Monday, December 22, 2008

ghalib ki shayyiri

घर जब बना लिया है तेरे दर पर कहे बगैर ! जानेगा अब भी तू न मेरा घर कहे बगैर ! कहते हैं, जब रही न मुझे ताक़त-ए-सुखन[strength to speak] जानु किसी के दिल की मैं क्यूँकर कहे बगैर ! काम उसे आ पड़ा है की जिसका जहाँ में लेवा न कोई नाम 'सितमगर' कहे बगैर ! जी में ही कुछ नहीं है हमारे, वर्ना हम सर जाए या रहे, न रहे पर कहे बगैर ! छोडूंगा मैं न उस बुत-ए-काफिर का पुजना छोड़े न खलक को मुझे काफिर कहे बगैर ! मकसद है नाज़-ओ-घमज़ा, वाले गुफ्तुगू में काम चलता नहीं है, दसना-ओ-खंजर कहे बगैर ! हर चाँद हो मुशाहित[God]-ए-हक की गुफतगू बनती नहीं है बाद[wine]-ए-सागर कहे बगैर ! बहरा हूँ मैं तो चाहिए दूना हो इल्ताफात[mercy] सुनता नहीं हूँ बात मुक़रर[again] कहे बगैर ! 'ग़ालिब' न कर हजूर में तू बार-बार 'अर्ज़ ज़ाहिर है तेरा हाल सब उन पर कहे बगैर !

khayal ki shayyiri

वहम होगा तो उससे यकीं कह देंगे आसमान को गिरा देंगे, ज़मीं कह देंगे अपना मकसद के लिए अहले-हवस, कया मालूम किसको गुलफाम किसे माहज़बीं कह देंगे ! उम्र भर खुल के न हो पायेगी बातें बाहम(एक दुसरे से) दोनों डरते हैं कि गैरों से कहीं कह देंगे अबके सोचा है कि हम पूछ ही डालेंगे सवाल और कया होगा बहुत ! आप 'नहीं' कह देंगे ! काम होगा कि न होया, ये तो जाने मालिक आप कह्ते हैं तो हम अपनी तईं(अपनी और से) कह देंगे आज़माइश के मयारों से हैं वाकिफ़ हम भी इम्तिहान सख्त न लोगे तो हमीं कह देंगे दिल दिमाग और बदन के भी तनासुब[balance] पे 'ख्याल' वो खरा उतरे तो, हम उसको हसीं कह देंगे

ghalib ki shayyiri

ghar jab bana liya hai tere darr par kahe bagaiir jaanega ab bhi tu na mera ghar kahe bagaiir kehte hain, jab rahi na mujhe taaqat-e-sukhan[strength to speak] jaanu kisi ke dil ki main kyunkar kahe bagaiir kaam us'se aa pada hai ki jis ka jahan mein lewa na koi naam 'sitamgar' kahe bagair ji mein hi kuch nahin hai hamare, varna hum sar jaaye ya rahe, na rahein par kahe bagair chodunga main na uss buut-e-kaafir ka poojna chode na khalqgo mujhe kaafir kahe bagaiir maqsad hai naaz-o-ghamza, wale guftagu mein kaam chalta nahin hai, dashna-o-khanjar kahe bagair har chand ho mushaahit[God]-e-haq ki gufagu banti nahin hai baada[wine]-o-saagar kahe bagair behra hun main toh chahiye doona ho iltafaat[mercy] sunta nahin hun baat muqarrar[again] kahe bagair "ghalib" na kar hazoor mein tu baar-baar 'arz zaahir hai tera haal sab unn par kahe bagaiir

khayal ki shayyiri

veham hoga toh usse log yakin keh denge aasman ko giira denge, zamiin keh denge apne maksad ke liye ahle-hawas, kya maloom kisko gulfaam kise maahzabi keh denge ! umar bhar khul ke na ho payengi baaten bhaham[ek-dosre se] dono darte hain ki gaiiron se kahin keh denge ab ke socha hai ki hum pooch hi daalenge sawaal aur kya hoga bahut ! aap 'nahi' keh denge ! kaam hoga ki na hoga, ye toh jaane maalik aap kehte hain toh hum apne tayin[apni aur se] keh denge aazmiesh ke mayyar se wakiff hum bhi imtihaan sakht na loge toh humi keh denge dil dimaag aur badan ke bhi tanaasub[balance] pe 'khayal' vo khara utare toh, hum ussko hasin keh denge

muzaffar warsi ki shayyiri

हाथ आँखों पे रख लेने से खतरा नहीं जाता दीवार से भूचाल को रोका नहीं जाता दावों के तराजू में तो अजमत नही तुलती फीते से तो किरदार को नापा नहीं जाता फरमान से पेड़ों पे कभी फल नहीं लगते तलवार से मौसम को बदला नहीं जाता चोर अपने घरों में तो नहीं नकाब लगाते अपनी ही कमाई को तो लुटा नहीं जाता औरों के खयालात कि लेते है तलाशी और अपने गिरेबाँ में झाँका नहीं जाता फौलाद से फौलाद तो कट सकता है लेकिन कानून से कानून बदला नहीं जाता तूफ़ान में हो नाव तो कुछ सबर भी आ जाये साहिल पे खड़े होके तो डूबा नहीं जाता दरिया के किनारे तो पहुँच जाते हैं प्यासे प्यासों के घरों तक तो दरिया नहीं जाता अल्लाह जिसे चाहे उसे मिलती है 'मुज़फर' इज्ज़त को दुकानों से ख़रीदा नहीं जाता

muzaffar warsi ki shayyiri

haath aankhon pe rakh lene se khatraa nahin jaata diwaar se bhuuchal ko roka nahin jaata daavon ki taraazu mein toh azmat nahin tulti fiite se toh qirdaar ko naapaa nahin jaata [qirdaar : character; fiite : (measuring string] farmaan se pedon pe kabhi phal nahin lagte talwar se mausam ko badla nahin jaata [farman : hukam; pedon : trees] chorr apne gharon mein toh nahin naqab lagate apni hi kamai ko toh luuta nahin jaata auron ke khayalaat ki lete hain talaashi aur apne garibaan mein jhaanka nahin jaata faulaad se faulaad toh kat sakta hai lekin kaanuun se kaanuun badla nahin jaata tufaan mein ho naav toh kuch sabr bhi aa jaaye saahil pe khade ho ke toh duba nahin jaata dariya ke kinare toh pahunch jaate hain pyaase pyasoon ke gharon tak toh dariya nahin jaata Allah jise chahe usse milti hai "“Muzaffar” izzat ko dukaanon se khariida nahin jaata

zamil ki shayyiri

आप में गुम हैं मगर सब कि खबर रखते हैं घर में बैठे है ज़माने पे नज़र रखते हैं नुकताचीं देखिये किस किस पे नज़र रखते है हमसे अब ऐ ! गर्दिश-ए-दौराँ तुम्हे कया लेना है एक ही दिल है सो वो ज़ेर-ए-ज़बर रखते हैं जिसने तेरा उजालों का भ्रम रखा है अपने सीने में वो ना-दीदा सहर रखते हैं रहनुमा खो गए मंजिल तो बुलाती हैं हमें पाँव ज़ख्मी है तो कया ! जोक-ए-सफ़र रखते है वो अंधेरो के पयम्बर है तो कया गम है "जामिल" हम भी आँखों में कई शम्स-ओ-कमर रखते हैं

zamil ki shayyiri

aap mein guum hai magar sab ki khabar rakhte hai ghar mein baithe hai zamane pe nazar rakhte hai nuktaachiin dekhiye kis kis pe nazar rakhte hai hum se ab ae gardish-e-dauraan tumhe kya lena hai ek hi dil hai so vo zer-e-zabar rakhte hai jis ne tiira-ujaalo ka bharm rakha hai apne seene mein vo na-deeda sahar rakhte hai rehnuma kho gaye manzil toh bulati hai hamen paanv zakhmi hai to kya zauq-r-safar rakhte hai vo andhero ke payamber hai toh kya gam hai 'zamil' hum bhi ankho mein kai shams-o-qamar rakhte hai

anjum rahbar ki shayyiri

jinke aangan mein amiri ka shajar[tee] lagta hai
unka har aib zamaane ko humar lagta hai
chaand taare mere qadmon mein bichhe jaate hain
ye buzurgon ki duaon ka asaar lagta hai
ma mujhe dekh ke naaraz na ho jaaye kahin

sar pe aanchal nahin hota hai toh darr lagta hai

anjum rahbar ki shayyiri

जिनके आँगन में अमीरी का शजर[tree] लगता है
उनका हर ऐब ज़माने को हुनर लगता है
चाँद तारे मेरे क़दमों में बिछे जाते हैं
ये बुजुर्गों कि दुआओं का असर लगता है
माँ मुझे देख के नाराज़ ना हो जाये कहीं
सर पे आँचल नहीं होता है तो डर लगता है

faiz ki shayyiri

दिल में अब यूँ तेरे भूले हुए गम आते हैं
जैसे बिछडे हुए काबे में सनम आते हैं
इक-इक करके हुए जाते हैं तारे रोशन
मेरी मंजिल की तरफ तेरे कदम आते हैं
रस-ए-मय[शराब का दौर] तेज़ करो,साज़ की लय तेज़ करो
सु-ए-मयखाना[मयखाना की ओर] सफीरान-ए-हरम[धर्म के प्रतिनिधि] आते हैं
कुछ हमीं को नहीं एहसान उठाने का दिमाग
वो तो जब आते हैं, माइल-ब-करम[कृपालु] आते हैं
और कुछ देर न गुज़रे, शब्-ए-फुर्क़त से कहो
दिल भी कम दुखता है, वो याद भी कम आते हैं

faiz ki shayyiri

dil mein ab yun tere bhule huye gam aate hain
jaise bichade huye kaabe mein sanam aate hain
ik-ik karke huye jaate hain taare roshan
meri manzil ki taraf tere kadam aate hain
ras-e-mai[shraab ka daur] tez karo,saaz ki lai tez karo
su-e-maikhana[maikhane ki aur] safiraan-e-harm[dhram ke prtinidi] aate hai
kuch hamen ko nahin ehsaan ka dimaag vo toh
jab aate hain, maail-b-karam[kirpalu] aate hain
aur kuch der na guzre, shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai, vo yaad bhi kaam aate hain

faiz ki shayyiri

tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
kisi bahane tumhen yaad karne lagte hain
har ajnabi, hamen marham dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain
sabaa se karte hain gurbat naseeb[ghar se duur rehne wale] zikr-e-vatan[ghar ki charch]
toh chsm-e-subah[subah ki aankhon] mein aanso ubharne lagte hain
vo jab bhi karte hain iss nutak-o-lab ki bakhiyagari[lab aur baat bandh karna]
faza mein aur bhi nagme bikhrne lagte hain
dar-e-kafas[door of jail] pe andhere ki mohar lagti hai toh "faiz"
dil mein sitare ubharne lagte hain

faiz ki shayyiri

बे-दम हुए बीमार दावा क्यूँ नहीं देते
तुम अच्छे मसीहा हो शिफा क्यूँ नहीं देते
दर्द-ए-शब्-ए-हिज्राँकि ज़जा[इनाम] क्यूँ नहीं देते
खून-ए-दिल-ए-वहशी का सिला[बदला] क्यूँ नहीं देते
मिट जायेगी मखलूक[सृष्टि] तो इन्साफ करोगे
मुंसिफ हो तो अब हश्र उठा क्यूँ नहीं देते
पैमान-ए-जुनूं हाथों को शरमाएगा कब तक
दिलवालों, गीरेबां का पता क्यूँ नहीं देते
बर्बादी-ए-दिल-ज़बर[विवशता] नहीं "फैज़"
किसी का वो दुश्मन-ए-जां है तो भुला क्यूँ नहीं देते

faiz ki shayyiri

be-dam huye bimaar dawa kyun nahin dete
tum achche masiha ho shifa kyun nahin dete
dard-e-shab-e-hizraan ki zaza[inaam] kyu nahi dete
khun-e-dil-e-vehshi ka sila[badla] kyun nahin dete
mit jayegi makhlook[shristi] toh insaaf karoge
munsif ho toh ab hashr utha kyun nahin dete
paimaan-e-junnon[diwangi ki kasam] haatho ko sharmayega kab tak
dilwalo, girabaan ka pata kyun nahi dete
barbadi-e-dil-zabr[majboor] nahi "faiz"
kisi ka vo dushman-e-jaan hai toh bhula kyun nahin dete

faiz ki shayyiri

क़र्ज़-ए-निगाह-ए-यार अदा कर चुके है हम सब कुछ निसार-ए-राह-ए-वफ़ा कर चुके है हम अब एहतियात कि कोई सूरत[बचाव का रस्ता] नहीं रही कातिल से रस्म-ओ-राह सिवा[सम्पर्क बढ़ाना] कर चुके है हम देखे हैं कौन कौन, ज़रुरत नहीं रही कू-ए-सितम[अत्याचार की गली] है, चाहे जहाँ चलें रहबर से अपनी राह जुदा कर चुके हैं हम उनकी नज़र में, कया करें, फीका है अब भी रंग जितना लहू था सर्फ़-ए-कबा[वस्त्रो पर व्यय] कर चुके हैं हम कुछ अपने दिल की खू का भी शुकराना चाहिए सौ बार उनकी ख़ू का गिला[स्वभाव की शिकयात] कर चुके हैं हम

