Wednesday, June 10, 2009

unknown

mujhko ikraar-e-mohbbat hai saza do mujhko
shola-e-ishq hoon kuch aor hawa do mujh ko
ban ke aansoo teri palkon pe para rehta hoon
tum akele mein kisi roz baha do mujh ko
main nahin mangta tujhse tere daaman ki hawa
aakhir baar yeh surat hi dikha do mujhko
tu mujhe yaad kare aur pashemaan bhi na ho
aisi yaadon se toh behter hain bhula do mujh ko.....

No comments:

Post a Comment