Friday, June 5, 2009

unknown

hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hai
tumhen nikal ke dekha toh sab khasara hai
woh kiya wisal ka lamha tha jis ke nashe mein
tamam umer ke furqat hamen gawara hai
ajab asool hain iss karobar-e-duniya ke
kise ka qarz kise aur ne utara hai
yeh do kanarr toh dariya kr ho gaye hum tum
magar woh kaun hai jo teesra kanara hai

No comments:

Post a Comment