Thursday, June 25, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kisi se choot ke shaad aur kisi se mil ke ghamii
'firaq' teri muhbbat ka koi theek nahi
yun hi-sa tha koi jisne mujhe mita dala
na koi noor ka putlaa na koi zohara-zabiin
jo bhoolti bhi nahin yaad bhi nahi aati
teri nigah ne kyun vo kahaniyan na kahi
lab-e-nigaar hai ya nagma-e-bahaar ki lau
sakuut-saaz hai ya koi mutreeb-e-rangin
shuru-e-zindgi-e-ishq ka vo pehla khwab
tumhen bhi bhool chuka hai mujhe bhi yaad nahin
hazaar shukr ki mayyus kar diya tune
ye aur baat ki tujhse badi ummiden thi
agar badal na diya aadmi ne duniya ko
toh jaan lo ki yahan aadmi ki khair nahin
hunar toh khair hunar aib se bhi jalte hain
fugaan ki ahl-zamana hai kis qadar kambi'n

No comments:

Post a Comment