Monday, June 22, 2009

unknown

dhuaan bana ke fiza mein udda diya mujhko
main jal raha tha kisi ne bhuja diya mujhko
khada hun aaj bhi roti ke char harf liye
sawal yeah hai ke kitabon ne kya diya mujhko
safed rang ki chadar lapet kar mujh par
faseel-e shehr par kisi ne saja diya mujhko
main ek zara bulandi ko chuune nikla tha
hawa ne tham ke zameen par gira diya mujhko

No comments:

Post a Comment