Wednesday, April 15, 2009

ashk aankhon se bahe jate hain darya ki tarah
aa bhi jaao meri duniyaan mein maseeha ki tarah
har ek din ho tera rashk-e shuraiya ki tarah
mahko duniyan mein meri raat ki bela ki tarah
ek din mujh se bhi mil lo kisi dariya ki tarah
ek samandar hun main, pyasa hun tamanna ki tarah
raqs girdaab mein phir gham ki oonchi lahren hain
doob jaaoo. na kahin chhote jazeera ki tarah
jab qasam kha li tu phir saath nibhana har haal
toot na jaye ye maikhwaar ki tauba ki tarah
ya khuda karde zamane mein mera aam kalaam
jo ke likhte nahin hum daagh wa sauda ki tarah
ab tu har roz teri bazm mein sozaan hai 'seraj'
dil mein rahta hai teri aankh ke tare ki tarah !!

No comments:

Post a Comment