Wednesday, June 10, 2009

nasir kazmi ki shayyiri

apni dhun mein rehta hun
main bhi tere jaisa hun
O pichli ruut ke saathi
ab ke baras main tanha hun
teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hun
mujhse aankh milaye kaun
main tera aiina hun
mera diya jalaye kaun
main tera khali kamara hun
tere shiva mujhe pehne kaun
main tera tanka kapda hun
tu jivan ki bhari gali
main jangal ka rasta hun

apni lehar hai apna rog
dariya hun aur payasa hun
aati ruut mujhe royegi
jaati ruut ka jhonka hun

No comments:

Post a Comment