faiz ki shayyiri

karz-e-nigah-e-yaar adaa kar chuke hai hum
sab kuch nisar-e-rah-e-wafa kar chuke hai hum
ab ehtiyaat ki koi suart[way to escape] nahi rahi
kaatil se rasm-o-rah shiva[increase contact] kar chuke hai
hum dekhe hai kaun kaun, jaroorat nahin rahi
ku-e-sitam[zulm ki gali] mein sab ko khafa kar chuke hai hum
ab apna ikhtiyar hai, chahe jahan chalen
rehbar se apni raah juda kar chuke hai hum
unnki nazar mein, kya kare, feeka hai ab bhi
rang jitna lahu tha sarf-e-kabaa[expenses on clothes] kar chuke hai
hum kuch apne dil ki khu ka bhi sukrana chahiye
sau baar unnki khu ka gila[compaint of nature] kar chuke hain hum

faiz ki shayyiri

बात बस से निकल चली है
दिल की हालत संभल चली है
अब जुनूं हद से बढ़ चला है
अब तबियत बेहाल चली है
अश्क खुनाब[लहू का रंग]हो चले है
गम की रंगत बदल चली है
लाख पैगाम हो गए है
जब सबा इक पल चली है
जाओ, अब सो रहो सितारों
दर्द की रात ढल चली है

faiz ki shayyiri

baat bas se nikal chali hai
dil ki haalat sambhal chali hai
ab junoon hadh se badh chala hai
ab tabiyat behal chali hai
ashk khunaab[lahu ka rang] ho chale hai
gam ki rangat badal chali hai
laakh paigham ho gaye hai
jab saba ik pal chali hai
jaao, ab so raho sitaro
dard ki raat dhal chali hai

faiz ki shayyiri

राज़-ए-उल्फत छुपा के देख लिया
दिल आहूत कुछ जला के देख लिया
और कया देखने को बाकी है
आप से दिल लगा के देख लिया
वो मेरे होके भी मेरे ना हुए
उनको अपना बना के देख लिया
आज उनकी नज़र में कुछ हमने
सब की नज़रें बचा के देख लिया
"फैज़" तकमील-ए-गम भी हो ना सकी
इश्क को आजमा के देख लिया

faiz ki shayyiri

raaj-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bahut kuch jala ke dekh liya
aur kya dekhne ko baaki hai
aap se dil laga ke dekh liya
vo mere hoke bhi mere na huye
unnko apna bana ke dekh liya
aaj unnki nazar mein kuch humne
sab ki nazren bacha ke dekh liya
"faiz" takmeel-e-gam bhi ho na saki
ishq ko aajma ke dekh liya

Sunday, December 21, 2008

zafar ki shayyiri

आशना[दोस्त] हो तो आशना समझे हो जो नाआशना, तो कया समझे ? हम इसी को भला समझते है आपको जो कोई बुरा समझे वसल है, तू जो समझे, उसे वसल तू जुदा है, अगर जुदा समझे जो ज़हर देवे अपने हाथ से तू तेरा बीमारे-गम दावा समझे हो वो बेगाना एक आलम से जिसको अपना वो दिलरुबा समझे ऐ ! "ज़फर" वो कभी ना हो गुमराह जो मुहबत को रहनुमा समझे

zafar ki shayyiri

aashna[dost] ho toh aashna samjhe ho jo na_ashna, toh kya samjhe ? hum issi ko bhala samjhte hain aapko jo koi bura samjhe wasal hai, tu jo samjhe, usse wasal tu juda hai, agar juda samjhe jo zehar deve apne haath se tu tera bimaar-e-gham dawa samjhe ho vo begana ek aalam se jisko apna vo dilruba samjhe ae ! "zafar" vo kabhi na ho gumraah jo muhabat ko rehnuma samjhe

bashir badr ki shayyiri

अभी इस तरफ ना निगाह कर मैं ग़ज़ल की पलकें संवर लूँ
मेरा लफ्ज़ लफ्ज़ हो आइना तुझे आईने में उतर लूँ
मैं तमाम दिन का थका हुआ, तू तमाम शब का जगा हुआ
ज़रा ठहर जा इसी मोड़ पर तेरे साथ शाम गुजार लूँ
अगर आसमान की नुमयिशों में मुझे भी इज़्ने-कयाम[ठहराव का आदेश] हो
तो मैं मोतियों की दूकान से तेरी बालियाँ तेरे हार लूँ
कई अजनबी तेरी राह के मेरे पास से यूँ गुज़र गए
जिन्हें देखकर यें तड़प हुई तेरा नाम ले के पुकार लूँ

bashir badr ki shayyiri

abhi iss taraf na nigah kar main gazal ki palken sanwaar loon
mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein uttar loon
main tamam din ka thaka hua, tu tamam shab ka jaga hua
zara thehr ja issi mod par tere saath shaam guzar loon
agar aasman ki numayishon mein mujhe bhi izne kayaam[thehrav ka aadesh] ho
toh main motiyon ki dukaan se teri baaliyan tere haar loon
kai ajnabi teri rah ke mere paas se yun guzar gaye
jinhe dekh kar ye tadap hui tera naam le ke pukar loon

bashir badr ki shayyiri

आँसूओ कि जहाँ पायमाली रही
ऐसी बस्ती चिरागों से खाली रही
दुश्मनों कि तरह उससे लड़ते रहे
अपनी चाहत भी कितनी निराली रही
जब कभी भी तुम्हारा ख्याल आ गया
फिर कई रोज़ तक बेखयाली रही
लब तरसते रहे इक हँसी के लिये
मेरी कश्ती मुसाफिर से खाली रही
चाँद तारे सभी हम सफ़र थे मगर
जिंदगी रात थी रात काली रही
मेरे सीने पे खुशबू ने सर रख दिया
मेरी बाहों में फूलों की डाली रही

bashir badr ki shayyiri

aansoon ki jahan paymaali rahi
aisi basti chiragon se khali rahi
dushmano ki tarah usse ladte rahe
apni chaht bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
lab tarste rahe ik hassike liye
meri kashti musafir se khali rahi
chaand taare sabi humsafar thay
magar jindgi raat thi raat kaali rahi
mere seene pe khusboo ne sar rakh diya
meri bahoon mein phoolon ki daali rahi

