raste badal jaate hain, manzilen badal jaati hain
kyun nahin badlte dil jo taqdeeren badal jaati hain
dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke
aankhon ki nami chupa kar, nazren badal jaati hain
ruuh rehti hai har lamha ashkbaar, lab haste hain
bahar aur andar ki kis tarah fizaaein badal jaati hain
Koi hota hai rafta rafta zindagi se duur, bohot duur
haathon ki yeh lakeeren kyun aksar badal jaati hain !!
No comments:
Post a Comment