vo aa gaye toh qalab ki taaleef ho gayi
rukhsat huye toh phir wohi takleef ho gayi
mehshar mein ek sawal kiya tha kareem ne
mujhse wahan bhi aap ki taarif ho gayi
main apne waqiaat pe hairan hun aap bhi
kya ilam ye ghazal kahan tasneef ho gayi
asbaab-e-bad_mizaazi zahid na puchiye
main pii raha tha aap ko takleef ho gayi
daaman chura ke yaar jo rukhsat hua 'faraz'
saare badan se jaan ki takhfeef ho gayi
No comments:
Post a Comment