phir sun raha hun guzre huye zamane ki chap ko
bhool hua tha dair se main apne aapko
rehte hain kuch malool se chehre paroos mein
itna na tez kijiye dholak ke thap ko
ashkon ki ek nehar thi jo khushk ho gayi
kaun kar mataoun dil se tere gham ke chap ko
Kitna hi be-kanar samundar na , phir bhi dost
rehta hai be-qaraar nadi ke malap ko
pehle toh meri yaad se aaye hayua unhen
phir aainen mein chuum liya apne aapko
tareef kya ho qamat-e-dildar ke 'shakaib'
tajseem kar deya hai kisi ne alap ko
No comments:
Post a Comment