apna ehsaas marr na jaaye kahin
dard hadh se guzar na jaye kahin
unnko dekhe ho gayi hai sadyan
unnka chehra bikhar na jaye kahin
abki awaz du toh aa jaana
dil diwana sudher na jaye na kahin
unnka vaada toh hai magar
dil ka darr hai ke kafir mukar na jaye kahin
khak se aab tak toh aa pahonche
ab ye dariya utar na jaye kahin
ye mohbbat bhi ek bala thehrii
humko darr hai ki vo darr na jaye kahin
iss liye muskuraye phirti hun
unn ki ankh bhar na jaye kahin
dil se guzra toh hai wasif
humko darr hai ki laut na jaye na kahin........!!
No comments:
Post a Comment