Saturday, June 6, 2009

unknown

mere sabar ka na le imtihan
meri khamoshi ko sada na de
jo tere baghaiir na ji sake
usse jeene ki tu dua na de

tu aziz dil-o-nazar se hai
tu qareeb rag-o-jaan se hai
mere jism-o-jaan ka ye faasla
kahin waqt aur badha na de

tujhe bhool ke na bhula sakoon
tujhe chah ke bhi na pa sakoon
meri hasratoon ko shumaar kar
meri chahtoon ka silaa na de

vo tadap jo shula-e-jaan mein thi
mere tan badan se lipat gayi
jo bhujh sake toh bhujha isse
na bhujha sake toh hawa na de

tujhe agar milay kabhi furstein
meri shaam phir se sanwaar de
agar qatal karna hai toh qatl kar
yun judaiyoon ki saza na de

No comments:

Post a Comment