marti hui zameen ko bachana para mujhe
baadal ki tarah dasht main aana para mujhe
wo kar nahi raha tha meri baat ka yaqeen
phir yun hua k mar k dekhana para mujhe
bhole se meri simt koi dekhta na tha
chehre pay aik zakham lagana para mujhe
uss ajnabi se hath milaaney k wastey
mehfil main sab se haath milaana para mujhe
yaaden thin dafan aisi k bad az farokht bhi
uss ghar ki daikh bhaal ko jana para mujhe
uss bewafa ki yaad dilata tha baar baar
kal aine pay haath uthana para mujhe
aise bichhar k uss ne to mar jana tha hassan
uss ki nazar main khud ko giraana para mujhe.
No comments:
Post a Comment