Friday, June 19, 2009

unknown

Ye tasalli hai ki hain nashaad sab
main akelaa hi nahin barbaad sab
sab ki khatir hai yahan sab ajnabi
aur kahane ko hain ghar abaad sab
bhuul ke sab ranjishein sab ek hain
main bataun sab ko hoga yaad sab
sab ko dawa-e-vaffa sab ko yaqin
iss adakaari mein hain ustaad sab
shehr ke hakim ka ye farmaan hai
qaid mein kehlayeinge azad sab
chaar lafzon mein kaho jo bhi kaho
ussko kab fursat sune fariyad sab
talkhiyan kaise na ho ashar mein
ham pe jo guzari hai ham ko yaad sab...

No comments:

Post a Comment