bashir badr ki shayyiri

कभी यूँ भी आ मेरी आँख में कि मेरी नज़र को खबर ना हो
मुझे एक रात नवाज़ दे मगर इसके बाद सहर ना हो
वो बड़ा रहीमो-करीं है मुझे यें सिफत भी अता करे
तुझे भूलने की दुआ करूँ तो मेरी दुआ में असर ना हो
मेरे बाजूओं में थकी थकी अभी महवेख्वाब[सपने में खोई] है
चांदनी ना उठे सितारों की पालकी अभी आहटों का गज़र ना हो
कभी दिन की धुप में झूम के कभी शब के फूल को चूम के
यूँ ही साथ साथ चलें सदा, कभी ख़त्म अपना सफ़र ना हो

bashir badr ki shayyiri

kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de magar iss ke baad sahar na ho
vo bada rahimo-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhoolne ki dua karoon toh meri dua mein bhi asar na ho
mere bazoon mein thaki thaki abhi mahvekhwab[lost in dream] hai chandni
na uthe sitaron ki paalki abhi aahton ka guzar na ho
kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada, kabhi khatam apna safar na ho

bashir badr ki shayyiri

वो ग़ज़ल वालों का उस्लूब[शैली] समझते होंगे
चाँद कह्ते हैं किसे खूब समझते होंगे
इतनी मिलती है मेरी गज़लों से सूरत तेरी
लोग तुझ को मेरा महबूब समझते होंगे
मैं समझता था मुहबत की ज़बाँ खुश्बू है
फूल से लोग इसे खूब समझते होंगे
भूल कर अपना यें ज़माना ज़माने वाले
आज के प्यार को मायूब[बुरा] समझते होंगे

bashir badr ki shayyiri

vo gazal walon ka usloob[tareeka] samjhte honge
chaand kehte hain kise khoob samjhte honge
itni milti hai meri gazalon se surat teri
log tujhko mera mehboob samjhte honge
main samjhta tha muhabat ki zabaan khusboo hai
phool se log isse khoob samjhte honge
bhool kar apna zamana ye zamane wale
aaj ke pyar ko maayoob[bura] samjhte honge

meer ki shayyiri

जीते-जी कुंचा-ए-दिलदार[प्रिय कि गली] से जाया ना गया उसकी दीवार का सर से मेरे साया ना गया गुल में उसकी-सी जो बू आई तो आया ना गया हमको बिन दोशे-शबा[हवा के कंधे]बाग़ से लाया ना गया कया तुनक[कम]-हौसला थे दीदा-ओ-दिल[आँखें,दिल] अपने आह एकदम[क्षणभर के लिए] राज़ मुहबत का छुपाया ना गया मह[चाँद] ने आ सामने शब याद दिलाया था उसे फिर वो ता-सुबह मेरे जी से भुलाया ना गया गुल ने हरचंद कहा बाग़ में रह, पर उस से जी जो उल्टा तो किसी तरह लगाया ना गया
सर-नशीने-रहे-मयखाना[मदिरालय की राह में बैठा हुआ] हूँ मैं कया जानूं रस्मे-मसजिद के तईं शेख कि आया ना गया खौफे-आशेब से गौगा-ए-क़यामत[प्रलय का शोर] के लिए खूने-ख्वाबीदा-ए-उश्शाक[कत्ल प्रेमियों का सोया खून] जगाया ना गया शहरे-दिल आह अजाब जाय[जगह] थी पर उसके गए ऐसा उजड़ा कि किसी तरह बसाया ना गया जेरे-शमशेर-सितम[अत्यचार कि तलवार] "मीर" तडपना कैसा सर भी तस्लीम-मुहबत में हिलाया ना गया

meer ki shayyiri

jeete-ji kooncha-e-dildaar[premi ki gali] se jaaya na gaya
usski deewar ka sar se mere saaya na gaya
gul mein usski-si jo buu aai toh aaya na gaya
humko bin doshe-saba[hawa ke kandhe] baagh se laya na gaya
dil mein reh dil mein ki memare-kaza[God] se ab tak
aisa matbu'aa[wished] makaan koi banaya na gaya
kya tunak[less]-hausla thay deed-o-dil[eyes,heart] apne aah
ekdam[palbhar ke liye] raaz muhabat ka chhypaya na gaya
maah[chaand] ne aa saamne shab yaad dilaya usse
phir vo ta-subah mere jii se bhulaya na gaya
gul ne harchand kaha baagh mein reh, par uss din
jii jo ulta toh kisi tarah lagaya na gaya
sar-nasheen-e-rah-e-mahkhana[madirayla ki raah mein baitha] hun, main kya jaanu rasm-e-maszid ke tayin shekh ki aaya na gaya khauff-e-aasheb se googa-e-qaymat [parlaye ka shor] ke liye khun-e-khwabeeda-e-ushshaak[sleeping blood of killed lovers] jagaya na gaya shehr-e-dil aah azab jaae[jagah] thi par usske gaye aisa ujda ki kisi tarah basaya na gaya zer-e-shamsheer-e-sitam "meer" tadpana kaisa sar bhi tasleem-e-muhabat mein hilaya na gaya

meer ki shayyiri

देख तो दिल कि जां से उठता है यह धुंआ-सा कहाँ से उठता है गोर[कब्र] किस दिलजले कि है यें फलक शोला इक सुबह यां से उठता है खाना-ए-दिल से जीनहार[हर्गिज़] ना था कोई ऐसे मकां से उठता है बैठने कौन दे है फिर उनको जो तेरे आस्तां[चोखट] से उठता है यूँ उठे आह उस गली से हम जैसे कोई जहाँ से उठता है इश्क एक "मीर" भारी पत्थर है कब यें तुझ नातवां[कमज़ोर] से उठता है

meer ki shayyiri

dekh toh dil ki jaan se uthta hai yeh duaan-sa kahan se uthta hai gaur[kabar] kis diljale ki hai ye falak shola ik subah yaan se uthta hai khana-e-dil se zeenhaar[hargiz] na tha koi aise makaan se uthta hai baithne kaun de hai phir unnko jo tere aastaan[chokhat] se uthta hai yun uthe aah uss gali se hum jaise koi jahan se uthta hai ishq ek "meer' bhaari pathar hai kab ye tujh natvaan[kamzor] se uthta hai

