hoon.
wajah ye nahi ki tujhe bhool nahi sakti main...
wajah ye hai ke tujhe yaad rakhna chahti hoon.
wajah ye nahi tu tabeer de sake na mujhe...
wajah ye hai ki main khwabon main rehna chahti hoon.

unknown

jidhar bhi dekhti hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai
main kaise karun gila dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalkte hain meri surat nikhar jaati hai
tod diye hain maine apne ghar ke saare aaiine
meri rooh mera hi chehra dekh ke darr jaati hai
ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein...
zara si na-muraadon ki tabiyat sudhar jaati hai
asar karti yakiinan gar chhu jaati unnke dil ko lekin
afsoos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai
mai_kade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai
kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabila toh kar
ae khushi tu munh chhuppa ke kidhar jaati hai
tujhe innhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unnke ghar ko bas yahi ek rehguzar jaati hai.......

unknown


suno tum laut aao na
woh dekho chand nikla hai
sitare jagmagaye hain
hamari muntazir aankhein
duaein mangti ankhein
tumhen ho sochti aankhen
tumhen hi dhoondhti aankhein
tumhen vapis bulati hain
yeh dil jab bhi dhadkata hai
tumhara naam leta hai
yeh aansu jab bhi behate hain
tumhare dukh mein behate hain
ke baarish jab bhi hoti hai
tumhen hi yaad karten hain
khushi koi jo aaye bhi
tumhare bin adhuuri hai
suno toh laut aao na ....
suno tum ..........

unknown

khel kar yun ungaliyon se baalon mein
aur uljhaao na sawalon mein
padhne wale toh padh hi lete hain
dil ki sab dastan rumaalon mein
gar haqiiqat mein na huye haasil
milne aaoge na khayalon mein ?
kal subah zindgi rahe na rahe .... ????

Wednesday, June 24, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

sham-e-gham kuch uss nigaah-e-naaz ki baaten karo
bekhudi badhti chali hai raaz ki baaten karo
yeh sukuut-e-naaz, yeh dil ki ragon ka tuutna
khamoshi mein kuch shikast-e-saaz ki baaten karo
kuch qafas ki tiliyon se chhan raha hai nuur sa
kuch fiza kuch hasrat-e-parvaaz ki baaten karo

unknown

hume unnhe chaha ye failsa hamara zindgi ka
unnhe bhi hoti chahat agar toh kuch aur baat hoti

unknown

tujhe paana zindagi hai.. tujhe khona maut hai..
aur kuch isske siva mere fasane mein nahi..
maang loon main tujhe khuda se, magar
meri taqdeer mein nahi ho tum toh ye kuch aur baat hai..

unknown

maut ka safar bhi taskeen bhara ho sakta tha mera
unnke pehlu mein aakhiri saans aati toh kuch aur baat hoti

unknown

hota jo unhen humse pyar toh kuch aur baat hoti
karte vo agar mera intzaar toh kuch aur baat hoti
dillagi karte karte dil ki lagi vo de gaye
dete gar vo apna dil toh kuch aur baat hoti
hota hai unnpe bhi shayad mere gham ka asar
hota jo vo mera hamsafar toh kuch aur baat hoti
meri mohbbat ko vo kamjori samajh baithe
vo bhi jo karte mohbbat toh kuch aur baat hoti .........
faaslon se rehti hai rishton mein mehak suno
saath se bhi rehti qurbat toh kuch aur baat hoti
vo aaye meri zindgi mein khiza ban kar
ek baar bahar bante toh kuch aur baat hoti
har kadam humko unnhone diye hain dhokhe
agar vo bhi waffa nibhate toh kuch aur baat hoti
gunah mohbbat hui jabse unnke haalat badale hai
vo meri mohbbat samjh jaate toh kuch aur baat hoti
aankhon ko humne apni unnse milne na diya tha kabhi
nashe ke liye ashq-e-jaam paate toh kuch aur baat hoti
woh gaiiron ko pila rahe thay haas haas ke vo jaam
hamen ek jaam apni aankhon se pilate toh kuch aur baat hoti
.......
maut ka safar bhi taskeen bhara ho sakta tha mera
unnke pehlon mein aankhri saans aati toh kuch aur baat hoti
gir gir kar sambhal rahi thi main zindgi ke safar mein,
gar thaam lete aap mera haath toh kuch aur baat hoti....
thamna zindgi mein nahi chlate jaana suno sakhi
kaaton se paaye manzile toh kuch aur baat hoti
qadam-dar-qadam milte hain yahan waaiz-naaseh,
tu khud hi banaata raaste toh kuch aur baat hoti...

unknown

rahen khamosh hum kab tak, jo bole toh bole kya
azab-sii bekarari hai, kahin sar rakh ke ro len kya
bohat-sii roshni hai phir bhi, kuch dikhta nahin humko
bohat jaagi hai ye aankhein, kabhi munh dhak ke soa len kya
na jaane kab se dastak de raha hai pyar se koi
ye dil ka bandh darwaza, kabhi haule se kholen kya
safar kat'ta nahin tanha, bohat gehri uddasi hai
bhool ke ussko iss dil se, kisi ke hum ho len kya
jise hasrat hamari hai, hamen bhi usski chahat hai
ye raz-e-justju hum bhi kabhi bhoole se kholen kya

unknown

dyaar-e-noor main taarikiyon ka saathi ho
koi toh ho jo meri vehshaton ka saathi ho
main uss se jhoot bhi bolun toh sach bole
mere mizaaj ke sab mausamon ka saathi ho
main usske haath na aaun woh mera ho ke rahe
main gir padun toh meri pastiyon ka saathi ho
jo khwab dekhe toh dekhe mere hawale se
mere khayal ke sab manzaron ka saathi ho
woh mujhse baat kare toh bhi mere lehje mein
main chup rahun toh mere taewaron ka saathi ho
dyaar-e-noor main taarikiyon ka saathi ho
koi toh ho jo meri vehshaton ka saathi ho

asim ki shayyiri

mere kuuche mein qadm aap jo aa kar rakhte
hum bhi raahon mein dil-o-jaan bichha kar rakhte
tum agar itni izazat hamen de dete kabhi
teri tasveer ko hum dil mein saza kar rakhte
kaash izhaar-e-waffa kar diya hota ham ne
yun na jazbaat ko hum dil mein dabba kar rakhte
hamen jo mallum jo hota teri sazishon ka kabhi
ham raqiibon se bhi kuch baat bana kar rakhte
mere iss dil ki tadap tumne jo samjhi hoti
tum kabhi yun na mujhe door hata kar rakhte
mil hi jaati jo khabar gar tere aaane ki hamen
hum tere vaste kuch saansein bacha kar rakhte
inn sazaon ka toh mallum nahi tha varna
roz mehshar ke liye karam kamaa kar rakhte
kaash ham hote shuknavaar kabhi aseem jaise
apne shairon se dar-o-baam hila kar rakhte

unknown

vo sapno ki tijarat thi
yeh dil kuch aur samjha tha
usse hasne ki aadat thi
yeh dil kuch aur samjha tha
ussne mujhe kaha aao
nayi duniya basaate hai
usse toh suujhi sharat thi
ye dil kuch aur samjha tha

unknown


dil jala ke mera muskarate hain woh,
apni aadaton se kab baaz aate hain woh,
puch lete hain har raaz mujhse mere,
apni har baat mujhse chupate hain woh,
hai khud toh bade bewaffa se magar,
qisse sabko waffa ke sunate hain woh,
jisne dekha unnhe apne dil se gaya,
teer nazron ke aise chalate hain woh,
dil jala ke mera muskarate hain woh,
apni aadaton se kab baaz aate hain woh

faiz ahmed faiz ki shayyiri

aaiiye haath uthaayen hum bhi
hum jinhen rasm-e-dua yaad nahin
hum jinhen soz-e-mohbbat ke siva
koi buut, koi khuda yaad nahin
aaiye arz guzaren ki nigaar-e-hasti
zehar-e-imaroz mein sheerini-e-fardan bhar de
vo jinhen tabe garaanbari-e-ayyam nahin
unnki palakon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinki aankhon ko rukh-e-subah ka yaara bhi nahin
unnki raaton mein koi shama munavvar kar de
jinke qadmon ko kisi ka sahaara bhi nahin
unnki nazaron pe koi raah ujaagar kar de
jinka deen peravii-e-kazbo-riyaa hai unnko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqeeq mile
jinke sar muntazir-e-teg-e-jaffa hain unnko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile
kshq ka sar-e-nihan jaan-tapan hai jis se
aaj iqraar karen aur tapan hai jis se
aaj iqaraar karen aur tapish mit jaaye
haarf-e-haq dil mein khatakta hai jo kaante ki tarah
aaj izhaar karen aur khalish mit jaaye

unknown


qadam qadam pe naya marhala tha kya karti
taweel hota gaya faasla main kya karti !
har ek shaks ko tha zaum-e rehbari kitna,
bhatak raha tha mera qaafila main kya karti! ?
gham-e-hayaat, gham-e-ishq aur gham-e-janaan'
ulajh gaya tha har ik silsila main kya karti !
tumhare saath kise faisle ki fursat thi,
tumhare baad bhala faisla main kya karti
bohat sambhal ke rakha tha dil main raaz tera,
vo ban ke ashq jo girne laga main kya karti.
mujhi se maangne aaya vo le ke majboori,
ab uss se usski zaffa ka gila main kya karti.
vo aansuon ki zabaan' jaanta na tha meri,
mujhe bayaan' ka na tha hosla main kya karti.

ali abbas umeed ki shayyiri

usske bin dar-o-diwar sab kuch mujhe suune lage
aur chahat hai meer sii, baarish na ho chuune lage
jitne qaddaavar thay unnke sar toh ghutnon mein gaye
ab tamasha ye hai boa'ne aasmaan chhuune lage

khumar barabanqwi ki shayyiri

tujhko barbaad toh hona tha, bahr'haal khumar
naaz kar naaz ki ussne tujhe barbaad kiya

shamim jaipuri ki shayyiri

tere karam ki aas lagaye
kab se hun daaman phelaye
meri fughan se ghul mach jaaye
ayr unnhe ilzaam na aaye

jaan bhi de dun unn qadmon par
phir vo zamana aaye na aaye
ishq mein chahe jaan bhi jaaye
unnpe magar ilzaam naa aaye
abr-o-baharan bada-o-saghar
duniya aayi , aap na aaye
vo manzil se door hi achche
jinko manzil raas na aaye

unknown

aap ke paaon ke niiche mera dil hai
ek zara aapko zehmat hogi
allah re nazuki, chambeli ka ek phool
sar par jo rakh diya toh qamar tak lachak gayi
unnse chhiinke se koi cheez utarwayi hai
Kaam ka kaam hai, angdaai ki angdaai hai
kya nazakat hai ki aariz unnke neele pad gaye
humne toh bose liye thay khwab mein tasviir ke
huuron ka intzaar kaun kare hashr tak
mitti ki bhi mile toh rava hai shabab mein
lab-e-nazuk pe missi ki dhari hai
Khizr ki naao kausar mein padi hai
kamsini hai toh ziden bhi hain nirali unnki
aaj yeh zid hai ki hum dard-e-jigar dekhenge

nasir kazmi ki shayyiri

rang barsaat ne bhare kuch toh
zakhm dil ke huye hare kuch toh
fursat-e-bekhudi ganiimat hai
gardishen ho gayin pare kuch toh
kitne shoriidah sar thau parwaane
shaam hote hi jal mare kuch toh
aisa milna nahin tera milna
dil magar justuju kare kuch toh
aao ! 'nasir' koi ghazal chheden
jii behal jayega are kuch toh

firaq gorkhpuri ki shayyiri

dekhte dekhte utar bhi gaye
unnke teer apna kaam kar bhi gaye
husn par bhi kuch aa gaye ilzaam
go bahut ahl-e-dil ke sar bhi gaye
yun bhi kuch ishq nek naam na tha
log badnaam ussko kar bhi gaye
kuch pareshan se thay bhi ahl-e-junoon
gesu-e-yaar kuch bikhar bhi gaye
aaj unhein meherbaan sa paa kar
khush huye aur jii mein darr bhi gaye
ishq mein ruuth kar do aalm se
laakh aalm mile jidhar bhi gaye
hun abhi gosh par sada aur wo
zer-e-lab keh ke kuch mukar bhi gaye

jaun elia ki shayyiri

meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanchein mein junoon mein dhaal di
kar liya tha maine ahd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahein gale mein daal di

yun to apne qaasidaan-e-dil ke paas
jaane kis kis ke liye paighaam hain
per likhe hain maine jo auron ke naam
mere vo khat bhi tumhare naam hain

ye tere khat, teri khushbu, ye tere khawab-o-khayal
mataa-e-jaan hain tere qaul-o-qasam ki tarah
guzishta saal maine inhen gin ke rakha tha
kisi ghareeb ki jodi hui raqam ki tarah

kitne zaalim hain jo ye kehte hain
tod lo phool, phool chodo mat
baagbaan ! ham toh iss khayal ke hain
dekh lo phool, phool todo mat

hai muhabbat, hayaat ki lazzat
varna kuch lazzat-e-hayat nahin
kya izazat hai, ek baat kahun
vo….magar khair koi baat nahin

sharm, dehshat, jhijhak, parishaani
naaz se kaam kyun nahin leti
aap .... vo .... jii .... magar ...., ye sab kya hai
tum mera naam kyun nahin leti

saal'haa'saal aur ek lamha
koi bhi toh na inn mein bal aaya
khud hi ek dar pe maine dastak di
khud hi ladkaa sa main nikal aaya

unknown

hizr mein khun rulatye ho kahan hote ho ?
laut kar kyun nahi aate kahan hote ho ?
jab bhi milta hai koi shaks baharon jaisa
mujhko tum kaise bhulatye ho kahan hote ho ?
yaad aati hai akele mein tumhari neendein
kis tarha khud ko sulate ho kahan hote ho ?
mujhse bhichde ho toh mehbuub-e-nazar ho kis ke ?
aaj kal kis ko maanate ho kahan hote ho ?
shab ki tanhaai mein aksar yeh khayal aata hai
apne dukh kis ko sunate ho kahan hote ho ?
mosam-e-gul mein hizr ka nasha bhar jata hai
mere sab hosh churate ho kahan hote ho ?
sard raton mein tumhen kaise bhula sakti hun ?
aag si dil mein lagate ho kahan hote ho ?
tum toh khushiyon ki rafaqt k liye bhichde thay
ab agar aashq bahate ho kahan hote ho ?
shehr ke log bhi ab yahi sawal karte hai
ab bohat kam nazar aate ho kahan hote ho ?

unknown

ishq ko be_naqaab hona tha
aap apna jawab hona tha
teri aankhon ka kuch qasoor nahi
haan mujhi ko kharab hona tha
dil ke jis par hai naqsh-e-ranga_rang
ussko sada kitaan hona tha
humne na_kamyion ko dhuundh liya
aakhrish kaamyaab hona tha

unknown


tum mujhe bhool bhi jaao toh ye haq hai tumko
meri baat aur hai maine toh mohabbat ki hai
mere dil ki, mere jazbaat ki kimat kya hai
uljhe-uljhe se khayalaa ki kimat kya hai
maine kyun pyar kiya, tumne na kyun pyar kiya
inn pareshan sawalat ki kimat kya hai
tum jo ye bhi na bataao toh ye haq hai tumko
meri baat aur hai maine toh mohabbat ki hai


zindagi sirf mohabbat nahin kuch aur bhi hai
zulf-o-rukhsar ki zannat nahin kuch aur bhi hai
bhook aur pyas ki maari hui iss duniya mein
ishq hi ek haqiquat nahin kuch aur bhi hai
tum agar aankh churaao toh ye haq hai tumko
maine tumse hi nahin sab se mohabbat ki hai

tumko duniya ke gham-o-dard se fursat na sahi
sabse ulfat sahi, mujhse hi mohabbat na sahi
main tumhari hun ye mere liye kya kam hai
tum mere ho ke raho ye meri qismat na sahi
aur bhi dil ko jalaao toh ye haq hai tumko
meri baat aur hai, maine toh mohabbat ki hai
tum mujhe bhool bhi jaao toh ye haq hai tumko
meri baat aur hai, maine toh mohabbat ki hai…

unknown


iss baar kuch aisa main chahta hoon
tumko apna banaana chahta hoon
bhula kar apne sab gham
tumhe dilse apnana chahta hoon
tumhe tumhari ijazaat se
apne dil mein basana chahta hoon
apne naam ke saath jod kar tumhara naam
duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
kab ho qabuliyat ki ghadi najaane
tumhe har dua mein mangna chahta hoon
ho jaao tum meri aur main tumhara
har pal bas yehi ehsaas chahta hoon
tumse hi ki bas mohabbat maine
apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
karta hoon aaj main ye iqraar
main bas tumhe bas tumhe hi chahta hoon
haq ke saath kahun tumhe main apna
tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon

unknown


ek baar kar ke aitbaar likh do
kitna hai mujhse pyar likh do
kat'ti nahin yeh zindagi ab tere bin
kitna or karun intezar likh do
taras rahe hain badi muddat se
iss baar apni mohabbat ka izhaar likh do
diwane ho jaayen jise padh ke hum
kuch aisa tum mere yaar likh do
zyada nahin likh sakte toh mat likho tum
mohabbat bhare lafz do char likh do
ek baar likho mohabbat hai mujhe tumse
phir yehi jumlä bäär bäär likh do

unknown

woh humse khaffa hain, hum unnse khaffa hain
magar baat karne ko jii chahta hai
badi dil_nashin hain ye unnki adayein
adaaon pe marne ko jii chahta hai
jo kehna hain unnse, kahen bhi toh kaise
kasam chahton ki mohbbaton mein ab toh
hadhon se guzarne ko jii chahta hai
jo dil ki dua hai, kabhi kaam aaye
ghadi do ghadi ko toh aaram aaye
sanam bazuuon ke hasiin daayiron mein
ro kar bikharne ko jii chahta hai

nasir ki shayyiri

kya royen fareb-e-asmaan ko
apna nahin aitbaar kuch der
ae shehr-e-tarab ko jaane walon
karna mera intzaar kuch der
ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahaar kuch der
duniya toh sada rahegi 'nasir'
ham log hain yaadgaar kuch der

unknown

teri socho mein teri soch ke mahwar mein kya hai
tu mujhse sun teri khudi ki tamanna kya hai
main teri ruuh mein ut'tri thi kahan kab kaise
tujhe mallum hai sun'ne ka bahana kya hai
main tere hizr mein sadiyan guzar sakti hun
ye chaar din ki judayi ka nibhana kya hai
main teri zaat pe khud ko bhi waar sakti hun
ye suraj chand sitaron ka lutna kya hai
apni ulfat ke ek lamhe se nawaz mujhe
uss ek lamhe mein sadiyon ka guzar jana kya hai
har ek janam mein masalsal mera hasil tum
tere liye faqat ek umar lutana kya hai
meri dua mere allah tak bhi puhnchengi
mujhe zamiin ko iss falaq ko hilana kya hai
meri aankhon ki jheelon mein vo iztarab aaya
ke samander ke tuffanon ka fasana kya hai
kahin phir se na aankhein toot barsein sawan si
mujhse na puuch ke ashqon ka fasana kya hai
tu kisi shajar ke ujde huye patte se puuch
tujhe roa roa ke sunayega mera fasana kya hai

unknown

koi rota hua chehra hassa dena ibadat hai
museebat mein dua kena dua dena ibadat hai
kisi be_asra insan ke toote gharondhe mein
khaluus-e-dil se ek pathar laga dena ibadat hai
sa'adat haj-o-umrah ki wajah apni jagah lekin
koi ujda hua aangan basa dena ibadat hai

mohsin ki shayyiri

waffa mein ab yeh hunar ikhtiyyar karna hai
vo such kahe na kahe aitbaar karna hai
yeh tujhko jaagte rehne ka shauq kab se hua
mujhe toh khaiir tera intzaar karna hai
hawa ke zadd mein jalaane hain aansun ke chiragh
kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai
woh mukura ke nayi waswason mein dhal gaya
khayal tha keh usse sharmsaar karna hai
misaal-e-shaakh-e-barhna khizaan ki ruut mein kabhi
khud apne jism ko be-barg-o-baar karna hai
tere firaaq mein din kis tarha katte apne
keh shughal-e-shab toh sitaare shumaar karna hai
chalo yeh ashq hi moti samajh kar bech aayen
kisi tarha toh humen rozgaar karna hai
kabhi toh dil mein chhupe zakhm bhi numayan ho
qaba samajh ke badan taar taar karna hai
khuda khabar yeh koi zidd ke shauq hai 'mohsin'
khud apni jaan ke dushman se pyar karna hai

mohsin ki shayyiri


chahat ka rang tha na waffa ki lakeer thi
qatil ke hath mein toh hina ki lakeer thi
khush hun ke waqt-e-qatl mera rang surkh tha
mere labon pe harf-e-dua ki lakeer thi
main karvan ki raah samajhta raha tha jise
sehra ki reit par vo hawa ki lakeer thi
suraj ko jisne shab ke andheron mein guum kiya
mauj-e-shafaq na thi wo qaza ki lakeer thi
guzra hai shab ko dasht se shayad vo parda-daar
har naqsh-e-pa' ke saath rida ki lakeer thi
kal usska khat mila ke saheefa waffa ka tha
'mohsin' har ek satr hayya ki lakeer thi

Tuesday, June 23, 2009

khumar barabanqwi ki shayyiri

be-qaraari gayi, qaraar gaya
tark-e-ishq aur mujhko maar gaya
vo jo aaye toh khushk ho gaye ashq
aaj gham ka bhi aitbaar gaya
ham na hans hi sake, na hi ro sake
vo gaye ya har ikhtiyyar gaya
aap ki zid-e-be_mahal se kaleem
sab ki nazron ka aitbaar gaya
aa gaye vo toh ab ye rona hai
lutf-e-gham, lutf-e-intzaar gaya
kis maze se tere bagaiir 'khumar'
be_jiiye zindagi guzaar gaya

unknown

zindagi tujhse shikayat nahi hai
khuda-e-bandagi ijazaat nahi hai
ruhh ko dharma ke emaan se na band
aap hi se pehle zanat nahi hai

kaifi aazmi ki shayyiri

buut-shikan koi kahin se bhi na aane paaye
hamne kuch buut abhi seene mein saja rakhe hain
apni yaadon mein basa rakhe hain
dil pe ye soch ke path'raao karo diwanon
ke jahan hamne sanam apne chhupa rakhe hain
vahin ghazni ke khuda rakhe hain

buut jo tuute toh kisi tarah bana lenge unhen
tukde-tukde sahi daaman mein utha lenge unhen
phir se ujde huye seene mein saja lenge unhen
gar khuda tuutega ham toh na bana paayenge
usske bikhde huye tukde na uthaa paayenge
tum utha lo toh utha lo shayad
tum bana lo toh bana lo shayad
tum banaao toh khuda jaane banaao kaisa
apne jaisa hi banaya toh qayamat hogi
pyar hoga na zamaane mein mohabbat hogi
dushmani hogi, adaavat hogi
hamse usski na ibaadat hogi

vehshat-e-buut-shikani dekh ke hairaan hun main
but-parastii mera shevaa hai ke insaan hun main
ek na ek buut toh har ek dil mein chhupa hota hai
usske sau naamon mein ek naam khuda hota hai

adam ki shayyiri

bheji thi iltjaa toh khuda ko magar 'adam'
aayin sanam ke ghar se marz ki dawaiiyan

kishwar naheed ki shayyiri

'naheed' rifaaten toh milengi bohat magar
aankhon ko apne shahr ka naqsha na bhool jaaye

shaad azeemabadi ki shayyiri

qudarat se dil apna paak rakh ae 'shaad' peeri mein
ke jis ko munh dikhaana hai, yeh aaiina ussi ka hai

sarwar a raz sarwar ki shayyiri

ranj-o-raahat soz-o-saaz-o-hasrat-o-aasuudigi
ek hain sab bas zara parda uthaa kar dekhiye
ho chuki 'sarwar' bohat duniya ki khatirdaariyan
jo bhi dil mein hai wo ab, naam-e-khuda kar dekhiye

unknown

kuch bhi hum main apni hi soraat mein hun 'aleem'
ghalib nahi hun meer-o-yagana nahi hun main

unknown

'haali' sukhan mein 'sheftah' se mustafeed hai
'ghalib' ka mo'atiqid hai, muqallid hai 'meer' ka

unknown

gali mein usski gaya so gaya na bola phir
hum meer meer kar bahut pukaar aaye

amjad ki shayyiri

'amjad' hai yahi ab ke kafan bandh ke sar se
uss shahr-e-sitam_gar mein jaayenge kisi din

nasir ki shayyiri

'nasir' yun usski yaad chali haath thaam kar
mele main iss jahan ke khone nahin deta

unknown

saghar woh keh rahe they keh pee lijiye hazoor
main yun ki guzaar shaat se ghabra ke pee gaya

unknown

seedhe mann ko aan daboche meethi baaten sundar log
'meer', 'nazeer', 'kabir' aur 'insha' sab ka ek gharana ho

unknown

jab bashar ko Nahin rakhta woh akela sa,adi
sochta hun ke khuda rehta hai tanha kaise ??

ghalib ki shayyiri

hum kahan ke daana thhe, kis hunar mein yakta thhe
besabab huwa 'ghalib', dushman aasmaan apna

unknown

muhabbat phir mujhko aazmane ko hai..
meri rooh mujhse bichad jaane ko hai
waffa-e-muhabbat raakh ho jaane ko hai
jo mere dil se jhod kar meri zaat mein raha
woh bandhan pal mein toot jaane ko hai
sakoon-e-dil barbaad ho jaane ko hai
raapte socho ke simat jaane ko hai
yeh kaisa tune muhabbat mein faasla rakha
apna ho ke ajnabi ho jaane ko hai
qurbaton ke nishan mit jaane ko hai
faasle dooriyon mein badal jaane ko hai
woh ja sakta hai meri muhabbat ko chod ke
meri zaat toh usski muhabbat mein waft ho jaane ko hai

unknown

bholi bisri yaadon ki kiranon ko saja kar roye hain
vo chehra jab yaad aaya hum shamma jala kar roye hain
saath tumhara kya chhoota tha dar se har rishta toota tha
yeh aansu hain khushi ke aansu tumko pa kar roye hain
apni hi majbuuri thi jo hont hamare khul na sake
jab bhi maanga khuda se tumhen bas haath utha kar roye hain
yaad hai ab tak shaam-e-judai vo palken bhi bheegi thi
'haider' aaj unnhi aankhon ke khwab saja kar roye hain

unknown


lahu rone se darta hun, juda hone se darta hun
meri aankhen batati hain ke main sone se darta hun
meri ungli pakad lena, mujhe tanha nahi karna
ye duniya ek mela hai, tumhe khone se darta hun
jo hansti ho toh kyun palkon ke goshe bheegh jaate hain
tumhe mallum hai main iss tarah rone se darta hun
ye jab se khwab dekha hai tum mujhe chod jaaogi
main ab darta hun khwaabon se, main ab sone se darta hun

unknown


zakhm muskurate hain ab bhi teri aahat par
dard bhool jaate hain ab bhi teri aahat par
shabnami sitaron mein phool khilne lagte hain
chand muskurata hai ab bhi teri aahat par
umar kaat di lekin bachpana nahi jaata
hum diya jalate hain ab bhi teri aahat par
ghantiyan si bajti hain raks hone lagta hai
dard jagmagate hain ab bhi teri aahat par
teri yaad aaye toh neend jaati rehti hai
khaab toot jaate hain ab bhi teri aahat par
jo sitam kare aa kar sab qabool hai dil ko
hum khushi manate hain ab bhi teri aahat par
ab bhi teri aahat par chand muskurata hai
khaab gungunate hain ab bhi teri aahat par
tere hizr mein hum par ek azaab tari hai
chonk chonk jaate hain ab bhi teri aahat par
dastaken sajane ke muntazir nahi rehte
raaste sajate hain ab bhi teri aahat par
ab bhi teri aahat per aas laut aati hai
hum diye jalate hain ab bhi teri aahat par

unknown


main toh kaaghazon ka gulab tha
sar-e-sham khushbu se bhar gaya
main kahan hun mujhko khabar nahi
mujhe kaun chhu lar guzar gaya
ye gulaab bhi mera aks hai
ye sitaare bhi mera naqsh hai
main kabhi zamiin mein dafan hun
kabhi aasman se guzar gaya
main udas chand ka bhaag hu
naaye mosamon ka suraj hu
meri shakh shakh hari hari
mera phool phool bikhar gaya

unknown


mohabbat ki shamma jala ke toh dekho,
zara dil ki duniya saja kar toh dekho,
tumhe ho na jaaye mohabbat toh kehna,
zara humse nazarein mila ke toh dekho

unknown

kis ne mujhko sadaa di bata kaun hai
ae hawa tere ghar mein chhupa kaun hai
baarishon mein kisi ped ko dekhana
shaal odhe huye bhigata kaun hai
main yahan dhuup mein tap raha hun magar
vo pasiine mein duuba kaun hai
aasmanon ko humne bataya nahin
duubati sham mein duubta kaun hai
khushbuon mein nahaai hui shaakh par
phool sa muskurata hua kaun hai
dil ko pathar huye ik zamana hua
hum makaan mein magar bolta kaun hai

unknown

asaanion se na puuch manzil ka rasta
apne safar ki raah mein pather talash kar
zarre se kainaat ki taqdeer puuch le
katre ke waston mein samandar talash kar

unknown

haaton par jo likha ho woh muqqadar nahi hota
mehnat na karo toh kuch bhi mayassar nahi hota
pehle amaal se bana apni duaon ko pur-asar
phir dekh kaise apni duaon ka asar nahi hota
jo saath na de sake kabhi gham-e-dauraan
woh shaks kabhi kisi ka humsafar nahi hota
aisi mehfil hi nahi ab iss shahr mein
jahan subah shaam tera zikar nahi hota
koi shikwa hi nahi mujhe apne tanhapan se
har saath chhod dene waala sitamgar nahi hota

unknown


zindgi ke mele mein khuahishon ke rele mein
tumse kya kahen jaana iss kadar jhamele mein
waqt ki rawani hai bakht ki garani hai
sakh be_zamiine hai sakht la_makani hai
hizr ke samander mein
takht aur takhte ki ek hi kahani hai
tumko jo sunani hai baat go zara si hai
baat umar bhar ki hai
umar bhat ki baatein kab do ghadi mein hoti hain
dard ke samandar mein un_ginat jazeere hain
be_shumaar moti hain
aankh ke dareeche mein tum ne jo sunaya tha
baat uss uss diye ki hai
baat uss gile ki hai
jo lahoo ki khalwat mein chor ban ke aata hai
lafz ki fasiilon par toot toot jaata hai
zindagi se lambi hai baat rat_jage ki hai
raste mein kaise ho baat takhliye ki hai
takhliye ki baaton mein guftagu izafi hai

pyar karne walon ko ik nigah kafi hai

unknown


kaise pukaren hum iss hajoom-e-gham mein
ke sab hi hamare aazmaaye huye hain
tumhi ne kar diya tanha
varna hum bhi talluq nibhaye huye hain
dheeme dheeme aansu dil se girte
ke hum apne gham sab se chhupaye huye hain
unn shaanon tak ab rasai na rahi
jin shanon pe aansu bahaaye huye hain
hum karen ab kisi pe kaise bharosa
ke zakhm se dhoka khaye huye hain
khushiyon se bhi ab toh lagta hai darr
iss qadar zakhm hum ne khaaye huye hain
ab dast-e-shanasai na badhayenge hum
ke zamane bhar se thukraaye huye hain

unknown


ik baar rula de phir se humen hasne se pehle
ke zakhm khaaye hain bahot dil lagaane se pehle
ab rahat mili hai rooh ko tere aane ke baad
yun toh na thi tabiyat tujhe apnane se pehle
ab nazar lagi hai zamane ki shahid tujhe
jo badnaam karte hain ashiqon ko mitane se pehle !!

meer ki shayyiri

rahi nagufta mere dil mein dastan meri
na iss dayar mein samjha koi zabaan meri
barang-e-saut- e-jaras tujhse duur hun tanha
khabar nahin hai tujhe aah karavan meri
ussi se duur raha asl-e-mudda jo tha
gayi ye umr-e-aziiz aah raaygaan meri
tere firaq mein jaise khayal muflis ka
gayi hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri
diya dikhaayi mujhe toh ussi ka jalwa 'meer'
padi jahan mein ja kar nazar jahan meri

parvin shakir ki shayyiri

sakuun bhi kam hua, neend bhi hai kam kam phir
qareeb aane laga duuriyon ka mausham phir
bana rahi hai teri yaad mujhko sil-e-guher
piro gaye hai meri palkon mein aaj shabnam phir
vo narm lehje mein kuch keh raha hai phir mujhse
chida hai pyar ke komal suron mein muddam phir
tujhe manaun ke apni anaa ki baat sunu
ulajh raha hai mere faislon ka reshan phir
na usski baat main samjhun na vo meri nazren
muaamlaat-e-zaban ho chalen hain mubbum phir
yeh aane wala naya dukh bhi usske sar hi gaya
chatakh gaya meri angishtari[finger] ka neelam phir
vo ek lamha ke jab saare rang ek huye
kisi bahaar ne dekha na aisa sangam phir
bohat aziz hain aankhein meri usse, lekin
vo jaate jaate innhen kar gaya purnam phir

azeem ki shayyiri

lakh dukh uthhaao, tum koshish karte rehna
'azeem' issi tarah toot ke usse chahte rehna
vo yaad na kare tumko ye uss ka amal hai
tum khud se ziyada usse yaad karte rehna
ye jaan lo ke rona ussko aata nahi tum par
khair tum aise hi ehad nibhaate rehna
aansuon ki tumhare koi qeemat nahi hai
usski yaad mein yun hi tum ashq bahate rehna
kabhi tadpegi vo, kabhi toh beqarar hogi
dastan tum ussko apni yunhi sunate rehna
din bohat kam hain tumhari zindgi ke 'azeem'
agar nafrat be kare tum uss se muhbbat karte rehna
zindgi ke kisi mod par pachhtaayegi vo bhi
tum bhi khuli aankhon se usse dekhte rehna
khoon-e-dil lagaya hai molla iss be_parwa ke saath
marr jaaunga nahi hota mujhse jeete rehna
jeene ki baat hai iss mein kya kahun 'azeem'
qismat mein hai tumhari usske liye tadapte rehna

unknown

kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye
haalat se, kuch khudh se majboor ho gaye
mohhbbat rula deti hai, kab ye maana tha
apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye
manzil jise samjha bana wo meel ka pathar
nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye
hadh se badh jaaye jo gham, deta nahin dard
muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye
dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko
khudaya humse kaise yeh qasoor ho gaye !!!

unknown

kuch aise log jo zehan se bhulaye nahi jaate
kuch aise lamhe jo dil se mitaaye nahi jaate
dard ki chaadrein meri ghazlon ko dhaanp leti hain
mujhse shairon mein naye rang dikhaye nahi jaate
bebasi badh ke meri aankhon mein utar aati hai
meri hansi se mere aansu chhupaye nahi jaate
teri tehreeron se aati hai tere haathon ki mehak
bewaffa mujhse tere khat jalaye nahi jaate
waffa ki raahon mein bhujne ke baad ye jaana hai
sar-e-hawa diye mohbbat ke sajaaye nahi jaate
ae mere khuda taqdeer ko itna toh bataya hota
dukhon ke pahaad insaanon pe giraaye nahi jaate

unknown

yun mere dil ke baraber tera gham aaya hai
jaise sheese ke muqabil koi patthar jaana
jaise mehtaab ko be_ant samander chahe
maine iss taur se chaha tujhe aksar jaana

unknown

ye log mujhe kyun nahi pehchaante 'mohsin'
main sochta hun kahan reh gaya mera chehra

unknown

shikwa hai ab humko apni taqdeer se,
logo se ae dil hum kuch kaha nahi karte,
kar lete hai tanhaiyon mein khud se hi baate,
dard apne dil ka kisi se kaha nahi karte,
apne afsane ke khud hi malik hai hum,
apne fasane kisi se kaha nahi karte,
aandheron se hi kar li hai dosti humne,
ujaale ab hume bhaya nahi karte,
dil hi ko bana liya hai faqat apna rafeeq,
sun lete hai sabki apni kisi se kaha nahi karte..!!!

unknown

pyar mujhse jo kiya tumne toh kya paaogi
mere haalat ki aandhi mein bikhar jaaogi
ranj aur dard ki basti ka main baashinda hun
ye toh bas main hun ke iss haal mein bhi zinda hun
khvab kyun dekhun vo kal jis pe main sharminda hun
main jo sharminda hua tum bhi toh sharamaaogii
kyun mere saath koi aur pareshaan rahe
meri duniya hai jo viraan toh viraan rahe
zindagi ka ye safar tumko toh aasaan rahe
hamsafar mujhko banaaogi toh pachhtaaogi
ek main kya abhi aayenge diwaane kitne
abhi gunjenge muhabbat ke taraane kitne
zindgi tumko sunaayegi fasaane kitne
kyun samajhati ho mujhe bhuul nahi paaogi
pyar mujhse jo kiya ...........

unknown

zamane bhar ki nigahon mein jo khuda sa lage
vo ajnabi hai, magar mujhko aashna sa lage
najaane kab meri duniya mein muskurayega
vo ek shaks ke khabon mein bhi khaffa sa lage
ajeeb cheez hai yaaron, ye manzilon ki hawas
ke raahzan bhi musafir ko, rah_numa sa lage
dil-e-tabaah ! tera mashwara hai kya ! ke mujhe
vo phool rang sitaara bhi, bewaffa sa lage
hui hai jis se munavuur har ek aankh ki jheel
vo chand aaj bhi imran ko kam_numa sa lage

unknown

vo silsile vo shauq vo nisbat nahi rahi
ab zindagi mein hizr ki wehshat nahi rahi
toota hai jab se usski maseehai ka tallism
dil ko kisi maseeha ki hajat nahi rahi
phir yun hua ke koi shanasa nahi raha
phir yun hua ke dard mein shidat nahi rahi
phir yun hua ke ho gaya masroof wo bahut
aur hum ko yaad karne ki fursat nahi rahi
ab kya kisi ko chahen 'bedil' humko toh inn dino
khud apne aap se bhi mohbbat nahi rahi

unknown

kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain,
nadan hain guzre zamane dhoondte hain,
jab woh" thay....!!! talaash-e-zindgi bhi thi,
ab toh maut ke thikaane dhoondte hain..!!
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha..!!
aaj huye se deewaane,dhoondte hain..!!
musafir bekhabar hain teri aankhon se,
tere shehr mein maikhaane dhoondte hain,
tujhe kya khabar ae sitam dhaane waale,
hum toh rone ke bahane dhoondte hain..!!
unnki aankhon ko yun dekho na !!
naye teer hain..!! nishaane dhoondte hain

unknown

voh mujhse chaahta kya tha mujhe khabar na hui
bikherta bhi raha aur samet'ta bhi raha

unknown

tumko mallum sahi mujhko mallum nahin
dard jab lutf ki manzil sw guzar jaata hai
na dilaason se behalta hai tadapta hua dil
na nigahhon ko kisi tor qaraar aata hai

unknown

asaan nahi abaad karna ghar mohbbat ka
yeh unnka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain

unknown

jaane ae dost ! kiya hua humko
tera gham bhi na ab raha humko
hum na aayen, kahin ye mumkin hai
aap de toh sahi sada humko
khusk patte hain hum najaane kab
le udde baawli hawa humko
kab se hain hum toh goshbar aawaaz
kuch toh ae khamoshi suna humko
kis liye khuaar hun talaash mein hum
khud hi dhundhega rasta humko
yunhi aa aa ke lipt'te jaati hai
jaane kehti hai kiya saba humko
ho gayi duur saare din ki thakan
sham se vo sukoon mila humko

saki ki shayyiri

ek saa'at-e-giraan hun, mujhe bhool jaaiye
beeta hua samaan hun, mujhe bhool jaaiye
jo mere saath waqat guzra, vo khwab tha
main naqsh-e-b_nishaan hun, mujhe bhool jaaiye
yeh qasr-e-zer nigaar mubarak ho aap ko
khasta sa ek makaan hun, mujhe bhool jaaiye
faatih na meri yaad mein aansu bahaiye
ek mauja-e-rawan hun, mujhe bhool jaaiye
mujhse ta-umr saath ki tawakko na kariye
main waffa nahi, waffa ka dhoka hun, mujhe bhool jaayie

unknown

zindgi jab bhi teri bazm mein laati hai hamen
ye zamiin chaand se behtar nazar aati hai hamen
surkh phoolon se mehak uth'ti hain dil ki raahen
din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamen
yaad teri kabhi dastak kabhi sarogoshi se
raat ke pichhle pehar roz jagati hai hamen
har mulaqat ka anjaam judai kyun hai
ab toh har waqt yahi baat satati hai hamen
ab kis kaabe se umeed-e-wafa karein
ke har khuda se behlaaye hue hain

unknown

mujhse ta-umar saath ki tawakko na kariye
main waffa nahi, waffa ka dhoka hun, mujhe bhool jaayiye.....

unknown

usska milna hi muqaddar mein nahi tha verna
humne kya kya nahi khoya usse paane ke liye

unknown

zindgi hamen tumse koi aarzoo kab thi
hum toh iss aas mein jeete hain ki marna kab hai

unknown

tumhare ishq mein hum par jo haal guzre hain
mila jula ke koi bees saal guzre hain
yeh char din ki muhabbat to hai nahin janaan
shumaar kar lo toh kitne malaal guzre hain

unknown

faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
saamne baitha tha mere aur vo mera na tha

unknown

aitbaar-e-dil-e-awaara nahi hai mujhko
usski dhadkan mein bhala kaise basa dun tujhko
mujhe vo apni zindgi kehne laga hai
shayad ussko mera aitbaar nahi