Sunday, January 4, 2009

bacha hi kiya hai so had se guzar ke dekhte hain
ki toot kab ke chuke par ab bikhar ke dekhte hain
suna hai jo bhi gaya us ko mil gai manzil
so uss ki raah se hum bhi guzar ke dekhte hain
sitara ek abhi aasmaan pe baqi hai
kuch intezaar zara aur kar ke dekhte hain
bas ek jhalak se to milta nahin nazar ko qaraar
Jo dekhte hain to phir aankh bhar ke dekhte hain...

No comments:

Post a Comment