akbar ki shayyiri

सौ जान से महव-ए-रुख-ए-जाना[प्रेमिका को देखना] हैं तो हम हैं
इस आइना खाना[शीशा घर] में जो हैरांहैं तो हम हैं
गुल्गिश्त करें, फूल चुनें उनको है कया गम
आवारा-ए-सहरा-ए-मुगीलां[जंगल में भटकना] हैं तो हम हैं
भड़की हुई है आतिश-ए-गुल अपने ही दम से
सोज़-ए-जिगर-ए-बुलबुल-ए-नालां[परेशां बुलबुल का दिल का दर्द]हैं तो हम हैं
शोर अपने ही जलवे का है यें दैर-ओ-हरम[मंदिर-मसजिद] में
मक़सूद-ए-दिल-ए-गबरू-ओ-मुसलमां[पूजा-इबादत करने वाले]हैं तो हम हैं
ऐ बर्क़[बिजली] तड़पने में हम हैं तेरे साथी
ऐ अब्र[बादल] तेरे साथ जो गिरयां[रोता हुआ] है तो हम हैं
दिन रात रकीबों पे है साहिब कि इनायत
बस एक गम-ए-हिज्र में नालां[परेशान] हैं तो हम हैं

akbar ki shayyiri

sau jaan se mahv-e-rukh-ejaana[premika ko dekhna] hain toh dam hai
iss aaiina khana[sheshe ka ghar] mein jo hairan hain toh hum hai
gulghist karen, phool chune, unnko hai kya gham
aawara-e-sehra-e-mugeelan[jungle mein bhadkne wale] apne hi dam se
soz-e-jigar-e-bulbul-e-naalan[preshan bulbul ke dil ka dard] hai toh hum hain
shor apne hi jalwe ka hai ye dair-o-harm[mandir-masjid] mein
maksud-e-dil-e-ghabro-0-mulmaan[pooja-ibadat karne wale] hain toh hum hain
ae bark[bijli] tadpne mein hum hain tere saathi
ae abr[badal] tere sath jo giryaab[rota hua] hain toh hum hain
din raat raqeebon pe hai shahib ki inayat
bas ek gham-e-hizar mein nalaan[pareshan] hain toh hum hai

akbar ki shayyiri

ग़मज़ा[नखरा] नहीं होता कि इशारा नहीं होता
आँख उन से जो मिलती है तो कया कया नहीं होता

जलवा न हो मानी का तो सूरत का असर कया

बुलबुल गुल-ए-तस्वीर का शयदा[चाहना] नहीं होता

अल्लाह बचाए मर्ज़-ए-इश्क से दिल को

सुनते हैं कि यें आरज़ा[रोग] अच्छा नहीं होता

तशबीह[मिसाल] तेरे चेहरे को कया दूं
गुल-ए-तर से
होता है शगुफ्ता मगर इतना नहीं होता
मैं निज़आ[मृत्यु का समय] में हूँ आयें तो एहसान है उनका

लेकिन यें समझ लें के तमाशा नहीं होता

हम आह भी करते हैं तो हो जाते हैं बदनाम

वो कतल भी करते हैं तो चर्चा नहीं होता

akbar ki shayyiri

gamza [nakhra] nahi hota ki ishara nahin hota
aankh unnse jo milti hai toh kya kya nahi hota
jalwa na ho maani ka toh surat ka asar kya
bulbul gul-e-tasveer ka shyada[chahna] nahin hota
allah bachaye marz-e-ishq se dil ko sunte hain ki
ye aarzaa[bimari] achcha nahi hota
tashbeeh[misaal] tere chehre ko kya dun
gul-e-tar se hota hai shgufta magar itna nahin hota
main nizaa[maut ka samay]mein hun, aayen toh ehsan hai unnka
lekin ye samjh len ki tamasha nahin hota
hum aah bhi karte hain toh ho jaate hain badnaam
vo katal bhi karte hain toh charcha nahin hota

akbar ki shayyiri

कया है रह रह के तबियत मेरी घबराती है
मौत आती है शब-ए-हिज़्र[जुदाई की रात], ना नींद आती है

वो भी चुप बैठे हैं, इगयार[दुश्मन] भी चुप, मैं भी खामोश

ऐसी सोहबत से तबियत मेरी घबराती है

क्यूँ ना हो अपनी लगावट की नज़र पर नाजां[घुमंड]

जानते हो की दिलों को यें लगा लेती है

बज्म-ए-इशरत[ख़ुशी की महफिल] कहीं होती है, रो देता हूँ

कोई गुजरी हुई सोहबत मुझे याद आती है

akbar ki shayyiri

kya hai reh reh ke tabiyat meri ghabraati hai
maut aati hai shab-e-hizar[judai ki raat], na neend aati hai
vo bhi chup baithe hain, igyyiar[dushman] bhi chup,main bhi khamosh
aisi shohbat se tabiyat meri ghabrati hai
kyun na ho apni lagavat ki nazar par naazan[proudy]
jaante ho ki dilon ko ye laga leti hai
bazm-e-ishrat[khushi ki mehfil] kahin hoti hai.roa deta hun
koi guzri hui shobat mujhe yaad aati hai

hafeez ki shayyiri

अब तो कुछ और भी अँधेरा है
यें मेरी रात का सवेरा है
रहज़नो[लुटेरे] से तो भाग निकला था
अब मुझे रहबरों[पथ परदर्शक] ने घेरा है
आगे-आगे चलो तबर[हथियार] वालो
अभी जंगल बहुत घनेरा है
काफिला किसकी पैरवी में चले
कौन सबसे बड़ा लुटेरा है ?
सोया रहे अब "हफीज़ जी" तुम भी
यें नयी जिंदगी का डेरा है

hafeez ki shayyiri

ab toh kuch aur bhi andhera hai ye meri raat ka savera hai rehzano[lutere] se toh bhaag nikla tha ab mujhe rehbaron[raah dikhane walon] ne ghera hai aagay-aagay chalo tabarhathiyar] valo abhi jungle bahut ghanera hai kaafila kisiki pairvi mein chale kaun sabse bada lutera hai ? soa rahe ab "hafeez ji" tum bhi ye nayi zindgi ka dera hai

hafeez ki shayyiri

यें कया मुकाम है वो नज़ारे कहाँ गए
वो फूल कया हुए, वो सितारे कहाँ गए
याराने-बज्मे-जुरअते-रिन्दाना कया हुई
उन मस्त अंखडियों के इशारे कहाँ गए
एक और दौर का वो तकाज़ा किधर गया
उमड हुए वो होश के धारे कहाँ गए
उठ-उठ के बैठ चुकी गर्द राह की
यारो ! काफले थके हारे कहाँ गए
बेताब तेरे दर्द से थे चाराहगर "हफीज़"
कया जानिए वो दर्द के मारे कहाँ गए

