Friday, June 26, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri


raaz-e- ulfat chhupa ke dekh liya liya
dil bohat kuch jala ke dekh liya
aur kya dekhne ko baaki hai
aap se dil laga ke dekh liya
aas uss dar se toot'ti hi nahin
ja ke dekh liya, na ja ke dekh liya
vo mere ho ke bhi mere na huye
unnko apna bana ke dekh liya

aaj unnki nazar mein kuch humne

sab ki nazrein bacha ke dekh liya

'faiz' takmeel-e-gham bhi ho na saki
ishq ko aazma ke dekh liya




भुला देंगे तुमको सनम धीरे धीरे ...... !!!!

Thursday, June 25, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kisi ka yun toh hua kaun umar bhar phir bhi
ye husn-o-ishq toh dhokha hai sab magar phir bhi
hazaar baar zamana idhar se guzra hai
nayi nayi si hai kuch teri rahguzar phir bhi
khusha ishara-e-paiham zahe-sakoot-e-nazar
daraaz ho ke fasana hai mukhtsar phir bhi
jhapak rahi hain zaman-o-makaan ki bhi aankhen
magar hai kaafila aamada-e-safar phir bhi
shab-e-'firaq' se aage hai aaj meri nazar
ki kat hi jayegi ye sham-e-be_sahar phir bhi
kahin yahi toh nahin kaashif-e-hayat-o-mam'aat
ye husn-o-ishq bazaahir hai bekhabar phir bhi
palat rahe hain garib_ul_vatan paltana tha
vo kucha ruu-kashe-zannat ho ghar hai ghar phir bhi
luta hua chamn-e-ishq hai nigahon ko
dikha gaya vahi kya kya gul-o-samar phir bhi
kharab ho ke bhi socha kiye tere mehzoor[bichadnewale]
yahi ki teri nazar hai teri nazar phir bhi

ho be_niyaaz-asar bhi kabhi teri mitti
vo kimiya hi sahi reh gayi kasar phir bhi
lipat gaya tera diwana garche manzil se
uddi uddi si hai kuch khaaq-e-rahguzar phir bhi
teri nigah se bachne mein umar guzari hai
utar gaya rag-e-jaan mein yaa neshtar phir bhi
gham-e-'firaq' ke kushton ka hashr kya hoga
ye sham-e-hizr toh ho jayegi sahar phir bhi
fana bhi ho ke garanbaari-e-hayat[jivan ka bojh] na puuch
uthaye uth nahi sakta ye dard-sar phir bhi
sitam ke rang hain har iltafaat-e-pinah[secret ignore] mein
karamnuma hain tere zor-e-sar-basar phir bhi
khata muaaf tera afav[maufi] bhi hai misl-e-saza
teri saza mein hai ik shaan-e-darguzar phir bhi
agarche bekhudi-e-ishq ko zamana hua
'firaq' karti rahi kaam vo nazar phir bhi

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kisi se choot ke shaad aur kisi se mil ke ghamii
'firaq' teri muhbbat ka koi theek nahi
yun hi-sa tha koi jisne mujhe mita dala
na koi noor ka putlaa na koi zohara-zabiin
jo bhoolti bhi nahin yaad bhi nahi aati
teri nigah ne kyun vo kahaniyan na kahi
lab-e-nigaar hai ya nagma-e-bahaar ki lau
sakuut-saaz hai ya koi mutreeb-e-rangin
shuru-e-zindgi-e-ishq ka vo pehla khwab
tumhen bhi bhool chuka hai mujhe bhi yaad nahin
hazaar shukr ki mayyus kar diya tune
ye aur baat ki tujhse badi ummiden thi
agar badal na diya aadmi ne duniya ko
toh jaan lo ki yahan aadmi ki khair nahin
hunar toh khair hunar aib se bhi jalte hain
fugaan ki ahl-zamana hai kis qadar kambi'n

firaq gorkhpuri ki shayyiri


daur-e-aflaaq ka shabab hai tu
aaftabon ka aftaab hai tu
roop aisa hasin jaise gunah
khalq ka hasil-e-sawaab hai tu
tujhse joban ujaali raaton ka
mahtaabon ka mahtaab hai tu
aur zer-e-shafaq chiragaan ho
aaj yun ma'eel-e-hizaab hai tu
ye sitare tere pasiine ke
shab ka dahaka hua shabaab hai tu
tu jo surat pakad le hai vo khayal
yak-b-yak jaag uthe vo khwab hai tu
jo baharon ke dil se uthte hain
unnhi sholon ka pecho-taab hai tu
aankh padti hai ek zamane ki
bazm-e-imkaan mein intkhaab hai tu
jaise nagme lab-e-'firaq' pa' soye
sez par yun hi mehv-e-khwab hai tu

