lucknow k nawab ki shayyiri
urdu ghazals, shayari.
Thursday, June 4, 2009
abdullah kamal ki shayyiri
din chadhe aur bikhar jaaun
raat utre toh main ghar jaaun
bohat ehsaas hai hone ka
itna zinda hun ke marr jaaun
main zamiin-daadah[inhabiting land] sahi phir bhi
aasman sa hun jidhar jaaun
vahi be-chehragi har suu hai
aaina hun main, kidhar jaaun
No comments:
Post a Comment
‹
›
Home
View web version
No comments:
Post a Comment