Wednesday, June 10, 2009

faraz ki shayyiri

zindgi se yahi gila hai mujhe
tu bohat der se mila hai mujhe
hamsafar chahiye, hajoom nahin
ek musafir bhi, qaafila hai mujhe
dil dhadkata nahin sulagta hai
woh khwahish thi, aabala[blister] hai mujhe
lab-kusha hun toh iss yakiin ke saath
qatl hone ka hausla hai mujhe
tu mohbbat se koi chaal toh chal
haar jaane ka hausla hai mujhe
kaun jaane ki chahaton mein 'faraz'
kya ganwaya hai, kya mila hai mujhe

No comments:

Post a Comment