Majaz ki shayyiri

raashaa sa jo yaan dasto-girebaan mein dekha
hindu mein na paaya na musalmaan mein dekha ?
saf'faak[bereham] se yeh aabru yeh gazabnaaksi aankhen
ik daag sa har qalb-e-pur armaan[arman bhar din] mein dekha
farkhaanda zabiin[naseebo wala maatha] ho ke bhi shamsheer ba_kaf hai
shaitaan ne kya seen'aye eesaan mein dekha
ab dard kaleje se lagaye huye firi'aye
imaan se paaya hai na imaan mein dekha
iss se toh mazaaz aap bhi be_baharaa ho shayad
jo soz'ye waffa aap ke hiziyaan[bukhar mein ulta-sidha bolna,bakwas] mein dekha

firaq gorkhpuri ki shayyiri

tehon[layer] mein dil ke jahan koi vardaat hui
hayat-e-taza se labrez qaynaat hui
tumhi ne baayas-e-gham barhaa kiya darya'fat
kaha toh rooth gaye yeh bhi koi baat hui
hayyat raaz-e-sakoon paa gayi azal thehru
azal mein thodi-sii larzish hui hayyat hui
thi ek kaavish-e-benaam dil mein fitrat ke
siva hui toh vahi aadmi ki zaat hui
bohat dinon mein muhbbat ko yahan hua malum
jo tere hizr mein guzri vo raat raat hui
'firaq' ko kabhi itna khamosh dekha tha
zaroor ae nigah-e-naaz koi baat hui

firaq gorkhpuri ki shayyiri

main hosh-e-anadil hun mushkil hai sambhal jaana
ae baad-e-saba meri karwat toh badal jaana
takdeer-e-muhbbat hun mushkil hai badal jaana
sau baar sambhal kar bhi maalum sambhal jaana
uss aankh ki masti hun ae badakasho[sharabi] jiska
uth kar sare-maikhana mumkin hai badal jana
ayaam-e-baharan mein diwanon ke tevar bhi
jis simt nazar uttho aalam ka badal jaana
ghanghor ghataon mein sarshaar fazaaon mein
makhmoor hawaon mein mushkil hai sambhal jaana
hun lagzishe mastana[ladkhadana] maikhan-e-aalam mein
barq-nigahe-saaqi kuch bach ke nikal jaana
iss gulshan-e-hasti mein kam khilte hain gul aise
duniya mehak utthegi tum dil ko masal jana
main saaz-e-haqiqat hun soya hua nagma tha
tha raaz-e-nihankoi pardon se nikal jaana
hun nakht-e-mastana[mehak] gulzaar-e-muhbbat mein
madhosh-e-aalam hai pehlu ka badal jaana
masti mein lagavat se uss aankh ka ye kehna
mai_khwaar ki niyat hun mumkin hai badal jaana
jo tarz-gazal_goii mommin ne tarah ki thi
sad-haif 'firaq' usska sad-haif badal jana

Majaz ki shayyiri

partav[chayya]-e-sagar-e-sahbaa[madira] kya tha
raat ik hashn[hangama] sa barpa kya tha
kyun jawani ki mujhe yaad aayi
maine ik khwab sa dekha kya tha
husn ki aankh bhi namnaak hui
ishq ko aapne samjha kya hai
ishq ne aankh jhuka li varna
husn aur husn ka parda kya tha
kyun 'majaz' aapne 'saagar' toda
aaj yeh shehr mein charcha kya tha

Majaz ki shayyiri

junoon shauq ab bhi kam nahi hai
magar veh aaj bhi barham[khaffa] nahi hai
bohat mushkil hai duniya ka sanwarna
teri zulfon ka pecho kham nahi hai
bohat kuch aur bhi hai iss jahan mein
yeh duniya mehaj gham hi gham nahi hai
takaze kyun karun paiham[baar-baar] na saaqi
kise yaan fikr-e-besho kam nahin hai ?
udhar mashkook[unbelieveable] hai meri sadaqat[sachai]
idhar bhi bad_gumani kam nahi hai
meri barbadiyon ka humnashinon
tumhe kya khud mujhe bhi gham nahin hai
abhi bazm-e-tarb se kyu utthun main
abhi toh aankhen bhi purnam nahin hai
va-e-seele gham va-seele hawaadis
mera sar hai ki ab bhi kham nahi han hai
'majaz' ik badakash[sharabi] toh hai yaqinan
jo hum sunte thay veh aalam nahin hai

Majaz ki shayyiri

jigar aur dil ko bachana bhi hai
nazar aap hi se milana bhi hai
muhbbat ka har bhed paana bhi hai
magar aapna daaman bachana bhi hai
jo dil tere gham ka nishana bhi hai
qateel-e-zaffaye zamana bhi hai
yeh bijlkti hai kyun dam-ba-dam
chaman mein koi ashiana bhi hai
khurd[chota] ki itiyaat zaroori sahi
yahi toh junoon ka zamana bhi hai
na duniya na ukaab kahan jaayiye
kahin ahl-e-dil ka thikana bhi hai
mujhe aaj saahil pe rone bhi do
ki tufan mein muskurana bhi hai
zamane se aage toh badhiye 'majaz'
zamane ko aage badhana bhi hai

Majaz ki shayyiri

nahi yeh fikr koi rahbare kaamil[guide] nahin milta
koi duniya mein maanuse mijaz-e-dil nahin milta
kabhi saahil pe rehkar shauq-e-tufan se takraayen
kabhi tufan mein reh kar fikr hai saahil nahin milta
yeh aana koi aana hai ki bas rasman chale aaye
yeh milna khaaq milna hai ki dil se dil nahin milta
shikaste pa' ko mazda, khastgaane raah ko mazdaa
ki rahbhar ko suraag-e-jaadiye manzil nahin milta
vahan kitnaon ko takhto laaz ka armaan hai kya kahiye
jahan saa'el[begger] ko kaasiye saa'el nahin milta
yeh qatl-e-aam aur be_azn qatl-e-aam kya kahiye
yeh bisnil kaise bismil hain jinehn qatil nahin milta

