aag hai, paani hai mitti hai, hawa hai mujh mein
aur phir manana padta hai khuda़ hai mujh mein
jitne mausham hain sab jaise kahin mil jaayen
inn dino kaise bataoon jo faza hai mujh mein
toak deta hai dadam jab bhi galat uthta hai
aisa lagta hai koi mujhse bada़ hai mujh mein
aaina ye toh batata hai main kya hun lekin
aaina iss pe hai khamosh़ ki kya hai mujh mein
ab toh bas jaan hi dene ki hai baari se noor
main kahan tak karun saabit ki waffa hai mujh mein
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment