angdai par angdai leti hai raat judai ki
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhai ki
kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya mein
maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjai ki
wasl ki raat na jaane kyun israar tha unnko jaane par
waqt se pehle duub gaye taaron ne badi daanai ki
udte udte aas ka panchhi duur ufaq mein doob gaya
rote rote baith gayi aawaaz kisi saudai ki
No comments:
Post a Comment