pii kar bhi tabiyat mein talkhi hai giraani hai
iss daur ke sheeshon mein sehbaa hai ki paani hai
iss shahr ke qaatil ko dekhaa toh nahin lekin
maqtal se jhalkta hai qaatil ki jawani hai
jalta tha jo ghar mera kuch log ye kehte thay
kya aag sunhari hai kya aag suhaani hai
iss fan ki latafat ko le jaaon kahan aakhir
pathar ka zamaana hai sheeshe ki jawani hai
kya tumse kahen kya hai aahang 'shamim' apna
sholon ki kahani hai shabnam ki jawani hai
Thursday, June 4, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Great!
ReplyDeletePlease post more of his works.
You can contact me regarding his works, I'm Shamim Karhani's grandson.
Thank you!