tamaam Kasa-e-darveshgi ke paale huye
hamare shehr mein ab unchii naak waale huye
zamana usske liye royega vo saaya hai
chalii ye dhoop kidhar barchhiyan nikale huye
shikaar aaj ki saazish ka huye jaate hain
hum apni aankhon mein kal ka yaqiin paale huye
andhere zehanon se hargiz na dosti karna
Ke unn mein reh ke kai aaftaab kaale huye
khushi ko dhundhne nikle toh hu ko ilm hua
Khushi bhi haath gale mein hai gham ke daale huye
gunaah khulne ki sharmindagi kisi ko nahin
charagh khud hi pasheman hai kyon ujaale huye
ameer-e-shehr bahut muztarib sa rehta hai
baras guzar gaye nezon pe sar uchhale huye
No comments:
Post a Comment