paaon laazim toh nahin dasht-e-safar mein rakhna
ek wehshat ka samaan apne hi ghar mein rakhna
ta'k taqdeer tumhen bhi kabhi mansoor kare
zinda rehna hai toh ek aaseb bhi sar par rakhna
uss prinde ko sabhi parr hasiin lagte hain
dil-e-nadaan ko zara khauff-o-khatar mein rakhna
tod sakti hai koi bhi aankh andar ka talasum
koi rauzan, koi dar na diwaar mein rakhna
gham toh honton pe hassi ban ke bhi reh sakta hai
kya zaroori hai isse deeda-e-tar mein rakhna .... !!!!
No comments:
Post a Comment