Wednesday, June 10, 2009

iqbal ki shayyiri

sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
taahi zindgi se nahin ye fazaayen
yahan sainkadon karwan aur bhi hai
kaynaat na kar aalam-e-rang-o-buu par
chaman aur bhi, aashiyaan aur bhi hain
agar kho gaya ek nasheman toh kya
gham maqaamat-e-aah-o-fugan aur bhi hain
tu shaheen hai parwaaz hai kaam tera
tere saamne aasman aur bhi hain
issi roz-o-shab mein ulajh kar na reh ja
ke tere zamiin-o-makaan aur bhi hain
gaye din ki tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere raazdaan aur bhi hain

No comments:

Post a Comment