aadmi aadmi ko kya dega
jo bhi dega vahi khuda dega
mera qaatil hi meraa munsib hai
kya mere haq mein faisla dega
zindgi ko qareeb se dekho
isska chehra tumhen rula dega
hamse puuchho dosti ka sila
dushmanon ka bhi dil hila dega
ishq ka zehar pii liya 'shakil'
ab maseeha bhi kya dava dega
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment