Tuesday, June 23, 2009

kaifi aazmi ki shayyiri

buut-shikan koi kahin se bhi na aane paaye
hamne kuch buut abhi seene mein saja rakhe hain
apni yaadon mein basa rakhe hain
dil pe ye soch ke path'raao karo diwanon
ke jahan hamne sanam apne chhupa rakhe hain
vahin ghazni ke khuda rakhe hain

buut jo tuute toh kisi tarah bana lenge unhen
tukde-tukde sahi daaman mein utha lenge unhen
phir se ujde huye seene mein saja lenge unhen
gar khuda tuutega ham toh na bana paayenge
usske bikhde huye tukde na uthaa paayenge
tum utha lo toh utha lo shayad
tum bana lo toh bana lo shayad
tum banaao toh khuda jaane banaao kaisa
apne jaisa hi banaya toh qayamat hogi
pyar hoga na zamaane mein mohabbat hogi
dushmani hogi, adaavat hogi
hamse usski na ibaadat hogi

vehshat-e-buut-shikani dekh ke hairaan hun main
but-parastii mera shevaa hai ke insaan hun main
ek na ek buut toh har ek dil mein chhupa hota hai
usske sau naamon mein ek naam khuda hota hai

No comments:

Post a Comment