Sunday, January 4, 2009

"Daag" ki shayyiri

khatir se ya lihaaz se, main maan toh gaya
jhoothi qasam se aap ka imaan toh gaya
dil le ke muft kehte hai kuch kaam ka nahi
ulti shikaayten hoi, ehsaan toh gaya
darta hun dekh kar dil-e-be_arzoo ko main
sunsaan ghar ye kyun na ho, mehmaan toh gaya
kya aye, raahat aayi jo kunj-e-mazaar mein
wo walwala, wo shauq, wo armaan toh gaya
dekha hai butkaday mein jo ae shaikh ! kuch na pooch
imaan ki toh ye hai ! ke imaan toh gaya
afshaa-e-raaz-e-ishq mein jo jilaten hoi
lekin usse jataa toh diya, jaan toh gaya
jo naamabar se khush na howa, par hazaar shukr
mujhko woh mere naam se pehchaan toh gaya
bazm-e-a'duu mein surat-e-parwaana dil mera
jo rashk se jalaa, tere qurbaan toh gaya
hosh-e-hawaas-o-taab-o-tawaan daagh jaa chuke
ab hum bhi jaane waale hain, saamaan toh gaya

No comments:

Post a Comment