Majaz ki shayyiri

meri waffa ka tera lutf bhi jawab nahin
mere shabab ki qeemat tera shabab nahin
yeh mahtaab nahin hai ki aaftab nahin
sabhi hai husn, magar ishq ka jawab nahin
meri nigah mein jalwe hain jalwe hi jalwe
yahan hizab nahin hai, yahan naqaab nahin
hunoon bhi hadh se siva, shauq bhi hai hadh se siva
yeh baat kya hai ki main mauride ataab nahin
yahan toh husn ka dil bhi hai gham se sadpaara[tukde-tukde]
main kamyaab nahin veh bhi kamyaab nahin
yahan toh raat ki bedaariyan mus'slam[sampooran] hai
magar vahan bhi hasin ankhadiyon mein khwab nahin
na puuchiye meri duniya ko, meri duniya mein
khud aaftaab bhi zarra hai aaftab nahin
sabhi hai mai_kade dahar mein khuld waale
koi khrab nahin hai koi kharab nahin
'majaz' kisko main samjhaun koi kya samjhe
ki kamyaar muhbbat bhi kamyaab nahin

Majaz ki shayyiri


mujhse mat puuch "mere husn mein kya rakha hai"
aankh se parde zulmat[andhkaar ka parda] utha rakha hai
meri duniya ki mere gham se jahnuum bardosh
tune duniya ko bhi firdosh bana rakha hai
mujhse mat puuch "tere ishq mein kya rakha hai"
soz ko saaz ke parde mein chupa rakha hai
jagmaga uthti hai duniya-e-takhyyul jis se
dil mein veh shol-e-jaan_soz[painful] dabba rakha hai

Majaz ki shayyiri

veh naqaab aap se uth jaaye toh kuch door nahin
varna meri nigah shauq bhi majboor nahin
khatir-e-ahl-e-nazar husn ko manzoor nahin
iss mein kuch teri khata deed-e-mehzoor nahin
laakh chhipte ho magar chhip ke bhi mastoor[gupt] nahin
tum azab cheez ho nazdeek nahin duur nahin
zaraait-e-arz par veh kuch nahin kehte lekin
har ada se yeh tapkta hai ki manzoor nahi
dil dhadak uthta hai khud apni hi har aahat par
ab qadam manzile jana se bohat duur nahin
haaye veh waqt ki jab be_piiye madhoshi thi
haaye yeh waqt ki ab pii ke bhi makhmuur nahin
husn hi husn hai jis simt uthata hun nazar
ab kahan tuur nahin, barq-e-sar-e-tuur nahin
dekh sakta hun jo aankhon se veh kaafi hai 'majaz'
ahl-e-irfaan ki nawazish mujhe manzoor nahin

Majaz ki shayyiri

apne dil ko donon aalam se utha sakta hun main
kya samjhti ho ki tumko bhi bhuula sakta hun main
kaun tumse chheen sakta hai mujhe, kya veham hai
khud zulekha se bhi toh daaman bacha sakta hun main
dil mein tum paida karo pehle meri si jaraa'aten[himat]
aur phir dekho ki tumko kya bana sakta hun main
dafn kar sakta hun seene mein tumhare raaz ko
aur tum chaho toh afsana bana sakta hun main
main qasam khata hun apne tataq ke ejaaz ki
tumko bazme maaho anzuum mein baitha sakta hun main
sar pe rakh sakta hun taaze kishvare nuraaniyan
mehfile khursheed ko neecha dikha sakta hun main
main bohat sarkash hun lekin ik tumhare vaaste
dil biichha sakta hun main, aankhen bichha sakta hun main
tum agar ruutho toh ik tumko manane ke liye
geet ga sakta hun main, aansu baha sakta hun main
jazb hai dil mein mere dono jahan ka sozo saaz
barbate fitrat ka har nagma suna sakta hun main
tum samjhti ho ki hain pardfe bohat se darmiyan
main yeh kehta hun ki har parda utha sakta hun main
tum ki ban sakti ho har mehfil mein firdos-e-nazar
mujhko yeh daava ki har mehfil pe chha sakta hun main
aao milkar inqilabe taaza paida karen
dehar par iss tarah chha jaayen ki sab dekha karen

Majaz ki shayyiri

dekhna jazbe muhbbat ka asar aaj ki raat
mere shaane pe hai uss shokh ka sar aaj ki raat
aur kya chahiye ab ae dile mahruuh tujhe
ussne dekha toh ba_andaaz digar aaj ki raat
phool kya khaar bhi hai aaj gulistan ba_kinar
sangreze hain nigahon mein guhar aaj ki raat
mehve gul_gasht hain ye kaun mere dosh ba_dosh
kehkashan ban gayi har rehguzar aaj ki raat
phuut nikla daro-diwar se sailaabe nishaat
alaa allah mere kaife nazar aaj ki raat
shabn'mistaane tazl'li ka fan'su kya kahiye
chand ne phenk diya rakhte safar aaj ki raat
noor hi noor hai kis simt uthaaun aankhen
husn hi husn hai toh hadhe nazar aaj ki raat
kasre geti mein umadh aaya hai tufaane hayaat
maut larzaan pase parde dar aaj ki raat
alaa allah vo peshniye simi'n ka zamaal
reh gayi zam ke sitaron ki nazar aaj ki raat
aarize garm pe vo range shafak ki keharen
vo meri shokh nigahon ka asar aaj ki raat
nargishe naaz mein vo neend ka halka sa khumaar
vo mere nagme shirin ka asar aaj ki raat
nagmo mai ka yeh tufaane tarab kya kahiye
ghar mera ban gaya khayyam ka ghar kya kahiye
meri har saans pe veh unnki tavj'jah kya khoob
meri baat pe veh jumbishe sar aaj ki raat
veh tabssum hi tabssum ka zamaale paiham
veh muhbbat hi muhbbat ki nazar aaj ki raat
uff veh vaarfatge shauq mein ik vehame lateef
kapkapate huye honton pe nazar aaj ki raat
apni rifaayat pe jo naaza hain toh naaza hi rahen
keh do anzuum se ke dekhen na idhar aaj ki raat
unnke altaaf ka itna hi fasoon kaafi hai
kam hai pehle se bohat dard-e-jigar aaj ki raat

