Saturday, June 6, 2009

unknown

intzaar aaj ke din ka tha badi mudat se
aaj uss ne mujhe deewana kaha hai yaaro
mud ke dekhoon toh kidhar ? aur sada doon toh kisse ?
mere maanzi ne mujhe chod diya hai yaaro
koi deta hai duayen toh ye jal uthta hai
mera jeewan kisi mandir ka diya hai yaaro
main andhere mein rahoon ! ya ujale mein rahoon !
aisa lagta hai jaise koi dekh raha hai yaaro
jiska koi nahi uss ka toh khuda hai yaaro
main nahi kehta kitabo mein likha hai yaaro

No comments:

Post a Comment