kyu naseeb ka likha hua manjoor ho gaya
nazaorn se duur tha, woh dil se bhi duur ho gaya…………..
maine chupaya tha bahut usski mohbbat ko magar
ye qissa kaise shehr mein mashoor ho gaya…………..
Khud mein hi kho gaya, bhul gaya duniya ko
tere gham ka kuch aisa saroor ho gaya……………..
kehta tha main sambhal le ghir jayega ek din
lo ghir gaya , ye sheesha chaknachur ho gaya…………
itna toh bata kya bhulu, aur kya rakhu yaad
ye ishq toh ab umar bar ka nasoor ho gaya……….
ek dil bujha , ek din dhala, aur raat ho gayi
ab roz ka marna toh dastoor ho gaya……
No comments:
Post a Comment