main jahan tumko bulata hun wahan tak aao
meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
saath mere mere firadus-e-jawan tak aao
tegh ki tarah chalo chhod ke aagosh-e-niyaam
teer ki tarah se aagosh-e-kaman tak aao
phool ke gird phiro baagh mein maanind-e-naseem
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao
lo vo sadiyon ke jahanuum ki haden khatam hui
ab hai firadus hi firdaus jahan tak aao
chhod kar veham-o-guman husn-e-yaqin tak pauhnchu
par yaqin se bhi kabhi veham-o-guman tak aao
No comments:
Post a Comment