Tuesday, June 2, 2009

unknown

khizan ke mausham se gulab maang raha hai
phir apne liye koi azaab maang raha hai
jaan mangta toh main zara taghaful na karta
magar woh mujhse mere khwab maang raha hai
ata kar ke meri zeest ko hizr ki azziyatein
aur mujhse wisaal-e-ruut ka hisaab maang raha hai
khatein karna hi raha mashgala isska
main kya dun sila usse woh sawaab maang raha hai
apni samjh mein usski guftgu bhi nahin aati
aur woh un-kahe sawalon ke jawab maang raha hai
mujhko apne wajood pe bhi dastaras nahin haasil
aur dil-e-nadaan hai mahtaab maang raha hai
koi zindgi se ghabra gaya iss qadar
kashti ka mussafir hai aur girdaab maang raha hai

No comments:

Post a Comment