Friday, June 5, 2009

unknown

hijab ko benaqab hona tha
haan mujhi ko kharab hona tha
kheli bachpan mein aankh macholi bohot
aaya shabaab to hisaab hona tha
saath rehte hain raat din ki tarah
tum ho mahtaab[moon] mujhe aftaab[sun] hona tha
meri aankhon ka kuch qusoor nahi
husn ko lajawaab hona tha
tha muqaddar mein hamara milna
magar na hum ne kahan kaamyaab hona tha
hijab ko benaqab hona tha
haan mujhi ko kharab hona tha

No comments:

Post a Comment