Tuesday, June 2, 2009

unknown

vo ek shaks ke baa'is mere zawaal ka tha
zameen se milta hua rang usske jaal ka tha
dil-o-nigah ka jhagda bhi munfarid tha magar
jo faisla hua vo bhi bade kamal ka tha
main jaan dene ka dawa wahan pe kya karta
jo mas'ala usse darpesh tha misaal ka tha
tamam umar bhulane main sarf ki jis ke
vo nisf maazi ka qissa tha,nisf haal ka tha
main chahta tha vo khud bakhud samjh jaaye
taqaza usski taraf se magar sawal ka tha
ye aur baat ke baazi ussi ke haath rahi
wager na farq toh le de ke ek chaal ka tha

No comments:

Post a Comment