Majaz ki shayyiri

aish se be_niyaz hai hum log
bekhude sozo saaj hain hum log
jis taraf chaho chhed de humko
tere haathon mein saaz hain hum log
besabab iltfaat kya ma'yani
kuch toh ae chashme naaz hain hum log
mehfile sozo saaz hai duniya
haasile sozo_saaz hain hum log
koi iss raaz se nahin waakif
kyun sarapa niyaaz hai hum log
humko ruswa na kar zamane mein
bas ki tera hi raaz hai hum log
sab issi ishq ke karishme hain
varna kya ae 'majaz' hai hum log

Majaz ki shayyiri

seene mein unnke jalwe chhupaye huye toh hain
hum apne dil ko tuur banaye huye toh hain
tasir-e-jazbe shauq dikhaye huye toh hain
hum tera har hizaab uthaye huye toh hai
haan kya hua vo hausle-deed-ahl-e-dil
dekho na vo naqaab uthaaye huye toh hai
tere gunahgaar gunahgaar hi sahi
tere karam ki aas lagaye huye toh hai
allah'ari kaamiyabi-e- awar'gane ishq
khud gum huye toh kya usse paaye huye toh hai
yun tujhko akhtiyaar hai taasir de na de
daste dua hum aaj uthaye huye toh hai
zikr unnka gar jaban pe nahin hai toh kya hua
ab tak nafs nafs pe samaye huye toh hai
mitate huo'n ko dekh ke kyun ro na den 'majaz'
aakhir kisi ke hum bhi mitaye huye toh hai

Majaz ki shayyiri

rahe shauq se ab hata chahta hun
kashish husn ki dekhna chahta hun
koi dil sa dard ashna chahta hun
rahe ishq mein rehnuma chahta hun
tumhi se tujhe chhin'na chahta hun
ye kya chahta hun, ye kya chahta hun
khataon pe jo mujho ma'eel kare phir
saza aur aisi saza chahta hun
vo makhmoor nazaren, vo mad'hosh aankhen
kharabe muhbbat hua chahta hun
vo aankhen jhuki, vo koi muskuraya
payam-e-muhbbat suna chahta hun
tujhe dhoondhta hun teri justju hai
maza hai ki khud guum hua chahta hun
ye mauzon ki betaabian kaun dekhe
main saahil se ab lautna chahta hun
kahan ka karam aur kaisi inayat
'majaz' ab jaffa hi jaffa chahta hun

Majaz ki shayyiri

khamshi ka toh naam hota hai
varna yun bhi kalaam hota hai
ishq ko puchta nahin koi
husn ka ehtaram hota hai
aankh se aankh jab nahin milti
dil se dil humkalaam hota hai
husn ko sharmsaar karna hi
ishq ka intkaam hota hai
allah ye naaz-e-husn 'majaz'
intzar-e-salaam hota hai

Majaz ki shayyiri

nigahen lutf mat uth khugare aalam rehne de
hamen nakaam rehna hai, hamen nakaam rehne de
kisi masoom par bedaad ka ilzaam kya maayini
ye vehshat khez baaten, ishq-e-bad_anjaam rehne de
abhi rehne de dil mein shaunq-e-shorida ke hangame
abhi sar mein mohbbat ka junoon-e-khaam rehne de
abhi rehne de kuch din lutfe nagma, mast-e-sahb
abhi yeh saaz rehne de, abhi yeh jaam rehne de
kahan tak husn bhi aakhir kare paas-e-rawadaari
agar ye ishq khud hi farq-e-khaso-aam rehne do
baai rindi 'majaz' ik shayar-e-majdoor-o-dehkaan hai
agar shehron mein vo badnam hai, badnam rehne de

Majaz ki shayyiri

yunhi baithe raho bas dard-e-dil se bekhabar ho kar
bano kyun charogar tum, kya karoge chaargar ho kar
dikha de ek din ae husnerangin jalwaagar ho kar
vo nazzara jo inn ankhon mein reh jaaye nazar ho kar
dil-e-soz aashna ke jalwe thay jo muntshar ho kar
fazaaye dehar mein chamaka kiye barko shar'r ho kar
vahi jalwe jo ek in daamne dil se gurezaa thay
nazar mein reh gaye gulhaa'ye daamane nazar ho kar
falaq ki simt kis hassrat se takte hai ma'az allaa
ye naale[valaap] narsa[na pohnch kar] ho kar, ye aahen be_asar ho kar
ye kis ke husn ke rangin jalwe chaaye jaate hai
shaffaq ki sukhiyaan ban kar, tasalli-e-sahar ho kar

