nigah-e-mast-e-saaqi ka salam aaya toh kya hoga
agar phir tark-e-tauba ka payam aaya toh kya hoga
haram wale toh puchhenge bata tu kis ka banda hai
khuda se pehle lab par unnka naam aaya toh kya hoga
nigah-e-mast-e-saqi ka salam aaya toh kya hoga
mujhe manzuur unnse main na bolunga magar naaseh
agar unnki nigahon ka salam aaya toh kya hoga
nigah-e-mast-e-saqi ka salam aaya toh kya hoga
mujhe tark-e-talab manzuur lekin ye toh batala do
koyi khud hi liye haathon mein jaam aaya toh kya hoga
muhbbat ke liye tark-e-taalluq hi zuruuri ho
muhabbat mein agar aisa maqaam aaya toh kya hoga
agar phir tark-e-tauba ka payaam aaya to kya hoga
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment