mere dukh ki koi dawaa na karo
mujhko mujhse abhi judaa na karo
nakhuda ko khuda kaha hai toh phir
doob jaao, khuda khuda na karo
ye sikhaya hai dosti ne humein
dost bankar kabhi wafaa na karo
ishq hai ishq, mazaak nahi
chand lamhon mein faisla na karo
aashiqi ho ya bandagi FAAKIR
be dili se to ibteda na karo
No comments:
Post a Comment