Majaz ki shayyiri

husn ko behizaab hona tha
shauq ko kaamyab hona tha
hizr mein kaif[masti]-e-iztraab na puuch
khoon-e-dil bhi sharab hona tha
tere jalwon mein ghir gaya aakhir
zarre ko aaftab hona tha
kuch tumhari nigah kaafir thi
kuch mujhe bhi kharab hona tha
raat taaron ka tootna bhi 'majaz'
baa'ase[bechaini ki wjah] hona tha

faiz ahmed faiz ki shayyiri

barbaad-e-tamnna pe ataab[saza] aur jayada
haan, meri muhbbat ka jawab aur jayada
royen na abhi ahl nazar haal pe mere
hona hai abhi mujh ko khrab aur jayda
'awara-v-majnu' hi pe mokuuf nahin kuch
milne hai abhi mujhko khitaab aur jayda
uthenge abhi aur bhi tufaan mere dil se
dekhunga abhi ishq ke khwab aur jayada
tapkega lahu aur mere deedaye_tar se
dhadkega dil-e-khana_kharab aur jayada
hogi meri baaton se unnhen aur bhi hairat
aayega unnhen mujhse hizaab aur jayada
ae matrabe bebaak koi aur bhi nagma
ae saaqi'ye fayyaaz[daansheel] shraab aur jayada

faiz ahmed faiz ki shayyiri

meri masti mein bhi ab hosh hi ka taur hai saaqi
tere saagar mein yeh sahba[madira] nahi kuch aur hai saaqi
bhadkti ja rahi hai dam-b-dam ik aag si dil mein
yeh kaise jaam hain saaqi yeh kaisa daur hai saaqi
veh shai de jis se neend aa jaaye aql-e- fitna parwar[wrong mind] ko
ki dil aazarda'ye tameez-e-lutf-o-zor hai saaqi
kahin ik rind aur daamand'aye afkaar-e-tanhai
kahin mehfil ki mehfil taur se be_taur hai saaqi
jawani aur yun ghir jaaye tufan-e-hawadis mein
khuda rakhe abhi toh bekhudi ka daur hai saaqi
chhalkti hai jo tere jaam se uss mai, ka kya kehna
tere shadaab honton ki magar kuch aur hai saaqi
mujhe peene de peene de ki tere zaam-e-laa'leen mein
ab kuch aur hai, kuch aur hai,, kuch aur hai saaqi

faiz ahmed faiz ki shayyiri

shaunq ke haathon ae dil-e-muztar kya hona hai kya hoga
ishq toh ruswa ho hi chuka hai husn bhi kya ruswa hoga
husn ki bazm-e-khaas mein ja kar iss se kayada kya hoga
koi naya paimaan bandhenge koi naya vada hoga
charagari sar aankhon par iss charagari se kya hoga
dard ki apni aap dawa hai tum se kya achcha hoga
waaize saada loh se keh do chhode ukaad[parlok] ki baaten
iss duniya mein kya rakha hai uss duniya mein kya hoga
tum bhi majaz insan ho akhir laakh chupao ishq apna
yeh bhay'd[secret] magar khul jayega yeh raaz magar afshaa'n hoga

faiz ahmed faiz ki shayyiri

ab mere paas tum aayi ho toh kya aayi ho ?
maine maana ki tum ik paikar raanai ho
chaman dehar mein ruuh-e-chaman aaraai ho
talaate mehar ho, firdosh ki barnayi ho
binte mehtaab ho gardoon[chaand] se utar aayi ho
mujhse milne mein ab andesh-e-ruswai ho
maine khud apne kiye ki yeh saza paayi hai
khaaq khud apne kiye ki yeh saza paayi hai
khaaq mein aah milayi hai jawani maine
shola zaaron mein jalayi hai jawani maine
shehre khubaan mein ganwai hai jawani maine
khwabgaahon mein jagayi hai jawani maine
husn ne jab bhi inaayat ki nazar daali hai
mere paimane mohbbat ne sipar daali hai
unn dinon mujh pe qaymat ki junoon taari tha
sar pe sarshaariye ishrat ka junoon taari hai
maahpaaron[chand ka tukda] se muhbbat ka junoon taari hai
shaharyaron se raqaabat[dushmani] ka junoon taari hai
bistare makhmalon sanjaab[animal's skin] thi duniya meri
ek rangiin va hasin khwab thi duniya meri
zanate shauq thi begane aafte samuum
dard jab dard na ho, kawishe darmaa mallum
khaak thay deed'aye bebaak mein garduun ke nazuum
bazme parveen thi nigahon mein kaneejon ka hajuum
laale naaz bar afnganda naqaab aati thi
apni aankhon mein liye dawate khwab aati thi
sang ko gohare nayaab va giraan jana tha
dashte purkhaar ko firdose javan jana tha
reg ko silsile'aye aabe rawa'n jana tha
aah yeh raaz abhi maine kahan jana tha
meri har fateh mein hai ek hazmiyat pinah
har masarrat[kaanton se bhara] mein hai raaze ghamon hasrat pinaha
kya sunogi meri majruuh jawani ki pukaar
meri fariyaad jigardoz, mera nalah'aye zaar
shidaat'ye qarb mein doobi hui meri guftaar
main ki khud apne mazake tarb aagin ka shikaar
veh gadaaze dile marhoom kahan se laaun
ab main vo jazbe masoom kahan se laaun
mere saaye se daro tum meri qurbat se daro
apni jaraa'at ki qasam ab meri zaraa'at se daro
tum lataafat ho agar meri lataafat se daro
mere vaadon se daro meri mohbbat se daro
ab main altaaf-v-inaayat ka sazavaar nahi
main waffa_daar nahin, haan main waffa_daar nahin
ab tum mere paas aayi ho toh kya aayi ho ?

