Wednesday, June 10, 2009

unknown

janta hun main tumko paa nahin sakta
kis kadar mayyus hun bata nahin sakta
nazar aata hai aiinon mein tera aks
teri soorat ko main bhula nahin sakta
tere aane ki aakhiri umeed hai ye
iss shamma ko main bhujha nahin sakta
aankhon mein gam ke saaye baithe hain
zakhm dil ke main chhupa nahin sakta
gamon ko zabaan de baitha hun main
khushiyan tumko main apni nahin de sakta
jal jaayenge mere khwaab innke saath
main tere khaton ko jala nahin sakta
meri aankhon se padh lo meri dastaan
mujhpe kya guzri main suna nahin sakta
muhjko aise na dekho dil ki khwahisho
ab main tumse nazar mila nahin sakta
zindagi apne dum pe chal sake to chal
mein tera bhoj ab uttha nahin sakta

No comments:

Post a Comment