mujhe zindgi ki talash mein, vo maqaam aa ke guzar gaya
mera razdaan, mera meharban, meri zindgi se bichhad gaya !
nahin chahton ka sila mila, tu thi apni ki tujhse nahin gila
mere chehre pe, mera dard-e-dil, hai naqoos ban ke ubhar gaya !
ye muqaam-e-muhbat-o-aashqui, meri umar bhar ki talaash hai
mujhe tu hi tu nazar aati hai, main jahan gaya, main jidhar gaya !
teri yaad aa ke sta''ti hai, kabhi jab sakoon mile mujhe
tera dard ab hai dawa meri, mujhe shaad aa aa ke kar gaya !
kai dost dil ke qareeb hain, vo hain zeenat-o-raahat-e-gulistan
koi phool ban ke bahaar hai, koi khusbu ban ke bikhar gaya !
kabhi vo mile toh main puchhunga, zara dekh mera kya hai haal kya
main chirag-e-sehar hun dosto, aaya jhokha hawa ka toh marr gaya !
gham-e-ashqui, gham-e-jindgi, gham-e-dard se raha vasta
main seraj misl-e-qamar raha, shab-e-teergi mein nikhar gaya !!
No comments:
Post a Comment