nahin nigah mein manzil toh justju hi sahi
nahin wisal mayasar toh aarzu hi sahi
na tan mein khoon faraaham na ashq aankhon mein
namaz-e-shaunq toh waazib hai be-vazuu hi sahi
kisi tarah toh jaame bazm maikade waalo
nahin jo baada-o-saagar toh haa-o-huu hi sahi
gar intzaar kathin hai toh jab talak hi sahi
dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi
toh 'faiz' zikr-e-vatan apne ru-b-ru hi sahi
No comments:
Post a Comment