kaise keh doon ke tujhse pyar nahi
kuch sharart teri aankho ki bhi hai
main tanha toh gunahgar nahi
jahaan dekhon wahan ishq ke bimaar baithe hain
laakhon mar chuke, sainkdon tayyar baihte hain
jo sacha pyar karte hain
woh kahan faryaad karte hain
labon ko hilne nahi dete
dil-o-dil yaad karte hain
muskurate hain toh bijliyan gira dete hain
baat karte hain toh deewana bana dete hain
husan walon ki nazar kam nahi qayamat se
aag pani mein woh nazaron se laga dete hain
No comments:
Post a Comment