Monday, June 22, 2009

unknown

firdose[zannat] husn-v-ishq hai daamne lakhnow
aankhon mein bas rahe hai gazlaane lakhnow
sabr aajma hai ghamzae tarkaane lakhnow
rashke zanaane misar kaneezane lakhnow
har simt ek hazoom nigraane lakhnow
aur main ki ek shokh ghazalkhwaane lakhnow
mutrib bhi hai shraab bhi abre bahar bhi
shiraaz ban gaya hai shabistaane lakhnow
tole huye hai tege sana husn be naqab
nawak fiqan hai jalwe pinhaane lakhnow
ik nau bahare naaz ko taake hai phir nigah
vo nau bahare naaz ki hai jaane lakhnow
daste junoon ko rokiye yeh khabar chodiye
ruswa hai yunhi chaake girebaane lakhnow
kuch roz ka musafiron mehmaan hun aur kya
kyun badgumaan ho yusfe kanane lakhnow
ab isske baad subah hai aur subah nau mazaaz
hum par hai khatm shame gareebane lakhnow

No comments:

Post a Comment