hafeez ki shayyiri

ye kya mukaam hai vo nazare kahan gaye
vo phool kya huye, vo sitare kahan gaye
yarane-bazme zurate-rindane kya hui
unn mast ankhdiyon ke ishare kahan gaye
ek aur daur ka vo takaza kidhar gaya
umade huye vo hosh ke dhaare kahan gaye
uth-uth ke baith chuki gard raah ki
yaaro ! kaafile thake haare kahan gaye
betaab tere dard se thay charagar "hafeez"
kya zaniye vo dard ke maare kahan gaye

hafeez ki shayyiri

हवा भी खुश गावर है, गुलों पे भी निखार है तरन्नुम हज़ार है, बहार पर बहार है कहाँ चला है साकिया इधर तो लौट इधर तो आ अरे यें देखता है कया उठा सुबू[सुराही], सुबू उठा सुबू उठा प्याला भर, प्याला भर के दे इधर चमन की सिमट कार नज़र, समां तो देख बे खबर वो काली-काली बदलियां उफ्फक पे हो कहीं अयां[प्रगट] वो इक हजुमे-मय कशां[शराब पीने वालो की भीड़] है सुए-मयकदा[मधुशाला] रवां यें कया गुमां है बदगुमां, समझ न मुझको नातवां खयाले ज़ोहद[पूजा पाठ करने का विचार] अब कहाँ अभी तो मैं जवान हूँ

hafeez ki shayyiri

hawa bhi khush gawar hai, gulo pe bhi nikhaar hai taranum hazaar hai, bahaar par bahaar hai kahan chala hai sakiya idhar toh laut idhar toh aa arre ye dekhta hai kya utha subu[surahi], subu utha subu utha payala bhar, pyala bhar ke de idhar chaman ki simat kar nazar, samaa toh dekh be-khabar vo kali-kali badliyan uffak pe ho kahin ayaan[appear] vo ik hazume-mai[shrabio ki bheed] kashan hai suye-mehkada[madhushala ki aur] ravan ye kya guman hai bad-guma, samjh na mujhko natvaan khayale zohid[pooza-paath karne ka vichar] abhi kahan abhi toh main jawan hun

zauk ki shayyiri

रखता ज़बस[इतना अधिक] कि ज़ेफ़ये[बदबूदार जानवर] दुनिया से नंग[घृणा] हूँ पारस भी हो तो जानता मुरदार[एक पत्थर] संग हूँ हूँ वह शिगुफ्ता दिल कि न दोज़ख में तंग हूँ आहरन तो आग मैं हूँ मगर लाला रंग हूँ हैं सबसे पहले मेरे उठाने के फिक्र में महफिल में उनकी मैं किसी चौसर[खेल] का रंग हूँ दिल बैठा महो ज़ब्त है और मुझको इज़्तराब[विक्षप्तवस्था] दिल मेरा मुझसे तंग है मैं दिल से तंग हूँ परवाना गर नहीं तो नहीं पर हूँ शोला दोस्त मक्खी भी हूँ तो हाल दहाने तफंग[बन्दूक की नोंक] हूँ

zauk ki shayyiri

rakhta zabas[itna zayda] ki zefaye[bad smelled animal] duniya se nang[hateble] hun
paaras bhi ho to jaanta murdaar[ek pathar] sang hun
hun veh shigufta dil ki na dauzhak mein tang hun
aahran toh aag main hun magar lalaa rang hun
hain sabse pehle mere uthane ke fikar mein
mehfil mein unnki main kisi chausar [game] ka rang hun
dil baitha maho zabt[sabar karna] hai aur mujhko izatraab
dil mera mujhse tang hai main dil se tang hun
parwana gar nahin toh nahin par hun shola dost
makhi bhi hun toh haal dahane tafang[banduk ki nauk] hun

zauk ki shayyiri

कोह[पहाड़] के चश्मों[सोतों] से अश्कों को निकलते देखा ऐ सनम पर तेरा पत्थर न पिघलते देखा था मैं इस आग में नख्ले[पेड़] गुले आतिशबाजी फूलते देखा मगर आह, न फलते देखा जो चढा औज़[ऊचाई] फ़ना पर वो गिरा साया नमत्त[भांति] पाँव उस कोठे पे है सबको फिसलते देखा कुये[गली] जानां में है दिल जैसा गया काबू से हमने बच्चे को भी ऐसे न मचलते देखा अश्क को लेता न दामन में तो कया करता मैं गाहवारा[झुला] में यें लड़का न सँभालते देखा कुये जानां से हम और खिरद[स्वर्ग] से आदम निकले उनको देखा नहीं पर हमको निकलते देखा खानये दिल के सिवा आतिशे ग़म से ऐ ! "ज़ौक" सामने आँखों के घर किसने है जलते देखा

zauk ki shayyiri

koh[hills] ke chasmo se ashkon ko nikalte dekha ae sanam par tera pathar na pighalte dekha tha main iss aag mein nakhle[tree] gul-e-aatishbazi foolte dekha magar aah, na falte dekha jo chad auz[height] fana par vo gira saaya namat[tarah] paanv uss kothe pe hai sabka paanv phislte dekha kuye[galli] jaana mein hai dil jaisa gaya kaabu se humne bacho ko bhi aisa na machlte dekha ashk ko leta na daaman mein toh kya karta main gahvara[jhula] mein ye ladka na sambhalte dekha kuye-jaana se hum aur khirad[swarg] se aadam nikle unnko dekha nahin par humko nikalte dekha khan'aa-e-dil ke shiva aatish-gam se ae ! "zauk" saamne aankhon ke ghar kisne hai jalte dekha

zauk ki shayyiri

kasad[irada] jab teri jiyarat[darshan] ka kabhi karte hain chasm pur aab se aaiine vazu[munh dhona] karte hain karte izhaar hain dar parda[on back] adaavat apni kyun mere aagay jo taarif aduu karte hain dil ka ye haal hai fa't jaaye hai sau jaa[jagah] se aur agar ik jaaye se hum issko rafuu karte hain toden ik naala se iss kaaspe[aasman] gurdu ko magar nosh[peena] hum iss mein kabhi dil ka lahu karte hain kade-dil-zu[premika ki uchai] ko tumhare, nahin dekha sayyad sar-kashi[vidroh] itni jo sarve labe zu[river side's tree] karte hai

zauk ki shayyiri

kaun-sa humdam hai tere aashik-e-bedam[murda] ke paas raam hai uss paas humdam aur vo hai dam ke paas humko kya saaqi jo tha jaame jahan "' zam'[name of a king]ke paas tere zaame baada[madira] ho toh uss pur_gam ke paas kisiki kismat hai ki zakhm-e-teq[sword] kaatil ho naseeb jaan se jaayen, na jayenge magar marham ke paas shab zaar jaan ruk gayi lab par dahan[munh] ke paas phir uthke reh gaya ye musafir vatan ke paas yeh jua'ye[nehar] khu rawa nahin dekho hai roa raha tesha[kulhadi]sar apne rakhke sar-e-kohkan[farhaad] ke paas

zauk ki shayyiri

क़स्द[इरादा] जब तेरी ज़्यारत[दर्शन] का कभी करते हैं चश्म पुर आब से आईने वजू[मुंह धोना] करते हैं करते इज़हार हैं दर पर्दा[पीठ पीछे]अदावत अपनी क्यूँ मेरे आगे जो तारीफ़ अदू करते हैं दिल का यें हाल है फट जाएहै सौ जा[जगह] से और अगर इक जाए से हम इसको रफ़ू करते हैं तोडें इक नाला से इस कासपे गर्दूं को मगर नोश[पीना] हम इसमें कभी दिल का लहू करते हैं कड़े-दिल-जू[प्रेमिका कि ऊंचाई] को तुम्हारे, नहीं देखा शायद सर कशी[विद्रोह] इतनी जो सरवे लबे जू[नदी किनारे के सरो के पेड़] करते हैं

zauk ki shayyiri

कौन-सा हमदम है तेरे आशिके बेदम[मुर्दा] के पास राम है उस पास हमदम और वो है दम के पास हमको कया साकी जो था जामे जहां बीं जम[name of a king] के पास तेरा जामे बादा[मदिरा] हो और तू हो उस पुर गम के पास किसकी किस्मत है कि ज़ख्मे तेग़[तलवार] कातिल हो नसीब जान से जायेंगे,न जायेंगे मगर मरहम के पास शब ज़ार जान रुक गयी लब पर दहन[मुँह] के पास फिर उठके रह गया यें मुसाफिर वतन के पास यह जुये[नहर] खू रवां नहीं देखो है रो रहा तेशा[कुल्हाडी] सर अपना रखके सरे कोहकन[फरहाद] के पास

zauk ki shayyiri

usse humne bahut dhoondha, na paaya ! aagar paaya toh khoj apnaa na paaya !! jis insan ke sagay[dog] duniya na paaya ! farishta usska hum[equal]paaya, na paaya !! mukadar hai yeh gar sudo zayan[profit-loss] se ! toh humne yaan na kuch khoya, na paaya !! lahed[kabar] mein bhi tere muztar[insan] ne aaram ! khuda jaane ki paaya, ya na paaya !! kiya tha ya na tha sab hum pe guzta ! falak tune kiya apna, na paaya !! suraag-e-umar-e-rafta[gone] haath kya aaye ! kahin jiska nishane pa[feet] na paaya !! kare kya sair dil mulk-e-fana ki ! ki iss baazar mein sauda na paaya !! falak ke gumbad bedaar se hum toh ! nikal jaate magar rasta na paaya !!

Thursday, December 18, 2008

"na jaane kon sa aasheb dil mein basta hai
ki jo bhi thahra vo akhir mukaam chod gaya
haath seene pe rakh ke na dikhao mujhko
mere toote hoye dil ki vo sada yaad karo
maine maana ki vafadaar nahi hun,lekin
tum kisi aur ko iss tarah barbaad na karo"

Hamare mehboob sankdo hai
Tumhare sheda hazaroon hongay
Na tum se sikva na hum pe sikva
Gila karoge ! gila karengay
Bura kahoogay ! bura kahengay

Meine maana ki vafadaar nahi hoon lekin
Tum kissi aur ko iss tarah barbaad na karo
Hamari shart-e-wafa yahi ha, wafa karoge ! wafa karenge
Hamara milna hai aisa milna mila karoge ! mila karenge

Hamara pina pilana kiya hai ?
Hamara pina pilana ye hai
Pilogay tum ! pilaengay hum
Piya karoge ! piya karenge

Ye poochna ki kiya khat likhoge ?
Ye pochnay ki nahi zaroorat
Tumhari marzi pe hai munhsar
Likha karoge ! likha karenge
woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
shukar iss dil-e-bimaar ko aaraam to hai.........
jo aala zarf hote hai, wo sar kham hi rakhte hai
suraahi khud nagoon ho kar bhara karti hai paimane
har dard ki dawa ishq mein hai
jeene ka mazaa ishq mein hai
jo idhar udhar dhoondte hai khuda ko,
koi unse jaa kar kehdo ki khuda ishq mein hai.
Dil naa-umid to nahi, nakaam hi to hai.
lambi hai gam ki sham, magar yeh sham hi to hai.
mujh ko kal sham se woh yaad bohut aane laga
dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
ishrat tere sawal ka main kiya jawab doon
khud apne aap ko bhi mayasar nahi hoon mein
dil ki tadap neelaam hui hai
ab ye kahani aam hui hai
pyar wanha tak ja pohncha hai
akal janha nakam hui hai
zindgi phir koi paate toh aur kya karte
aapse dilna lagate toh aur kya karte
aapke pyar ki pehchan mangte thay log
sar hum apna na katate toh aur kya karte
talab gam ki khushi se badh gayi hai
ye chahat khushi se badh gayi hai
koi aayega sayad aaj ki raat
tadap kuch sham hi se badh gayi hai
ye kiya kam hai teri charcha shahr mein
meri diwangi se badh gayi hai
ae gam-e-jindgi kuch toh de masvara
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
dil ka dono se hai kuch na kuch vaasta
mein kahan jaoon hota nahi faisla
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
uss ke darr se utha toh kidhar jaaonga
mahkada chod doonga toh mein marr jaonga
sakhat muskil mein hoon kiya karoon ae khuda
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
jindgi ek hai aur talabgaar do
jaan akeli magar jaan ke haqdaar do
dil bataa pehle kis ka karoon mein haqq ada
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
iss taluq ko mein kaise todoon jafar
kisi ko apnao mein kis ko chodoon jafar
mera dono se rishta hai nazdeek ka
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
kanto ki chobhan mein bhi hardam
dekha hai gulab ko haste hi
samjha bhi koi kis haal mein woh
din apne gujara karte hai
bistar pe sikandar ko dekha marte
toh koi yoon bol uthaa
duniya ko haranay wale bhi
taqdeer se haara karte hain
navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko haarta naa dekha
hamen kya kaam jo nahak sahara gairo ka dhoonde
sahara ya khuda hi ka kuch aisa ki kya kahiye !
barabar hai pareshani mein hum aur baal julfo ke
woh aksar tere muh lagte hai humse woh hi achche hai
bhali karte burai hoti hai
muh se nikali parai hoti hai
ae zafar ! mera yaar jidhar phirta hai
uss taraf sab khudai hoti hai
aap ka ashiana dil mein basa rakha hai
aap ki yadon ko seenay se laga rakha hai
pataa nahi yaad aate hai aap hi kyu
waise dost to humne auron ko bhi bana rakha hai
apni ankhon ke samandar main utar jaane de
tera mujrim hun mujhe doub ke mar jaane de
zakham kitne teri chahat se mile hain mujhko
sochta hun kahoon tujhse,magar jaane de
hum aas lagay baithe hai
tum vada kar ke bhool gaye
ya surat aa ke dikha jao
ya keh do humse pyar nahi
koi hasse toh tujhe gam lagay hassi na lage
dil-lagi bhi tere dil ko dil-lagi na lage
tu roz roya kare uth ke chand raato mein
khuda kare ke tera mere bagaiir ji na lage
woh hai chahe dushman mere sabar-o-karar ka
na dekhon jab talak ussko nahi karar mujhe
Sunna hai rabt hai us ko kharab hallon say
So apne aap ko barbad kar ke dekhtay hain……….
Jinhe chaon mein he rakha gaya
woh pattian na kabhi hari hoi
unnhe dhoop bhi aani chahiye
jinhe badloon ki talaash hai
Unki taarif kya poochte ho
Umaar sari gunaho mein gujri
Parsa ban rahe hai wo aise
Jaise Ganga nahiye huye hai
samne unn ke muh siye khadi rahi 'henna'
sach pyar kitna gharib hota hai !!
nazare aaine se milata toh hoga
kabhi woh bhi ghunghat uthata toh hoga
nahi mujhko dekhe bhala udhar jane wala
magar dil mein aanso bahata toh hoga
koi kyu lagata hai phere yahan ke
kabhi yeh khayal ussko aata toh hoga
dil mera le lene ki khatri minate kya kya na ki
aise badle mere sanam matlab nikal jaane ke baad !!
raat kis tarah yeh humne bitaai hogi
baat yeh unnke ji mein bhi toh aayi hogi
tadpi hogi koi bijli bhi toh uss dil mein kabhi
koi barsaat unn ankho mein bhi chahi hogi
kahan hum aur kahan aap se milne ka khayal
kisi dushman ne be-paar ki udai hogi !
tofaan koi uthe na koi ahtzaar se
darta hoon tere shahr ke rasm-o-riwaaz se !!
woh rooth ke gumshum se banay baithe hai
sayyad mere marne ki khabar chokaa de unnhe !
zamana ho gaya ankho ka khel chalte hoye
galay se aaj toh lagiye ki ja raha hun main !
na doonga dil kabhi unnko yeh roj kehta tha
weh aaj le bhi gaya aur 'zafar' se kuch na hua !
aankh se aankh mila baat banaata kyon hai
tu agar mujh se khafaa hai toh chupaata hai kyon
ghair lagta hai na apnon ki terah milta hai
tu zamaane ki terah mujh ko sataata kyon hai
waqt ke saath halaat badal jaate hain
yeh haqeeqat hai magar mujh ko sunaata kyun hai
ek muddat se jahaan kaafile guzzre hi nahin
aisa raahon per chiraag jalaata kyun hai
kya kya na kiya aur hai kya kuch nahi karte
kuch karte hai aisa, ba-khuda kuch nahi karte
darmiyaan uske mere aa raha
koi bole to bura lagta hai
Na dua hai na koi khat na salaam
woh zara humse khafa lagta hai
dosti itni badhi uss se judai ho gai
dekhte hi dekhte sabjay se kaai ho gai
jinda hai wohi aur paaon ki janjir wohi hai
ab ke bhi mere khawab ki tabeer wohi hai
wo jisne meri yaad mein lab tak nahi kholay
kamare mein mere aaj bhi tasveer wohi hai
kahin sham-e-hizar gujarte kahin julf-e-yaar sawarte
katii umar apni kafas kafas rahe hum gulo ko pukarte
tha jo ek lamha visaal ka vo reyaz tha kai saal ka
vohi ek pal mein guzar gaya jisse umar gujri pukarte
karoge yaad 'gujre' jamane ko
tarsoge hamare saath 'ek pal' bitane ko
fir awaz dooge 'vapis' bulane ko
aur hum kahenge darwaza nahi hai....'kabar' se baahar aane ko.....
vada nahi karta ki saath nibha paoonga main
saath tere umar bhar zindgi bitaa paoonga main
kya pata ab ke mosam ka, kab rukh apna palte
nahi pata mujhe kab bewafa ho jaoonga main
duur hum bhi nahi hona chahte aap se magar
kya pataa kab ki baar fanaa ho jaoonga main
tere liye sansien abhi toh saath de rahi hai
maloom nahi kab mout ke pass chala jaonga main
teri duniaa se jaane ke baad main tumhe,
har ek taare main nazar aaya karunga.
tum har pal koi duaa maang lena,
aur main har baar toot jaya karunga.
Na dekh mere sabar ki intaha kaha tak hai,
Tu sitam karle teri taqat jaha tak hai,
raham ki ummed jinhe hogi so hogi
humay toh yeh dekhna hai teri zulam ki inteha kahan tak hai !!!
kisi ke haq mein hi sahi wo dua to kare
woh keh nahi sakta meri sunaa tu kare
kabhi bataye wo aa kar meri khata mujh ko
woh mujhse kis ley rutha hai koi gila tu kare
main wapis lout jaon ga apni duniya mein
wo shaks mujhe se bechrne ka faisla tu kare!!
fir dil ki aarzoo ki shama na jal pade
itna bhi na satao ki aanso nikal pade
kis kis tarah kare koi izhaar-e-muhabat
jab iltzaa se hi aap ke maathay pe bal pade
daro-deewar kahin aur hai hum aur sahi
sirf ek naam ki takhti se ghar ke hum hai

Sunday, December 14, 2008

Jis din suraj ki pehle kiran utari thi jami par
Uss din se main tujhse muhabat karta hun
Mera pyar nayi koi baat nahi
Mera pyar tha sadio pehle bhi
Jo tujhse kiya hai aaj wohi
Ikraar tha sadio pehle bhi
Do dil jab do insaano ke
Mil kar dhadkay thay
Uss din se main tujhse muhabat karta hun
Ye duniya jab tak baaki hai
Main tera saath na chhodoga
Tere aanchal ke ik jhonkay se
Rukh toofano ke modunga
Jis din se pyar ki rasam chali ae jaan-e-tamana
Uss din se main tujhse muhabat karta hun