Saturday, June 6, 2009

unknown

khuda hum ko aisi khudai na de
ki apne siva kuch dikhai na de
khatavar samjhegi duniya tujhe
ab itni bhi jayda safai na de
hanso aaj itna ki iss shor mein
sada siskiyon ki sunai na de
abhi toh badan mein lahu hai bahut
kalam cheen le raushnai na de
mujhe apni chaadar se yun dhaanp lo
zamin aasman kuch dhikai na de
gulami ko barakat samjhane lage
asiiron ko aisi rihai na de
mujhe aisi jannat nahin chahiye
jahan se madina dikhai na de
main ashko se naam-e-muhamad likhun
khuda aise ehsaas ka naam hai
rahe samne par dikhai na de

No comments:

Post a Comment