Sunday, June 21, 2009

unknown

kitaabon ke pan'non ko palat ke sochta hun.....,
yun palat jaaye meri zindgi toh kya baat hai.....!
khwabon mein jo roz roz milti hai......,
haqiqat mein mil jaaye toh kya baat hai......!
kuch matlab ke liye toh sab dhoondhte hain mujhko.....,
bin matlab ke jo paas aaye koi .... toh kya baat hoti.....!
qatl karke toh sab le jaayenge dil mera.....,
koi baaton se le jaaye toh kya baat hai.....!
jo apno ke begaanepan mein na baato ho......,
koi ajnabi keh jaaye .... toh kya baat hai.....!
apne zinda rehne tak khushi dunga sabko.....,
kisi ko meri maut se khushi mil jaaye .... toh kya baat hai

No comments:

Post a Comment