Majaz ki shayyiri

saazgar hai humdam inn dinon jahan apna
ishq shaadma'an apna shauq kaamra'an[joyful] apna
aahen be_asar kiski naalah-e-naarva kiska
kaam barha aaya jazba-e-niha'an apna
kab kiya tha iss dil par husn ne karam itna
meharbaan aur iss darze kab tha aasman apna
uljhanon se ghabraye mai_kade mein dar aaye
kis qadar tan aasan hai zauq-e-raayega'an apna
kuch na puch ae humdam inn dinon mera aalam
mutribe hasin apna saaqiye jawan apna
ishq aur ruswai kaun si nayi shai hai
ishq toh azal[hamesha] se tha ruswa-e-jahan apna
tum majaz diwane mashalaat se begaane
varna hum bana lete tumko razdaan apna

Majaz ki shayyiri

aql ki satah se kuch aur ubhar jana tha
ishq ko manzile pasti se guzar jana tha
jalwe thay halkaaye har daame nazar se bahar
maine har jalwe ko pabande nazar jana tha
husn ka gham bhi hasin, fikar hasin, dard hasin
unnko har rang mein har taur sanwar jana tha
husn ne shaunq ke hangame toh dekhe thay bohat
ishq ke daav'aye taqdees[pavitar'ta] se darr jana tha
yeh toh kya kahiye chala tha main kahan se humdam
mujhko yeh bhi na tha mallum kidhar jana tha
husn aur ishq ko de taan'ye bedaad majaz
tumko toh sirf issi baat pe marr jana tha

Majaz ki shayyiri

ashqui ja fizaan[refreshing] bhi hoti hai
aur sabr aazma bhi hoti hai
rooh hoti hai kaif parwar bhi
aur dard aashna bhi hoti hai
husn ko kar na de yeh sharminda
ishq se yeh khata bhi hoti hai
ban gayi rasm baada khwari[madira-paan] bhi
yeh namaaz ab qaza bhi hoti hai
jisko kehte hain naal-e-barham[dukh ko jan’na]
saaz mein veh sada bhi hoti hai
kya bata do majaaz ki duniya
kuch haqiqat_numa bhi hoti hai

qateel shifai ki shayyiri

tum puucho aur main na bataun aise toh haalat nahin
ek zara sa dil tuuta hai aur toh koi baat nahin
kisko khabar thi sanwale baadal bin barse udd jaate hain
sawan aaya lekin apni qismat mein barsaat nahin
mana jiwan mein aurat ek baar muhbbat karti hai
lekin mujhko ye toh bata de kya tu aurat zaat nahin
khatm hua mera afsana ab ye aansu ponch bhi lo
jis mein koi taara chamke aaj ki raat vo raat nahin
mere gham-giin hone par ehbaab hain yun hairaan 'qateel'
jaise main patthar hun mere seene mein zajbaat nahin

faiz ahmed faiz ki shayyiri

husn ik kaif-e-jaadvani hai
aur jo cheez hai vo faani[nashvar] hai
husn ke din bhi kaif parwar hai
husn ki raat bhi suhani hai
husn ki subah ik shikast-e-zameel
husn ki sham taamraani[safal] hai
yeh kuch afsaane takhyyul[fictious story] hai
kuch haqiiqat ki tarzumani hai
kuch tere husn ka karishma hai
kuch meri tab’aa[nature] ki ravani hai

faiz ahmed faiz ki shayyiri

ashqui ja fizaan[refreshing] bhi hoti hai
aur sabr aazma bhi hoti hai
rooh hoti hai kaif parwar bhi
aur dard aashna bhi hoti hai
husn ko kar na de yeh sharminda
ishq se yeh khata bhi hoti hai
ban gayi rasm baada khwari[madira-paan] bhi
yeh namaaz ab qaza bhi hoti hai
jisko kehte hain naal-e-barham[dukh ko jan’na]
saaz mein woh sada bhi hoti hai
kya bata do mazaz ki duniya
kuch haqiqat_numa bhi hoti hai

faiz ahmed faiz ki shayyiri

bas iss taqseer[apraadh] par apne muqaddar pe hai marr jaana
tabssum ko tabssum kyun, nazar ko kyun nazar jaana
khird[aqal] walon se husn-o-ishq ki tankeed[criticsm] kya hogi
na afsuune[jaadu] nigah samhga, na andaaz-e-nazar jaana
mai gulfaam bhi hai saaz-e-ishrat bhi hai saqi bhi
magar mushkil hai aashob-e-haqiqat se guzar jana
gham-e-dauran mein guzri, jis qadar guzri jahan guzri
aur iss par lutf yeh hai zindgi ko mukhtsar[small] jaana

faiz ahmed faiz ki shayyiri

dil-e-khoon gashtaaye[gardish] zaffa pe kahin
ab karam bhi giraan[costly] na ho jaaye
tere bimaar ka khuda hafiz
nazar-e-chara_giraan-upchaarak] na ho jaaye
ishq kya kya na aaften dhaaye
husn gar meharban na ho jaaye
main kea age ghamon ka kohe giraan
ek pal mein dhuan na ho jaaye
phir mazaz inn dinon yeh khatara hai
dil haalanke butaan na ho jaaye

unknown

dar ki daulaten bedaar ataa ho saaqi
hum bahi khwah[gud wisher] sabhi ke hain bhala ho saaqi
sakht jaan hi nahin hum khud saro_khuddar bhi hai
naavike naaz khata hai toh khata ho saaqi
sa’aiye tadbeer mein muzmir hai ik aahe jaansaaz
isska inaam saza ho ki jaza ho saaqi
siina’aye shauq mein vo zakhm ki lau de utthe
aur bhi tez zamane ki hawa ho saaqi
aandhiya utthi hain sunsaan hai maikhan-e-shauq
ab toh ik sajda’aye maasoom rawa ho saaqi

Majaz ki shayyiri

jazbe shaunq nahin shahpare parwaaz nahi
lilaah alhamd ki veh baadgahe naaz nahi
husn ki bazm bhi khilwat kadaye naaz nahi[pyar ka sansar]
aalm-e-ishq koi anzuman raaz nahin
vaadaye lail[promise for night] nahin baada’aye gulfaam toh hai
lab shaker rez[sweet talk] nah on aankh bhi ghamaaz nahin
naalah-e-dard[dukh bhari awaz] nahi ruukshe mehmil toh na ho
yeh koi nazad ki bhikhri hui aawaz nahin
sangsaari[pathar maarna] hai ki loha bhi pighal jaaye majaaz
labe fariyad pe bijli koi azaaz nahin

unknown

na rehnuma na kisi rehguzar ko dekhte hain
jidhar se teer chale hain udhar ko dekhte hain
zabeeb-e-garm-b-tamkeene naaz kya kahiye
ab fareb-e-qaza-va-qadar ko dekhte hain
*nigaah aad na le maasiyat panahi ki
nigah hogi kabhi maasiyat panahi par[gunah chupana]
abhi toh vuus’ate daamne tar ko dekhte hain
sawaade nazad ki ra’naayion mein gum aksar
kisi safer[duut] ke aazme safar ko dekhte hai
* this line is also written like this

Majaz ki shayyiri

yeh tirgi’ye[andhera] shab hi kuch subah taraaz aati
khud vaada’aye fardaa ki chhati bhi dhadak jaati
honton pe hansi paiham aate huye sharmati
kya subah qayamat hi haasil hai judai ka
ab raat nahin kat’ti ab neend nahin aati
jo awwal-v-aakhir tha veh awwal-v-aakhir hai
main naalah bajaan utthta veh nagma basaaz aati
soz-e-shab-e-hizraan[judai ki raat] phir soz-e-shab-e-hizraan hai
shabnam ba_maza utthti ya zulf daraaz aati
yarab veh jawani bhi kya meh’share armaan thi
angadi bhi jab leti ek aankh jhapak jaati
aagaz-e-siyaa masti anzame siyaa masti
aaiine mein surat bhi aane ki qasam khaati
seene mein mazaaj ab tak veh jazba’ye kaafir tha
taslees ki joi’eenda vehdat ki qasam khaati

unknown

shehr ki raat aur main nashad-o-nakaara phirun
jagmgaati jaagti sadkon pe aawara phirun
gaiir ki basti hai kab tak dar_badar maraa phirun
ae gham-e-dil kya karun, ae wehshat-e-dil kya karun

jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke haathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

yeh rupehli chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
jaise sufi ka tasavuur jaise aashiq ka khayal
aah lekin kaun jaane kaun samjhe jii ka haal
ae gham-e-dil kya karun, ae wehshat-e-dil kya karun

phir woh toota ik sitara phir woh chhuthi puljhadi
jaane kis ki goad mein aayi yeh moti ki ladi
hook si seene mein uthi chot si dil par padi
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

raat hass hass kar yeh kehti hei ke makhane mein chal
phir kisi shahnaz-e-lala_rukh ke kaashane mein chal
yeh nahin mumkin toh phir ae dost virane mein chal
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

har taraf hai bikhri hui, rangeeniyan, r'aanaiyan
har qadam par ishratein leti hui angdaiyan
badh rahi hai gaud phelai hui ruswaiyan
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

raaste mein ruk ke dam le lun meri aadat nahin
laut kar vaapas chala jaaon, meri fitrat nahin
aur koi ham_nava mil jaaye yeh qismat nahin
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

muntazir hai ek tufan-e-bala mere liye
ab bhi jane kitne darwaze hain waa mere liye
par musiibat hai mera ahd-e-waffa mere liye
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

jii mein aata hai ab ahd-e-waffa bhi tod dun
unnko paa sakta hun yeh aasra bi chhod dun
haan munasib hai yeh zanjeer-e-hawa bhi tod dun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

ik mehal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

dil mein ik shola bhadak utha hai aakhir kiya karun
mera paemaana chhalak utha hai aakhir kiya karun
zakhm seene ka mehak utha hai aakhir kiya karun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

jii mein aata hai murda chaand taare noch lun
iss kinare noch lun uss kinare noch lun
ek do ka zikar kiya saare ke saare noch lun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
senkdon changez-o-naadir hain nazar ke samane
senkdon sultan-o-jabir hain nazar ke samne
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

le ke ek ek changez ke hathon se khanjar tod dun
taj par usske damakta hai jo pathar tod dun
koi tode ya na tode main hi badh ke tod dun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

badh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dun
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dun
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

iftikhaar arif ki shayyiri

mere khuda mujhe itna toh mo'atbar[trust-worthy] kar de
main jis makaan mein rehta hun usse ghar kar de
ye roshni ke ta'aqqub[to follow] mein bhaagta hua din
jo thak gaya hai toh ab iss ko mujhtasar[shorten] kar de
main zindgi ki duaaon ko be-asar kar de
sitara-e-sahari[morning star] duubne ko aaya hai
zara koi mere suraj ko ba_khabar[inform] kar de
qabila_vaar[tribal] kamaanen karakne wali hain
mera lahu ki gawahi mujhe nidar kar de
main apne khwab se kat kar jiyun toh mere khuda
ujaad de meri mitti ko dar-ba-dar kar de
meri zamiin mera akhri hawala hai
so main rahun na rahun issko baa-ravar kar de

shamim jaipuri ki shayyiri

ba-waffai[fidelity] ki ada paane laga hun tujh mein
ae jaffa-dost[unfaithful frd] ye kya dekh raha hun tujh mein
tu dariya hai ke jiska koi saahil hi nahin
main safeene ki tarah doob gaya hun tujh mein
tere chehre se hataai nahin jaati nazren
kya khabar der se kya dekh raha hun tujh mein
mera daava hai ke tune bhi na dekhe honge
aise jalwe ke jo main dekh raha hun tujh mein
paas itna ke teri saanson se takraati hai saans
duur itna ke tujhe dhuundh raha hun tujh mein
bewaffa teri zubaan par ye waffa ki baaten
aisa lagta hai ke main bol raha hun tujh mein

hamidi kashmiri ki shayyiri

pathar mein dhal raha hun
dekho badal raha hun
saahil-nashin kahan hain
paani pe chal raha hun
kaliyaan chatak rahi hain
main haath mal raha hun
yak-basta[pontaneous] teergi[darkness] mein
be-wajah jal raha hun
shayad hi laut aaoon
ghar se nikal raha hun
shab ladkhada rahi hai
main kyun sambhal raha hun

irfan siddiqui ki shayyiri

badan ke donon kinaaron se jal raha hun main
ke chhu raha hun tujhe, aur pighal rahaa hun main
tujhi pe Khatm hai jaanaan mere zawaal[nadir] ki raat
tu ab tulu[appearing] bhi ho ja, ke dhal raha hun main
bula raha hai mera jaama-zeb milne ko
toh aaj perahan-e-jaan badal raha hun main
ghubaar-e-rahguzar[dust of the path] ka ye hausla bhi toh dekh
hawa-e-taaza ! tere saath chal rahaa hun main
main khwab dekh raha hun ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal raha hun main

unknown

wajah ye nahi ki tum bure ho sakte nahi...
wajah ye hai ki main acha samajhna chahti hoon.
wajah ye nahi ki tum ne mujhko chaha nahi...
wajah ye hai ki main sirf tujh hi ko chahti hoon.
wajah ye nahi ki tum ne mujko ghum nahi diye...
wajah ye hai ki main har gham sehna chahti hoon.
wajah ye nahi ki tujhe bhool nahi sakti main...
wajah ye hai ke tujhe yaad rakhna chahti hoon.
wajah ye nahi tu tabeer de sake na mujhe...
wajah ye hai ki main khwabon main rehna chahti hoon.

unknown

jidhar bhi dekhti hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai
main kaise karun gila dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalkte hain meri surat nikhar jaati hai
tod diye hain maine apne ghar ke saare aaiine
meri rooh mera hi chehra dekh ke darr jaati hai
ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein...
zara si na-muraadon ki tabiyat sudhar jaati hai
asar karti yakiinan gar chhu jaati unnke dil ko lekin
afsoos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai
mai_kade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai
kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabila toh kar
ae khushi tu munh chhuppa ke kidhar jaati hai
tujhe innhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unnke ghar ko bas yahi ek rehguzar jaati hai.......

unknown


suno tum laut aao na
woh dekho chand nikla hai
sitare jagmagaye hain
hamari muntazir aankhein
duaein mangti ankhein
tumhen ho sochti aankhen
tumhen hi dhoondhti aankhein
tumhen vapis bulati hain
yeh dil jab bhi dhadkata hai
tumhara naam leta hai
yeh aansu jab bhi behate hain
tumhare dukh mein behate hain
ke baarish jab bhi hoti hai
tumhen hi yaad karten hain
khushi koi jo aaye bhi
tumhare bin adhuuri hai
suno toh laut aao na ....
suno tum ..........

unknown

khel kar yun ungaliyon se baalon mein
aur uljhaao na sawalon mein
padhne wale toh padh hi lete hain
dil ki sab dastan rumaalon mein
gar haqiiqat mein na huye haasil
milne aaoge na khayalon mein ?
kal subah zindgi rahe na rahe .... ????

Wednesday, June 24, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

sham-e-gham kuch uss nigaah-e-naaz ki baaten karo
bekhudi badhti chali hai raaz ki baaten karo
yeh sukuut-e-naaz, yeh dil ki ragon ka tuutna
khamoshi mein kuch shikast-e-saaz ki baaten karo
kuch qafas ki tiliyon se chhan raha hai nuur sa
kuch fiza kuch hasrat-e-parvaaz ki baaten karo

unknown

hume unnhe chaha ye failsa hamara zindgi ka
unnhe bhi hoti chahat agar toh kuch aur baat hoti