Showing posts with label salaam machchlishehri ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label salaam machchlishehri ki shayyiri. Show all posts

Wednesday, June 17, 2009

salaam machchlishehri ki shayyiri

subah-dam yun hi fasurda[sad] ho gaya
ae dil-e-naazuk tujhe kya ho gaya
siinaa-e-baranat[a musical instrument] se shola sa utha
gham-zadon ke dil ka naghma ho gaya
shukriya ae gardish-e-jaam-e-sharab[round of drinks]
main bhari mehafil mein tanha ho gaya
raat dil ko tha sahar ka intzaar
ab ye gham hai kyon savera ho gaya
bujh gayi kuch iss tarah shama-e-'salaam'
jaise ik bimaar achcha ho gaya

Wednesday, May 27, 2009

salaam machchlishehri ki shayyiri

main na kehta tha ki suljha lo ye julfen muntshiir
ab tumhi dekho zamana uljha jaaye hai