Wednesday, June 10, 2009

parvin shakir ki shayyiri

teri khusbhu ka pata karti hai
mujh pe ehsaan hawa karti hai
shab ki tanhai mein ab toh aksar
guftgu tujhse raha karti hai
dil ko uss raah pe chalana hi nahin
jo mujhe tujhse juda karti hai
zindgi meri thi lekin ab toh
tere kehne mein raha karti hai
ussne dekha hi nahin varna ye aankh
dil ka ehavaal kaha karti hai
beniyaz-e-kaaf-e-dariya angusht
ret par naam likha karti hai
sham padte hi kisi shaks ki yaad
kuucha-e-jaan mein sada karti hai
mujhse bhi usska hai waisa hi salluk
haal jo tera anaa karti hai
dukh hua karta hai kuch aur bayan
baat kuch aur hua karti hai
abr barse toh inaayat usski
shaakh toh sirf dua karti hai
masla jab bhi utha chiragon ka
faisla sirf hawa karti hai

No comments:

Post a Comment