ab ke tajdid-e-waffa ka nahin imkaan jaana
yaad kya tujhko dilaye tera paimaan jaana
yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis kadar jald badal jaate hai insaan jaana
zindgi teri ata thi so tere naam ki hai
humne jaise bhi basar ki tera ehsaan jaana
dil ye kehata hai ki shayyad ho fasurda tu bhi
dil ki kya baat karen dil toh hai nadaan jaana
awal awal ki muhabat ke nashe yaad toh kar
bepiye bhi tera chehra tha gulistan jaan
akhir akhir toh ye alam hai ke ab hosh nahin
rag-e-meena sulag uthi ki rag-e-jan jaana
muddaton se ye aalam na tavaqqo na ummid
dil pukare hi chala jaata hai jaana jaana
hum bhi kya sada thay humne bhi samjh rakha tha
gam-e-dauran se juda hai gum-e-jaana jaana
ab ki kuch aisi saji mehfil-e-yara jaana
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jaana
har koi apni hi aawaz se kanp uthta hai
har koi apne hi saaye se hirasan jaan
jisko dekho wahi zanjir-ba--pa lagata hai
shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan jaana
ab tera zikar bhi sayad hi gazal mein aaye
aur se aur hua dard ka unvaan jaana
hum ki ruthi hui ruut ko bhi mana lete thay
humne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaana
hosh aaye toh sabhi khawab thay reza-reza
jaise udate huye auraq-e-pareshan jaana
No comments:
Post a Comment