hum na samjhe teri nazron ka takaza kya hai
kabhi jalwa kabhi parda, ye tamasha kya hai
mujhko madhosh sa kar rakha hai teri aankhon ne
varna ae saaqi ! tere mai-khane mein rakha kya hai
dekh laila tere majnu ka kaleja kya hai
khaak mein kil ke bhi kehta hai ke bigada kya hai
ye surahi sa badan le kar mere saamne na aa
main sharabi hun sharabi ka bharosa kya hai
apne honton ko mere honton se choone toh de
ek do ghont se botal ka bigadta kya hai
No comments:
Post a Comment