nazar mein zakhm-e-tabassum chhupa chhupa ke mila
khaffa toh tha vo magar mujhse muskura ke mila
vo hamsafar ke mere tans pe hasta tha bohat
sitam zareef mujhe aaina dikha ke mila
mere mizaj pe hairan hai zindgi ka shaur
main apni maut ko aksar gale laga ke mila
main uss se mangta kya, khuun baha jawani ka
ke vo bhi aaj mujhe apna ghar luta ke mila
main jisko dhoondh raha tha nazar ke raste mein
mujhe mila bhi toh zalim nazar jhuka ke mila
main zakhm-e-zakhm badan le ke chal diya
vo jab bhi apni qabar par kanwal saja ke mila
No comments:
Post a Comment