aankh pyasi hai koi manzar de
iss jazeere ko bhi samandar de
apna chehra talaash karna hai
gar nahi aiina toh patthar de
bandh kaliyon ko chahiye shabnam
inn chiragon mein roshni bhar de
patharon ke saron se karz utaar
iss sadi ko koi payambar de
kah-kahon mein guzar rahi hai hayaat
ab kisi din udaas bhi kar de
Friday, May 29, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment