Thursday, June 25, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kisi ka yun toh hua kaun umar bhar phir bhi
ye husn-o-ishq toh dhokha hai sab magar phir bhi
hazaar baar zamana idhar se guzra hai
nayi nayi si hai kuch teri rahguzar phir bhi
khusha ishara-e-paiham zahe-sakoot-e-nazar
daraaz ho ke fasana hai mukhtsar phir bhi
jhapak rahi hain zaman-o-makaan ki bhi aankhen
magar hai kaafila aamada-e-safar phir bhi
shab-e-'firaq' se aage hai aaj meri nazar
ki kat hi jayegi ye sham-e-be_sahar phir bhi
kahin yahi toh nahin kaashif-e-hayat-o-mam'aat
ye husn-o-ishq bazaahir hai bekhabar phir bhi
palat rahe hain garib_ul_vatan paltana tha
vo kucha ruu-kashe-zannat ho ghar hai ghar phir bhi
luta hua chamn-e-ishq hai nigahon ko
dikha gaya vahi kya kya gul-o-samar phir bhi
kharab ho ke bhi socha kiye tere mehzoor[bichadnewale]
yahi ki teri nazar hai teri nazar phir bhi

ho be_niyaaz-asar bhi kabhi teri mitti
vo kimiya hi sahi reh gayi kasar phir bhi
lipat gaya tera diwana garche manzil se
uddi uddi si hai kuch khaaq-e-rahguzar phir bhi
teri nigah se bachne mein umar guzari hai
utar gaya rag-e-jaan mein yaa neshtar phir bhi
gham-e-'firaq' ke kushton ka hashr kya hoga
ye sham-e-hizr toh ho jayegi sahar phir bhi
fana bhi ho ke garanbaari-e-hayat[jivan ka bojh] na puuch
uthaye uth nahi sakta ye dard-sar phir bhi
sitam ke rang hain har iltafaat-e-pinah[secret ignore] mein
karamnuma hain tere zor-e-sar-basar phir bhi
khata muaaf tera afav[maufi] bhi hai misl-e-saza
teri saza mein hai ik shaan-e-darguzar phir bhi
agarche bekhudi-e-ishq ko zamana hua
'firaq' karti rahi kaam vo nazar phir bhi

No comments:

Post a Comment